Monday, May 6, 2013

URDU GHAZAL... ANON

HAI ZULF-E-YAAR HALQA-E-ZANJEER HU-BA-HU
RAKHTI HAI AANKH SAHAR SI TAASEER HU-BA-HU

USS KE BYAZ-E-RUKH PE WOH NOOR-E-SAHAR KI CHHOOT
CHALKA PADE HAI RANG-E-TABASHEER HU-BA-HU

USS KOOCHE MEIN DIL APNA JAHAN CHOD AAYE HUM
JANNAT SI EK HAI WAHIN TAAMEER HU-BA-HU

BAALEE'N PE MERI SHAMA RUKH-E-YAAR WAQT-E-NAZA'A
JAISA THA KHWAB WAISI HAI TAABEER HU-BAHU

GUM GUSHTA-O-DASHT-E=SHAB MEIN WOH NANHI SI AABJUU
HAI MERE BAKHT-E-KHAFTA KI TASVEER HU-BA-HU

TAAB-E-NAZAARA KIS KO HAI GULSHAN MEIN SUBAH KE
USS KA JAMAAL MAHR KI TANVEER HU-BA-HU





No comments:

Post a Comment