Friday, January 31, 2014

Do She'rr by Iqbal Azeem

1. Safar pe nikle hai'n hum poore ahtemaam ke saath
    Hum apne ghar se kafan saath le ke aaye hai'n

2. Ab hum bhi sochte hai'n ke bazaar garm hain
    Apna zameer bech ke duniya khareed le'n

Wednesday, January 15, 2014

Aji pehle AAP by Raja Mehdialy khan

" Aji rakhiye jannat ke dar mein qadam
"Aji pehle AaAp "
" Aji waah pehle na jaaye'n ge hum "
" Aji pehle AAp "
" Aji baat iss mein takalluf ki kya
  Qudoom-e-Mubarak badhaye'n zara
   Aji chaliye, ruk jaaye'n gi sab jagah
" Aji pehle AAP "
" Bhaii pehle AAP "
 Aji badh bhi chukiye khuda ke liye
  Sabhi ab tau jannat mein hai'n jaa chuke
  Na ab mujh se kahiye khuda ke liye
 " Aji Pehle AAP "

Thursday, January 2, 2014

Ghalib ki Farsi shayeri

taqdeer ki sitam-zareefi dekhiye ke Ghalib jo sirf apni farsi shayeri par fakhr kartay thay aur apne urdu ash'aar ko " na'ng-e-mann ast " kehte huye hiqaarat ka muzaahira karte thay. aaj unhe'n urdu ash'aar ki badaulat hi duniya ke azeem sho'raa mein shumaar kiya jaata hai.

ab agar Mirza Ghalib apne Farsi kalaam par iss qadar fakhr karte hain tau sawal yeh paida hota hai ke Iran mein unn ke kalaam ko kyun nahin saraaha gaya aur Irani naqqad jo Amir Khusrau ko ek zabardsat Hindustani Farsi-go shayer tasleem karte hain, Mirza Ghalib ke ash'aar se naa-waqif kyun hain.

Uss ki wajah hai ke Ameer  Khurau uss daur ke shayer hain jab umraa-o-raoosa, sho'raa-o-tulbaa-o-auliya sab Farsi par dastaras rakhte thay. Iss liye Ameer Khusrau ki zindagi mein hi khud hindustaniyon ne unn ke kalaam ko apnaya aur hind-o-iraan ke beech aane-jaane ke musalsal silsilo'n ki wajah se unn ke4 kalaam ki shohrat Iraan tak jaa pahunchi. iss ke ilaawa, Ameer Khusrau khud ek imaanm sukhan hain. unn ke kalaam mein bhi zyada-tar S'aadi aur Nizaami jaise mash'hoor-o-m'aaroof Irani sho'raa ka asar paaya jaata hai.

meri raaye mein Ghalib ke Farsi kalaam ke maqbool na hone ki wajoohat yeh hain;
1. khud Ghalib ke zamaane mein Farsi ka daur-e-iqtedaar khatam ho chuka tha aur Farsi ki navkhez aur navjawan beti Urdu raajsinghasan par brijmaan ho chuki thi.
2.yeh ek kadwi saccchaii hai keunneeswi'n sadi mein angrezo'n ki siyasat ki bina par Iran aur Hindustan ke beech aana-jaana kam ho chuka tha.

3.teesri wajah thi ke khwaja hafiz shirazi ne Farsi mein ghazaql ko jis oonchaii tak pahunchaya, uss oonchai tak khud Iran ka koi ghazal shayer kabhi nahin pahunch saka.
4. Ghalib ke daur tak Qaseede aur Masnavi dono ki hi maqbooliyat dum tod chuki thi aur isi liye Ghalib ki achchi masnaviya'n kisi darje tak pahunch hi nahin paaii'n.


