mujhe apni umar ka ehsaas hai, main zindagi ke aakhri daur ki taraf badh raha hun. iss waqt mere paas kaafi daulat kaafi jaayedaad honi chahiye thi. lekin nahin hai, iss ke bavajood jab main duniya ko alvida kahun ga tab behad qeemti viraasat chod jaoon ga. suniye, yeh hai meri vasiyat. main indradhanush ke ran-birange phool, naachti huyee titliyan, ishaare karte huye taare, kisi aur duniya ki jaadoo bhari kahaniyan, yeh sab bachchon ke liye chod jaaoon ga aur unke liye bhi jo umar ke saath kabhi bade nahin huye abhi bhi bachche hi hain. saare dilfareb madhosh kar dene waale lamhe, mohabbat karne waalon ke liye chod jaaoon ga. woh lamhe jo bohot kam aate hain lekin jab aate hain tab zindagi ki dhadkan sunai deti hai. aur haseenon ko sab jagmagaate rang, shokh aur sharmeeli khushbooyen aur mohabbat bhari nigaahen de jaaoon ga. maayus aur udaas logon ke liye subah ka woh nazara chod jaaoon ga jab suraj ke saath hi duniya naye sire se janam leti hai. aur duniyadaron ke liye jin ke dil ab patthar ke ho chuke hain sangeet ki woh raagniyan chod jaaoon ga jinhen sun kar woh chand lamhon ke liye iss shor machati huyee duniya ko bhool jaayen ge.............main iss pyari si duniya ko chod jaaoon ga jis se main ne hamesha pyar kiya hai
Aapki badi lambi umar hai. Mein duan de sakta hoon...
ReplyDelete