jahannum sard hai jannat ke dar khulwaye jaate hain
sar-e-mahshar pujari husn ke bulwaye jaate hain
ghazab hai yeh ada unn ki dam-e-arayesh-e-gusu
jhuki jaati hain aankhen, khud-ba-khud sharmaye jaate hain
koi hudd hi nahin iss ahtram-e-aadmiyat ki
badi karta hai dushman aur hum sharmaye jaate hain
bohot jee khush hua aye humnasheen kal josh se mil kar
abhi agli sharafat ke namoone paaye jaate hain

No comments:
Post a Comment