jamaal-e-nav ki mehak har badan se aati hai
barhanagi ko hayaa, pairhan se aati hai
hai sar gunaah ka, dosheezgi ke zaanu par
kiran dhuyen ki tarah anjuman se aati hai
gale ke haar bhi lagte hain phool qabron ke
rujh-e-hayaat pe raunaq kafan se aati hai

No comments:
Post a Comment