Saturday, June 8, 2013

Jalwa-e-Darbar-e-Dehli... Akbar Allahbadi

Sar mein shauq ka sauda dekha
Dehli ko hum ne bhi jaa dekha

Jo kuch dekha achcha dekha
Kya batlayen kya kya dekha

Nazm hai mujh ko baada-e-saafi
Shaghal yahi hai hai dil ko kaafi

Maangta hun yaaro'n se maafi
Khair ab dekhiye lutf-e-qawaafi

Jamuna Ji ke paat ko dekha
Achche suthre ghaat ko dekha

Sab se oonche laat ko dekha
Hazrat Duke Connaught ko dekha

Paltan aur risaale dekhe
Gore dekhe kaale dekhe

Sangeene'n aur bhaale dekhe
Band bajaane waale dekhe


Khemon ka ik jungle dekha
Uss jungle mein mangal dekha

Sadkein thi'n har camp se jaari
Paani tha har pump se jaari

Noor ki mauje'n lamp se jaari
Tezi thi har jump se jaari

Kuch chehro'n par mardi dekhi
Kuch chehro'n par zardi dekhi

Achchi khaasi sardi dekhi
Dil ne jo haalat kar Di dekhi

Daali mein naarangi dekhi
Mahfil mein saarangi dekhi

Be-rangi ba-rangi dekhi
Dahar ki ranga-rangi dekhi

Achche achchon ko bhatka dekha
Bheed mein khaate jhatka dekha

Munh ko agarche latka dekha
Dil Darbar se atka dekha

Haathi dekhe bhaari bharkam
Unn ka chalna kam kam tham tham

Zarri'n jholee'n Noor ka aalam
Mere

2 comments: