Wednesday, May 29, 2013

AA GA YEE HAIN... SHAKEEL BADAYUNI

AA GAYEE HAIN REMATE'N PHIR JOSH MEIN
HOSH MEIN AYE PEENE WAALO HOSH MEIN

SAARA AALAM PAA-E-BAADA'H NOSH PAR
EK SAAGHAR DAST-E-BAADA'H NOSH MEIN

AB TAK EK DILKASH SADA-E-BAAZGASAHT
GOO'NJTI HAI PARDAH-HA-E- GOSH MEIN

PHIR BAHAR AAYEE NAYE ANDAZ SE
AYE JUNOON-E FITNA-E-SAAMAA'N HOSH MEIN

REH GAYEE EK MUSKURAHAT SI SHAKEEL
JAZB HO KAR USS LAB-E-KHAMOSH MEIN

Thursday, May 23, 2013

yeh tau aasa'n hai...shakeel badayuni

yeh tau aasa'n hai ke arz-e-gham-e-pinhaa'n ho jaaye
aur agar apne kiye par woh pashemaa'n ho jaye

na-mukammal hai abhi marhala-e-raaz-e-wafa
door kuch aur zara manzil-e-jaanaa'n ho jaye

mere armaa'n pe zara soch-samajh kar hansiye
mera armaa'n na kahi'n aap ka armaa'n ho jaye

yeh bi ek soorat-e-taskeen-e-mohabbat hai shakeel
warna dil aur mohabbat mein pareshaa'n ho jaye

Wednesday, May 22, 2013

Fana ka hosh... Chakbast

Fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana
Ajal kya hai khumar-e-baada-e-hasti utar jaana

Uroos-e-jaa'n naya pairahan-e-hasti badalti hai
Faqat tamheed aane ki hai duniya se guzar jaana

Museebat mein bashar ke jauhar-e-mardana khulte hai'n
Mubarak buzdilo'n ko gardish-e-qismat se darr jaana

Woh sauda zindagi ka hai ke gham insaan sehta hai
Nahi'n tau hai bohot aasan iss jeene se marr jaana

Chaman zaar-e-mohabbat mein usi ney baaghbani ki
Ke jis ney apni mehnat hi ko mehnat ka samar jaana

Monday, May 20, 2013

LETE HI DIL .... ZAUQ

LETE HI DIL JO AASHIQ-E-DIL SOZ KA CHALE
TUM AAG LENE AAYE THAY KYA AAYE KYA CHALE

KYA LE CHALE GALI SE TERI HUM KE JU'N NASEEM
AAYE THAY SAR PE KHAAK UDAANE, UDAA CHALE

FIKR-E-QINAYET UNN KO MAYASSAR HUYEE KAHA'N
DUNIYA SE DIL MEIN LE KE JO HIRS-O-HAWA CHALE

AYE ZAUQ, HAI GHAZAB NIGAH-E-YAAR, ALHAFEEZ!
WOH KYA BACHE KE JIS PE YEH TEER-E-QAZAA CHALE

KEH RAHI HAI.... AMEER MEENAI

KEH RAHI HAI HASHAR MEIN WOH AANKH SHARMAYEE HUYEE
HAYE KAISE ISS BHARI MAHFIL MEIN RUSWAII HUYEE

AAINE MEIN HAR ADA KO DEKH KAR KEHTE HAIN WOH
AAJ DEKHA CHAHIYE KIS KIS KI HAI AAYEE HUYEE

KEH TAU AYE GUL-CHEE'N ASEERAN-E-QAFAS KE WAASTE
TOD LU'N DO CHAAR KALIY'N MURJHAYEE HUYEE

WASL MEIN KHAALI HUYEE AGHYAAR SE MAHFIL TAU KYA?
SHARN BHI JAAYE TAU MAI'N JAANU'N KE TANHAII HUYEE

GARD UDI AASHIQ KI TURBAT SE TAU JHUNJHLA KE KAHA
" WAH SAR CHADNEY LAGI PAAO'N KI THUKRAII HUYEE

Sunday, May 19, 2013

GHAZAL ... ASGHAR GONDVI

YEH ISHQ NEY DEKHA HAI, YEH AQAL SE PINHA'N HAI
QATRE MEIN SAMUNDAR HAI, ZARRE MEIN BIYABAA'N HAI

HAI ISHQ KI SHORISH SE RAANAI-O-ZEBAAII
JO KHOON UCHALTA HAI, WOH RANG-E-GULISTAA'N HAI

SAU BAAR TERA DAAMAN HAATHO'N MEIN MERE AAYA
JAB AANKH KHULI DEKHA APNA HI GAREBAA'N HAI

ASGHAR SE MILE LEKIN ASGHAR KO NAHI'N DEKHA
ASH'AAR MEIN SUNTE HAI'N KUCH KUCH NUMAAYA'N HAI

Friday, May 17, 2013

AFSURDA'H NA HO AYE NIGAH-E-NAAZ-E-MOHABBAT... SHAKEEL BADAYUNI

AFSURDA NA HO AYE NIGAH-E-NAAZ-E-MOHABBAT
AFSHA HUA JAATA HAI HAR EK RAAZ-E-MOHABBAT

CHEDA JO NIGAAHO'N NEY ZARA SAAZ-E-MOHABBAT
HAR ZARRE SE AANE LAGI AWAAZ-E-MOHABBAT

WOH LAAKH FAREB-E-NIGAH-O-DIL SAHI LEKIN
AAGHAZ-E-MOHABBAT HAI PHIR AAGHAZ-E-MOHABBAT


Thursday, May 16, 2013

JO EK NAZAR KI JUMBISH SE... SHAKEEL BADAYUNI

JO EK NAZAR KI JUMBISH SE SAB DIL KI BASTI LOOT GAYA
WOH JIS SE AANKHEN CHAAR HUYEE'N AUR HAATH SE SAAGHAR CHOOT GAYA

DIL USS KA BHI HAI, MERA BHI, HAI  FARQ SHAKEEL ITNA LEKIN
WOH PATTHAR THA JOI JO SAABIT HAI, YEH SHEESHA THA JO TOOT GAYA

Tuesday, May 14, 2013

CHEE'N BAR JABEE'N HO... BAAQI SIDDIQUI

CHEE'N BAR JABEE'N HO
KITNE HASEE'N HO

ITNI                KHAMOSHI
GOYA NAHI'N HO

WOH MEHARBAA'N HAI'N
KYU'NKAR YAQEE'N HO

DUNIYA SE KHELO
NAAZ-E-AAFREE'N HO

JAISA SUNA THA
WAISE NAHI'N HO

CHEE'N BAR JABEE'N HO... BAAQI SIDDIQUI

CHEE'N BAR JABEE'N HO
KITNE HASEE'N HO

ITNI                KHAMOSHI
GOYA NAHI'N HO

WOH MEHARBAA'N HAI'N
KYU'NKAR YAQEE'N HO

DUNIYA SE KHELO
NAAZ-E-AAFREE'N HO

JAISA SUNA THA
WAISE NAHI'N HO

TERE BAKHSHE HUYE...GHULAM MOHAMMED QAASIR

TERE BAKHSHE HUYE EK GHAM KA KARISHMA HAI KE AB
JO BHI GHAM HO MERE MEYAAR SE KAM HOTA HAI

YEH BHI EK RANG HAI SHAYED MERI MEHROOMI KA
KOI HANS DE TAU MOHABBAT KA GUMAA'N HOTA HAI

DO KNARO'N MEIN... JAMEEL MALIK

DO KINARO'N MEIN ANAA KA YEH SAMUNDAR KAISA
KYUN TERI ZAAT, MERI ZAAT NA HONE PAAYEE

DE GAYA MARR KE KOI SAARE ANDHERO'N KO SHIKAST
YUN SAHAR AAYEE KE PHIR RAAT NA HONE PAAYEE

JO CHAHO SAZA DE LO... HASRAT MOHANI

JO CHAHO SAZA DE LO, TUM AUR BHI KHEL KHELO
PAR HUM SE QASAM LE LO, KI HO JO SHIKAYET KABHI

KHUD ISHQ KI GUSTAAKHI SAB TUJH KO SIKHA LE GI
AYE HUSN-E-HAYAA-PARWAR! SHOKHI BHI, SHARARAT BHI

AYE SHAUQ KI BE-BAAKI WOH KYA TERI KHWAHISH THI
JIS PAR UNHEN GHUSSA HAI, INKAAR BHI, HAIRAT BHI

Monday, May 13, 2013

DAFAN JAB....MOMIN

DAFAN JAB KHAAK MEIN HUM SOKHTA JAA'N HO'N GE
FALS-E-MAAHI KE GUL SHAMA-E-SHABISTAA'N HO'N GE

NAAWAK-ANDAZ JIDHAR DEEDA-E-JAANA'N HO'N GE
NEEM BISMIL KAI HO'N GE, KAI BE JAA'N HO'N GE

TAAB-E-NAZAARA NAHIN AAINA KYA DEKHNE DU'N
AUR BAN JAAYE'N GE TASVER JO HAIRAA'N HO'N GE

TU KAHA'N JAYE GI KUCH APNA THIKANA KAR LE
HUM TAU KAL KHWAB-E-ADAM MEIN SHAB-E-HIJRAA'N HO'N GE

KAR KE ZAKHMI MUJHE NAADIM HO'N YEH MUMKIN HI NAHIN
GAR WOH HO'N GE BHI TAU BEWAQT PASHEMAA'N HO'N GE

UMR TAU SAARI KATI ISHQ-E-BUTAA'N MEIN MOMIN
AAKHIRI WAQT MEIN KYA KHAAK MUSALMAA'N HO'N GE

YEH KIN NAZRO'N SE.... FARAZ

YEH KIN NAZRO'N SE TU NE AAJ DEKHA
KE TERA DEKHNA DEKHA NA JAYE
FARAZ APNE SIWA HAI KAUN TERA
TUJHE TUJH SE JUDA DEKHA NA JAYE