Wednesday, December 25, 2013

Ghalib...t'aaruf by Dr Tanveer Ahmed Alvi

Ghalib, Jin ko hum paidaish ke lihaaz se Akbarabadi keh sakte hain, neez ek lambe arse Tak Dehli mein qayam ki wajah se Dehalvi kehlate hain. Inn do bade shaharo'n ke zariye se adabi aur tahzeebii aitbaar se qadar-e-mushtarak darja rakhte hain.
Apne zamaana-e-hayat mein bhi woh ek bade shayer, nasar nigaar, hannkaar aur adabi naqqad thay, adabi taareekh mein bhi unn ka naam ek bade shayer ki haisiyat se aata raha hai. Farsi se unn ko khaas shaghaf tha aur Urdu maktoobaat mein woh ek khaas adabi asloob ke Baani khyal kiye jaate hain. Unn ka ek she'rr hai--
Ganjeenah-e-m'aanii ka tilism uss ko samajhiye
Jo lafz ke Ghalib mere ash'aar mein aaye
Yeh ganjeenah-e-m'aanii ka tilism unn ka Urdu kalaam hai, jis mein unho'n ne apni shayerana mazmoon-bandi husn-e-bayan aur lutf-e-zabaan ke behtareen namoone pesh kiye hain.
Unn ke khyal se unn ke Urdu kalaam ki woh qadar na huii jis qadar-farmaii ya qadar-afzaii ka mustahiq unn ke ash'aar ka yeh silsila tha. Magar woh iss par yaqeen rakhte thay ke unn ke baad unn ki shayeri ki qadar zaroor ho gi.
Yeh tau nahin kaha jaa sakta ke Ghalib ki shayeri ki mai-e-rangeen apne waqt mein nasha-aawar nahin thi aur yeh sharab khareedari ke fuqdaan ke baayes rafta rafta baada-e-kuhan mein badli hai ( jis ke baad sharab ka nasha tez ho jaata hai ) magar iss mein bhi koi shak nahin ke waqt ke saath saath Ghalib ki shohrat mein bhi izaafa hua balke ghair-maamooli izaafa hua aur unn ke she'rr-o-sh'aoor ki sharab tu'nd-o-tez waqt ke guzarne ke saath mai-e-do-aatisha balke seh-aatisha ho gaii.

Saturday, December 14, 2013

Ghazal by Khalid Basheer Ahmed

Nikaal-e-aab-e-takallum uss ne kiya
Main Lajawab tha, aisa sawal uss ne kiya

Jo baat ki wahi dil tod dene waali ki
Main chupp raha tau iss ka malaal uss ne kiya

Yeh koi ek ya do, chaar din ki baat nahi'n
Ke intezaar bohot maah-o-saal uss ne kiya

Tera khyal bada khushnuma parinda tha
Magar uthaan mein hi inteqaal uss ne kiya

Monday, December 9, 2013

Nai Duniya ko Salaam ( vision ) Ali Sardar Jaafri

Duniya ki taareekh mein koi daur aisa nahi'n aaya jis mein insaan ko shikast huii ho. Afraad aur tabqaat ko shikast hoti rahi hai aur hoti rahe gi. Lekin insaan na-qaabil-e-shikast hai. Kyu'nke uss ki mehnat, jadd-o-jahad aur amal uss ke apne sha'oor hi ki nahi'n balke badi hadd tak uss ke mahaul  ki bhi khaaliq hai. Yeh aqeeda'h jo andha aqeeda'h nahi'n. Mera sab se bada inspiration hai aur main isse adab aur fann ka abadii mauzuu samjhata hu'n sab se zyada shaandar sab se azeem-ul-martabat sab se haseen insaan hai.

Saturday, December 7, 2013

Shayer ki Beewi by Shaukat Thanvi ( Tanz )

Shayeri aur pet ka dhanda ajab sam hai
Jaan ke gaahak hai'n beewi aur bachche sab ke sab

Faailaatun failaatun baith kar karte hai'n jab
Ahliyaa ko yaad aati hai hamari be-sabab

Ek sarota haath mein aur paandan apna liye
Sar pe aa jaati hai'n ladne apna khaandan liye

Shayer-e-sheeri'n-bayaa'n baitha hai ghabraya hua
Zehan mein hai tarah ka mis'raa bhi baulaya hua

Woh yeh kehti hai ke jaaye bhaad mein yeh shayeri
Edi-choti par karu'n qurbaan yeh kaareegari

Itne din se koi bhi paisa mila, Socho, zari
Yaad kar lo December, January phir Farwari