Wednesday, June 19, 2013

Working Woman...Parveen Shakir

Sab kehte hain
Kaise ghuroor ki baat huii
Main apni hariyali ko khud apne lahu se seench rahi hun
Mere saare patto'n ki shaadaabi
Meri apni nek kamaii hai
Mere ek shagoofe par bhi
Kisi hawa aur kisi baarish ka baal barabar qarz nahin hai
Main jab chahu'n khil sakti hu'n
Mera saara roop, meri apni daryaft hai
Main ab har mausam se sar ooncha kar ke mil sakti hu'n
Ek tanaa-war pedd hu'n ab main
Aur apni zarkhez namoo ke saare imkaanat ko bhi pehchan rahi hu'n
Lekin mere ander ki yeh bohot purani bel
Kabhi kabhi ------- jab tez hawa ho
Kisi mazboot shajar ke tann se lipatna chahti hai !

No comments:

Post a Comment