DAST-E-GUSTAKH... SHOEB BIN AZEEZ

DAST-E-GUSTAAKH PE ILZAAM GHALAT HAI TANHA
PECH WOH BHI TAU KOI BAND-E-QABA MEIN RAKHTA

KYA ZAROORI THA, SARAABO'N KA TAKALLUF YA RAB
TU NE RAKHNA THA HAMEN DASHT-E-BALA MEIN RAKHTA

AB UDAAS PHIRTE HO... SHOEB BIN AZEEZ

AB UDAAS PHIRTE HO SARDIYON KI SHAAMO'N MEIN
ISS TARAH TAU HOTA HAI ISS TARAH KE KAAMO'N MEIN

AB TAU USS KI AANKHON KE MAIKADE MAYASSAR HAIN
PHIR SUKOON DHOONDO GE SAAGHARO'N MEIN JAAMO'N MEIN

DOSTI KA DAAVA KYA, AASHQI SE KYA MATLAB
MAIN TERE FAQEERO'N MEIN, MAIN TERE GHULAMO'N MEIN

ATAA KIYA HAI....JAZBI

ATAA KIYA HAI JO DARD-E-DIL AASHNA HUM KO
KARAM KE PARDE MEIN ZAALIM NA AAZMA HUM KO

DIKHA RAHI HAI MOHABBAT KE SAB NASHEB-O-FARAZ
BOHOT AZEEZ HAI YEH AAH-E-NA-RASA HUM KO

HUM HI HAIN SOZ, HUM HI SAAZ HAIN, HUM HI NAGHMA
ZARA SAMBHAL KE SAR-E-BAZM CHEDNA HUM KO

JHUKI RAHI NIGAH-E-SHAUQ MUJRIMO'N KI TARAH
GUZAR GAYA KOI HAIRAT SE DEKHTA HUM KO


Friday, May 10, 2013

NAFRATO'N SE CHEHRA CHEHRA...AKHTAR AFROZ

NAFRATO'N SE CHEHRA CHEHRA GARD THA
MUJRIM-E-INSAANIYAT HAR FARD THA

KUCH HAWAAO'N MEIN BHI THA KHAUF-O HARAAS
KUCH FIZAO'N KA BHI CHEHRA ZARD THA


ZINDAGI KHIN GAYEE MUJH SE... MUZAFFAR VAARSI

ZINDAGI KHINCH GAYEE MUJH SE TERE ABRUU KI TARAH
APNE HI KHOON KA PYASA HU'N LAB-E-JUU KI TARAH

SHOLA-E-SOZ-E-DURUU'N SARD HUA JAATA HAI
KOI SAMJHAYE SABA KO KE CHALE LUU KI TARAH

WOH SITARA JO MERE NAAM SE MANSOOB HUA
DEEDA-E-SHAB MEIN HAI EK AAKHRI AANSUU KI TARAH

SHABNAMI HAATH BADHAO KE KHULE DARWAAZA
BIN KHILE PHOOL KE ZINDAA'N MEIN HU'N KHUSHBUU KI TARAH

CHAHTE HAIN JO MUZAFFAR GHAM-E-HASTI SE QARAAR
BAITH JAAYEN WOH GADAHA KHOD KE SAADHUU KI TARAH

NUQTE KO NUQTE SE JODUUN ....MUZAFFAR VAARSI

NUQTE KO NUQTE SE JODUU'N BANTI JAYE LAKEER
AANKHON AANKHON DHOOND RAHA HUNAPNE KHWABO'N KI TAABEER

RAUSHNIYO'N KE TARANE SE BHI DEEWARE'N BOL UTHI'N
SAAYO'N KI HALCHAL SE BHI TOOTE TANHAI KI ZANJEER

SOCHO'N KI UNGLIYON PE ULJHE ULJHE DHAAGO'N JAISA LAFZ
LAFZO'N KE PASS MANZAR MEIN BE-RANGAT BE-CHEHRA TASVEER

SARRAFE MEIN KAUN MUZAFFAR TUJH SE LE GA THEKRIYA'N
ISS BAZAAR KE ZAR-GAR HAIN GHALIB, IQBAL, ANEES, NAZEER

Thursday, May 9, 2013

MAIN BATAAOON NAASE'H ....SHAKEEL BADAYUNI

MAIN BATAAOON FARQ  NAASEH, JO HAI MUJH MEIN AUR TUJH MEIN
MERIZINDAGI TALAATUM, TERI ZINDAGI KINAARA

KOI AYE SHAKEEL DEKHE YEH JUNOON NAHIN TAU KYA HAI
KE USSI KE HO GAYE HUM JO NA HO SAKA HAMAARA 

JALEEL AALI....COUPLETS

APNE DIYE KO CHAAND BATAANE KE WAASTE
BASTI KA HAR CHIRAAGH BUJHAANA PADA HAMEN

CHAL RAHA HUN BAAOLI KHWAHISH KI UNDLI THAAM KAR
JAANE  LE JAAYE KAHAN YEH BE-JAHAT RAHBAR MUJHE

JWAAZ KYA HAI KE ISS SHAHAR KI TABAAHI NA HO
JAHAN KISI NE BHI RASM-E-WAFA NIBAAHI NA HO

USS DIN AISI SURKHI THI AKHBAARO'N PAR
GOONGE HO GAYE SHAHAR KE SAARE HAWKER BHI

MOHSIN NAQVI... COUPLETS

RUKE GI SHARM SE KAHAN YEH KHAAL-O-KHAD KI RAUSHNI?
CHUPE GA AAFTAAB KYA HATHELIYON KI OTT MEIN?

TERE MERE MILAP PAR WOH DUSHMANO'N KI SAAZISH
WOH SAANP RENGTE HUYE CHANEELIYONKI OTT MEIN

PATTO'N SE BHAR RAHE THAY HAWAAON KI JHOLIYA'N
GIRTE HUYE SHAJAR BHI SAKHI INTEHAA KE THAY

MOHSIN JO DE GAYA MUJHE SAANSO'N KI BAANSURI
FANKAR KIS QADAR WOH SUREELA DIKHAYEE DE


URDU POETRY... MOHSIN NAQVI

DOOBTA DIN JAHAN KIRNON KE NISHAA'N CHOD GAYA
RAAT BHATKE GI WAHAN TA BA'H SAHAR , AWAARA

JISM KI QAID NAHIN, NOK-E-SANAA'N  PAR HI SAHI
SHAHAR DAR SHAHAR PHIRE SHORISH-E-SAR, AWAARA


URDU POETRY,,,IFTIKHAAR AARIF

AYE AJR-E-AZEEM DENE WAALE
TAUFEEQ-E-GUNAAH CHAHTA HUN

WOH DIN KE TUJHE BHOOL JAAOON
USS DIN SE PANAAH CHAHTA HUN

URDU POETRY IFTIKHAR AARIF

QAFAS MEIN AAB-O-DAANE KI FRAWANI BOHOT HAI
ASEERON KO KHYAL-E-BAAL-O-PAR SHAYED NA AAYE

KISE MALOOM AHL-E-HIJR PAR AISE BHI DIN AAYEN
QAYAMAT SAR SE GUZRE AUR KHABAR SHAYED NA AAYE

MAAYUS TAU HUN....SAHIR

MAAYUS TAU HUN VAADE SE TERE
KUCH AAS NAHIN KUCH AAS BHI HAI
MAIN APNE KHYALON KE SADQE
TU PAAS NAHIN AUR PAAS BHI HAI

DIL NE TAU KHUSHI MAANGI THI MAGAR
JO TU NE DIYA ACHCHA HI DIYA
JIS GHAM KA TALL'UQ HO TUJH SE
WOH RAAS NAHIN AUR RASS BHI HAI

