Wednesday, April 10, 2013

MAJBOORIYAN....MAJAZ

MAIN AAHEN BHAR NAHIN SAKTA KE NAGHME GAA NAHIN SAKTA
SUKOON LEKIN MERE DIL KO MAYYASAR AA NAHIN SAKTA

KOI NAGHME TAU KYA AB MUJH SE MERA SAAZ BHI LE LE
JO GAANA CHAHTA HUN, AAH, WOH MAIN GAA NAHIN SAKTA

MAT'AA-E-SOZ-O-SAAZ-E-ZINDAGI, PAIMAN-O-BARBAT
MAIN KHUD KO IN KHILAUNON SE BHI AB BEHLA NAHIN SAKTA

WOH BAADAL SAR PE CHHAYE HAIN KE SAR SE HAT NAHIN SAKTE
MILA HAI DARD WOH DIL KO  KE DIL SE JAA NAHIN SAKTA

HAVASKAARI HAI JURM-E-KHUDKUSHI MERI SHARIAT MEIN
YEH HADD-E-AAKHIR HAI MAIN YAHAN TAK JAA NAHIN SAKTA

NA TOOFAN ROK SAKTE HAIN NA AANDHI ROK SAKTI HAIU
MAGAR PHIR BHI MAIN USS QASR-E-HASEEN TAK JA NAHIN SAKTA

WOH MUJH KO CHAHTI HAI AUR MUJH TAK AA NAHIN SAKTI
MAIN USS KO POOJTA HUN AUR USS KO PAA NAHIN SAKTA

YEH MAJBOORI SI MAJBOORI YEH LAACHAARI SI LAACHAARI
KE USS KE GEET BHI JEE KHOL KAR MAIN GAA NAHIN SAKTA

HADIEN WOH KHEENCH RAKHI HAIN HARAM KE PAASBAANON NE
KE  BIN MUJRIM BANE PAIGHAAM BHI PAHUNCHA NAHIN SAKTA

3 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Heelo, hawiskaari hai jurm-e-Khudkhusi meri shariat me, iss para me jitni lines hain kya wo bilkul sahi hain plzz nujhe confirm karke batayen , ki isme koi mistake nhi hai ? Bilalhasansyed@gmail.com

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ke uske gtte bhi jee kholkar main gaa nahi skata ke baad ,

      Zaban pe bekhudi me naam uska aa hi jata hai ,
      Agar puche koi ye kon hai batla nhi sakta ,
      Ye lines bhi hai agar ho sake to aap mujhe puri sahi nazm bhej de (Y)

      Delete