Wednesday, February 26, 2014

Majaz by Jazbi

Aaj ek jaada'h-e-pr-pech ka raahi gum hai
Ek hareef-e-alam la-manta hi gum hai

Ek saudaii-e-taameer-e-gulista'n mafqood
Ek Awaara-e-toofan-e-tabahi gum hai

Ek dahakta hua shola nahi'n maikhane mein
Ek mahakte hui sarshar nigaahi gum hai

Husn waalo'n ki jabeeno'n ka ujaala ojhal
Ishq waalo'n ke naseebo'n ki siyahi gum hai

Thursday, February 20, 2014

Ahtiyaat

Chalo, hatao woh qissey tau kab ke khatam huye
Jab apne dil ko hatheli mein le ke phirte thay
Aur ab hamara yeh aalam hai sar jhukaye huye
Iss ahtiyaat se hum dosto'n se milte hai'n
Ke ab tau itni bhi himmat nahi'n ke dhoka khaye'n 

Ghazal by Mohsin Zaidi

Hai'n sar pe yu'n hi kai aasman mere liye
Ek aur dhu'nd ki chaadar na taan mere liye

Mujhe khyal ki rau badh ke rok leti hai
Hai sadd-e-raah tau meri udaan mere liye

Agar usi ki tarah la-makaan mai'n bhi hu'n
Woh phir bana gaya kyu'n makaan mere liye

Zameen paao'n ke neeche se le gaya lekin
Woh sar pe chod gaya aasman mere liye

Monday, February 10, 2014

Bahaar Aaii Faiz Ahmed Faiz

Bahaar aaii tau jaise yak baar
Laut aaye hai'n phir adam se

Woh khwab saare shabaab saare
Jo tere ho'nto'n pe marr mitey hai'n

Jo marr ke har baar phir jiye hai'n
Nikhar gaye hai'n gulab saare

Jo teri yaado'n se mushk-boo hai'n
Jo tere ushshaq  ka lahuu hai'n

Ubal pade hai'n azaab saare
Jo band aankho'n mein kho gaye thay

Jo sard nabzo'n mein so rahe thay


Malaal-e-ahvaal-e-dostaa'n bhi
Khumar-e-aaghosh-e-MADD-o-shaa'n bhi
Ghubaar-e-khatir ke baab saare
Tere hamare sawaal saare
Jawab saare

Bahaar aaii tau khul gaye hai'n
Naye sire se hisaab saare

Kaifi Azmi ki shayeri

" Awaara sijde " ke pesh lafz mein Faiz Ahmed Faiz ne likha hai " Kaifi ki shayeri ka mizaaj kadakpan se aashiqana hai. Lekin ghanaiyah shayeri satahi takallufat aur masnoo'ii zebaisho'n se Kaifi ne bohot kam sarokaar rakha. Gham-e-Jaana'n ka zikr ho ke Gham-e-Dauraa'n ka----  bosa-e-lab ki baat ho ke bosa-e-zanjeer ki, Kaifi baat hamesha khari karte hai'n "

Kaifi ki jamaliyati hiss bohot tez  aur bohot shaista thi, yahi wajah hai ke woh chaahe kisi siyasi mauzoo par qalam uthatey ya zulf-o-kaakul ki baat chedtey ya kisi badi shakhsiyat ko mauzoo-e-sukhan banatey, unn ke ash'aar mein aisa rachao paida ho jaata tha, jo mahaaz zabaan-o-bayan par qudrat ki wajah se nahi'n paida ho sakta hai, balke " dil-e-pur-khoo'n ki gulabi " aur zauq-e-jamaal ki " masti-o-sarshari " se hi zinda-o-Javed ho sakta hai.

" Naya Husn ", " Ek Bosa ", " Nazraana " na sirf Khoobsoorat nazme'n hai'n balke Kaifi Saheb ke shayerana mizaj ko samajhne mein bhi madadgaar saabit hoti hai'n.

" Awaare Sijde " mein baaz shaharo'n aur shakhsiyato'n par bhi Kaifi Saheb ki nazme'n shaamil hai'n. Maslan:
" Nehru " , " Lenin " , "Taashqand " , " Moscow " waghairah. Yeh shayeri ke mauzoo nahi'n ho sakte lekin inn nazmo'n mein Kaifi Saheb ne apne classicki mizaj, hissas zehan se  har mauzoo ko she'rr ke saa'nche dhaal diya hai, aur inn nazmo'n' ko adabi tasaaneef ki shakal Di hai.