PALKON PE LARZTE ASHKON MEIN
TASVEER JHALAKTI HAI TERI
AB PYAS NAHIN AUR PYAS BHI HAI

ASHKON MEIN JO PAAYA HAI.... SAHIR

ASHKON MEIN JO PAAYA HAI, WOH GEETON MEIN DIYA HAI
USS PAR BHI SUNA HAI KE ZAMAANE KO GILA HAI

JO TAAR SE NIKLI HAI, WOH DHUNN SAB NE SUNI HAI
JO SAAZ PE GUZRI HAI, WOH KIS DIL KO PATA HAI

HUM PHOOL HAIN, AURON KE LIYE LAAYE HAIN KHUSHBOO
APNE LIYE LE DE KE BAS EK DAAGH MILA HAI

SAHIR KA KALAAM JO FILMI GEET BHI BANA 1...MUZMAHIL KHWAB

MERE KHWABON KE JHAROKON KO SAJANE WAALI
TERE KHWABON MEIN KAHIN MERA GUZAR HAI KE NAHIN
POOCH KAR APNI NIGAAHON SE BATA DE MUJH KO
MERI RAATON KE MUQADDAR MEIN SAHAR HAI KE NAHIN

CHAAR DIN KI YEH RAFAQAT JO RAFAQAT BHI NAHIN
UMR BHAR KE LIYE AAZAR HUYEE JAATI HAI
ZINDAGI YUN TAU HAMESHA SE PARESHAN SI THI
AB HAR SAANS GIRAANBAAR HUYEE JAATI HAI

MERI UJDI HUYEE NEENDON KE SHABISTAANON MEIN
TU KISIKHWAB KE PAIKAR KI TARAH AAYEE HAI
KABHI APNI SI KABHI GHAIR NAZAR AAYEE HAI
KABHI IKHLAAS KI SOORAT KABHI HARJAYEE HAI

PYAR PAR BAS TAU NAHIN HAI MERA LEKIN PHIR BHI
TU BATA DE KE TUJHE PYAR KARUN YA NA KARUN
TU NE KHUD APNE TABASSUM SE JAGAYA HAI JINHEN

TU KISI AUR KE DAAMAN KI KALI HAI LEKIN
MERI RAATEIN  TERI KHUSHBOO SE BASI REHTI HAIN
TU KAHIN BHI HO TERE PHOOL SE AARIZ KI QASAM
TERI PALKEN MERI AANKHON PE JHUKI REHTI HAIN

TERE HAATHON KI HARART TERE SAANSON KI MEHAK
SARSARATI HAI MERE ZEHAN KI PINHAII MEIN
DHOODTI REHTI HAIN TAKHKHI'UL KI BAAHEN TUJHE
SARD RAATON KI SULAGTI HUYEE TANHAII MEIN

TERA ALTAAF-O-KARAM EK HAQEEQAT HAI MAGAR
TEH HAQEEQAT BHI HAQEEQAT MEIN FASANA HI NA HO
MERI MAANOOS NIGAHON KA YEH MOHTAAT PYAM
DIL KE KHOON KARNE KA EK AUR BAHANA HI NA HO

KAUN JAANE MERE IMROZ KA FARDA KYA HAI
QURBATEN BADH KE PASHEMAN BHI HO JAATI HAIN
DIL KE DAAMAN SE LIPAT'TI HUYEE RANGEEN NAZREN
DEKHTE DEKHTE ANJAAN BHI HO JAATI HAIN

MERI DARMAANDA'H JAWANI KI TAMANNAON KE
MUZMAHIL KHWAB KI TAABEER BATA DE MUJH KO
TERE DAAMAN MEIN GULISTAAN BHI HAIN VEERANE BHI
MERA HAASIL, MERI TAQDEER BATA DE MUJH KO

