nuqte ko nuqte se jodun banti jaye ek lakeer
aankhon aankhon dhoondh raha hun apne khwabon ki taabeer
raushniyon ke takrane se bhi deewaren bol uthin
saayon ki halchal se bhi toote tanhai ki zanjeer
sochon ki ungliyon pe uljhe uljhe dhaagon jaise lafz
lafzon ke pas manzar mein be-rangar, be-chehra tasveer
hum se pooche koi iss la-parwahi ka mafhoom
ek pyasa hi padh sakta hai behte paani ki tehreer

No comments:
Post a Comment