Saturday, November 30, 2013

Zill-le-Ilaahi ke Problems by Parveen Shakir

Raaj-paat karne waalo'n ki jaan
Bathe li par rehti hai
Bechaaro'n ke masaayel kaise ajab hote hain
Kabhi iss baajguzaar riyasat ki shoreeda'h-sari
Kabhi uss zer-zehan-nagee'n soobe ki na-farmaani
Kabhi khud paaya-e-takht ke ander ghair munasib bedaari
Kabhi ameer -e-mabtakh ki khaase mein khasi ghair-zaroori dilchaspi
Shahzaado'n ki shora'h pushti
Haram-Sara mein palne waali choti-badi siyasat
Ba-al-eilaan baghavat, dar-parda saazish !
Dushman jald hi khul jaate hai'n
Unn se nibatna itna mushkil kaam nahi'n
Uljhaava tau paao'n choomne waalo'n se padta hai !
Aur unn ki bhi do qisme'n hai'n
Ek tau kutte---------
Apni wafa-daari mein shohra-e-aalam rakhne waale
Jab Tak jee chahe pairo'n mein lot'te hai'n
Phir apni haddi le kar alag ho jaate hai'n
Doosri qism zyada muhlik hai
Yeh do pairo'n par chalti hai
Dekhne mein insaan magar baatin ke reech
Talwe chhat'te chaat'te apne pyare aaqa ko aisa kar dete hai'n ke
Ek Suhani subah ko jab
Apni Kaneez-e-khaas ki bhairavii sun kar aankhe'n kholte hai'n tau
Zil-le-ilaahi
Apne paao'n dhoondte reh jaate hai'n !

She'rr ke kai rang

Naye naye tajrubo'n mein lazzat nai nai si
Tum aaina ho tau sung se ikhtelaaf  rakhna
Jise talasha na khud lahu ke chiraagh le kar
Baja hai har aisi raah se inheraaf rakhna
Hakeem Manzoor ( aajkal march 1990 )

Dil ki vaadi hai ke sehra ka samaa'n
Aankh masmaar, nazaare chup hai'n
Aaj tanha hai bohot tanhaii
Aaj aankhon ke ishaare chup hai'n
Lutf-Ur-Rahman ( Aajka March 1992 )

Hua phir koi raaz sar basta waa
Khamoshi ki sunta hu'n paihum sada
Wahi ek awaaz ki baaz-gusht
Wajood apna goya hai koh-e-nida
Dr Javed Vashisht ( Taameer-e-Hariyana January 1990 )

Khander mein waqt ke tanha khamosh baithi hu'n
Guzarte lamho'n ke qadmo'n ki chaap sunti hu'n
Jo sochiye tau qayamat ka shor hai mujh mein
Jo dekhiye tau faqat ek ujaad basti hu'n
Shabnam Waheed ( Shayer khusoosi shumaara )

Hame'n unn ka makaa'n achcha laga hai
Waha'n se aasma'n achcha laga hai
Kabhi khud se bhi hum uktaa gaye hai'n
Kabhi saara jaha'n achcha laga hai
Mohammed Alvi

Hawa hai tez samundar biphrane wala hai
Bala-e-jaa'n hai jo lamha guzarne wala hai
Shab-e-siyah ke musafir ko alvidaa kaho
Samundaro'n mein safeena utarne waala hai
Unwaan Chishti ( taameer-e-Hariyana July 1991 )

Har cha'nd haqeeqate'n wahi hai'n
Andaz-e-nazar badal gaya hai
Kuch funn ke taqaaze aur hai'n ab
Asloob-e-hunar badal gaya hai
Kamaal Ahmed Siddiqui ( Shaye Khusoosi Shumaara )

Shola-zani ka qissa likh
Ghar ko lahu ka dariya likh
Waqt se pehle baaligh hai
Aaj ka bacha bacha likh
Saif Sahsarami ( Aajkal June 1991 )

To be continued...

Tuesday, November 19, 2013

Imtiyaz Ali taj ke drame Anarkali ka eh chota sa hissa

Salim: ab bhi tere dil mein shubah maujood hai. Tau aye Anarkali! Aye iss dil ki malika, le Hindustan ko apne qadmo'n mein dekh !

Anarkali : aah.. aah

Salim : Anarkali, meri apni Anarkali, tu meri hai, sirf meri hai.

Anarkali : Saheb-e-Aalam ! Saheb-e-Aalam........... Iss ka anjam tabahi hai. Shahzade jaao, bhool jaao.

Salim : hum dono'n ek doosre  ke seene se chime huye ho'n  tau phir koi khauf nahi'n. Aasman hame'n kheench le aur hum nai raushniyo'n mein  uth'te chale jaaye'n.
Zameen hamare pairo'n ke neeche se sarak jaaye aur hum na-maloom andhero'n mein girte chale jaaye'n. Tumhare baazoo dheeley na pade'n tau yeh sab sheeri'n ho ga. Anarkali be-inteha sheeri'n.

Ali Sardar Jafari...Nai duniya ko salaam ( page 96 )

Kal ka andaz kuch aur ho ga
Bazm mein ek naya daur ho ga
Jung ho gi na paikaar ho gi
Tau masarrat sare sarshaar ho ga
Godd mein teri ek chaand ho ga
Jis se Khurshid bhi maa'nd ho ga
Iss tarah mujh ko paa jaaye gi tu
Phir na ek pal bhi ghabraye gi tu
Kitni dilchasp hai yeh kahani
MIT ke banti hai phir zindagaani 

Thursday, November 14, 2013

Yaqeen by Jameel Gulrays

jo mujhe iss ka yaqeen ho mere rafeeq
meri baat tere liye qaabil-e-equbool ho gi
jo mujhe yaqeen ho mere humdum
meri har baat tere liye maanind-e-phool ho gi
tau
main na chupaoo'n kuch
sach keh du'n, har mauzuu par
siyasat par
waade par
wafaa par
mazhab ki
farz-e-ada par
lekin
talkhiyo'n se darr lagta hai
iss liye chupp rehta hu'n