Monday, May 6, 2013

URDU POETRY... DAAGH 4

APNI TAAREEF SE CHIDTE HO AGAR JAANE DO
CHASHM-E-BAD-DOOR HAMARA HI JAMAAL ACHCHA HAI

AAP GHABRAYEN NAHIN JAUR SE TAUBA NA KAREN
AAP GHABRAYEN NAHIN DAAGH KA HAAL ACHCHA HAI

URDU POETRY... DAAGH 3

PARWANA PAAS SHAMA KE BULBUL HAI GUL KE PAAS
EK MAIN KE TERI BAZM MEIN KHILWAT GAZEEDA'H HUN

AYE ARZOO-E-TAAZA NA KAR MUJH SE CHED-CHAAD
MAIN PAA-E-SHAUQ-O-DAST TAMNNA BAREEDA'H HUN

URDU POETRY... DAAGH 2

TUMHIEN KAHO KE KAHAN THI YEH WAZ'AA YEH TARKEEB
HAMARE ISHQ NE SAANCHE MEIN TUM KO DHAAL DIYA

BATAAYEN LAFZ-E-TAMNNA KE TUM KO MAAN'II KYA
TUMHARE KAAN MEIN EK HARF HUM NE DAAL DIYA

URDU POETRY... DAAGH 1

SHAB-E-HIJRAA'N SE MAUT BEHTAR HAI
KHWAB AARAM SE TAU AAYE GA

KABHI APNA BHI DAUR-E-KHUSH AYE DAAGH
DAUR-E-AYYAM SE TAU AAYE GA

URDU GHAZAL... ANON

HAI ZULF-E-YAAR HALQA-E-ZANJEER HU-BA-HU
RAKHTI HAI AANKH SAHAR SI TAASEER HU-BA-HU

USS KE BYAZ-E-RUKH PE WOH NOOR-E-SAHAR KI CHHOOT
CHALKA PADE HAI RANG-E-TABASHEER HU-BA-HU

USS KOOCHE MEIN DIL APNA JAHAN CHOD AAYE HUM
JANNAT SI EK HAI WAHIN TAAMEER HU-BA-HU

BAALEE'N PE MERI SHAMA RUKH-E-YAAR WAQT-E-NAZA'A
JAISA THA KHWAB WAISI HAI TAABEER HU-BAHU

GUM GUSHTA-O-DASHT-E=SHAB MEIN WOH NANHI SI AABJUU
HAI MERE BAKHT-E-KHAFTA KI TASVEER HU-BA-HU

TAAB-E-NAZAARA KIS KO HAI GULSHAN MEIN SUBAH KE
USS KA JAMAAL MAHR KI TANVEER HU-BA-HU





Urdu poetry

Hai wahi jabr wahi qahar wahi kubr-o-ghuroor
Butt khuda hain magar insaaf na karne waale

