woh alam kashon ka milna, woh nishaat-o-gham ke saaye
kabhi ro pada tabassum, kabhi ashk muskuraye
yeh ufaq se chaand ubhra yeh shafaq ka noor phaila
ke teri ziya-e-rukh dar-o-baam jagmagaye
ba hazaar naamuradi jise umr bhar saraha
usse be-vafa kahun ab yeh jigar kahan se aaye
yeh bahar kya kare gi mere dard ka madawa
na woh bijliyan nazar ki, na woh gesuon ke saye
mera soz-e-vaalehaana, meri shama zindagani
kahin namuradiyon mein yeh chiragh bujh na jaye

No comments:
Post a Comment