Sunday, May 5, 2013

URDU POETRY.... ANON

NAZRON MEIN USS NE MUJH SE ISHAARAT AAJ KI
KYA THA YEH KHWAB KUCH NA KHULI BAAT AAJ KI

MAIN NE TAU BHAR NAZAR TUJHE DEKHA NAHIN ABHI
RAKHIYO HISAAB MEIN NA MULAQAAT AAJ KI

JEE MEIN YAHI THA MERE KE DAUR-E-SHARAB HO
MAIN SACH KAHUN KE TU NE KARAAMAAT AAJ KI

YEH GUFTUGU KABHI BHI NA AAYEE THI DARMIYAN
JO KUCH KE TU NE HARF-O-HIKAYAAT AAJ KI

LEKIN MUJHE TAU PHIR WAHIN KAL DEKHIYO HUSN
GAR KHAIR-O-AAFIYAT SE KATI RAAT AAJ KI

URDU POETRY.... DAAGH

NIGAAH-E-MAST NE SARSHAAR KAR DIYA MUJHE
SHARAB MUJH SE CHUTI MAIN SHARAB SE CHOOTA

NA KYUN HO RASHK MUJHE AISE MILNE WAALON PAR
NA RANG GUL SE NA NASHA SHARAB SE CHOOTA


Saturday, May 4, 2013

URDU POETRY.... PARVEEN SHAKIR

KOO BAA KOO PHAIL GAYEE BAAT SHANASAI KI
USS NE KHUSHBOO KI TARAH MERI PAZEERAI KI

WOH KAHIN BHI GAYA, LAUTA TAU MERE PAAS AAYA
BAS YAHI BAAT HAI  ACHCHI MERE HARJAI KI

URDU POETRY.... ANWAR SHAOOR

NAHIN HAI TALKH-GOI SHEWA-E-SANJEEDGAAN LEKIN
WOH MUJH KO GAALIYAN DEN GE, TAU KYA CHUP SAADH LUN GA

KIYA HAI GARDISHON SE TUNG AA KAR FAISLA MAIN NE
KE MEHNAT KE ILAAWA CHAAPLOOSI BHI KARUN GA MAIN

URDU POETRY....MUXAFFAR VAARSI

LIYA JO USS KI NIGAAHON NE JAAYEZAA MERA
TAU TOOT TOOT GAYA KHUD SE RAABTA MERA

KIYA GAYA THA KABHI, MUJH KO SANGSAAR JAHAN
WAHIN LAGAYA GAYA HAI MUJASSANA MERA

Wednesday, May 1, 2013

HUM HAIN AUR.... SHAKEEL BADAYUNI

HUM HAIN AUR UNN KI KHUSHI HAI AAJKAL
ZINDAGI HI ZINDAGI HAI AAJKAL

GHAM KA HAR AALAM NAYA HAI INN DINON
DIL KI HAR DUNIYA NAI HA AAJ KAL

UNN KA ZIKR, UNN KI TAMANNA, UNN KI YAAD
WAQT KITNA QEEMTI HAI AAJKAL

CHAAND BHI HAI SOGWAAR-E-HIJR DOST
PHEEKI PHEEKI CHAANDNI HAI AAJKAL

KAB TAK SHAKEEL DIL KO.... SHAKEEL BADAYUNI

KAB TAK SHAKEEL DIL KO DAGHA DIJIYE GA AAP
BETAR YAHI HAI UNN KO BHULA DIJIYE GA AAP

PHIR TISHNA-E-JAMAAL BANA DIJIYE GA AAP
RUKH SE NIQAAB ULAT KAR GIRA DIJIYE GA AAP

DIL KE AIWAZ TAU GHAM HIDIYA AAP NE MAGAR
AB JAAN BHI NAZAR KAR DUN TAU KYA DIJIYE GA AAP


MUJH KO SAAQI NE... SHAKEEL BADAYUNI

MUJH KO SAAQI NE JO RUKHSAT KIYA MAIHKHAANE SE
KHUD MAIH-E-NAAB CHALAKNE LAGI PAIMAANE SE

DEKH KAR HAALAT-E-DIL UNN KO TARAS AA HI GAYA
WOH BHI GHABRA SE GAYE MERE TADAP JAANE SE

DETE HAIN TAANA-E-ASNAAM PARASTI MUJH KO
SIJDA KARTE HUYE NIKLE HAIN JO BUTTKHAANE SE


AL KE APNI AAG MEIN.... SHAKEEL BADAYUNI

JAL KE APNI AAG MEIN KHUD SURAT-E-PARWANA HUM
BAN GAYE HUM RISHTA-E-KHAAK-E-DAR-E-JAANAANA'H HUM

DEKHIYE KIS RAAH LE JAAYE SUKOON KI JUSTAJU
CHAL TAU NIKLE HAIN BA-YAK ANDAZ-E-BETAABANA HUM

FURSAT-E-YAK LAMHA DE DETI JO FIKR-E-ROZGAAR
YAAD KAR LETE KOI BHOOLA HUA AFSAANA HUM


BADLE BADLE MERE GHAMKHWAR NAZR AATE HAIN... SHAKEEL BADAYUNI

BADLE BADLE MERE GHAMKHWAR NAZAR AATE HAIN
MARHALE ISHQ KE DUSHWAR NAZAR AATE HAIN

KISHTI-E-GHAIRAT-O-EHSAAS SLAAMAT YA RAB
AAJ TOOFAN KE AASAAR NAZAR AATE HAIN

INQUILAB AAYA NA JAANE YEH CHAMAN MEIN KAISA?
GHUNCHA-O-GUL MUJHE TALWAR NAZAR AATE HAIN

JAAYEZAA DIL KA AGAR LUN TAU WAFA SE KHAALI
SHAKL DEKHO TAU NAMAK-KHWAR NAZAR AATE HAIN

HUM NA BADLE THAY, NA BADLE HAIN, NA BADLEIN GE SHAKEEL
EK HIRANG MEIN HAR BAAR NAZAR AATE HAIN