jab main marr jaaoon tau mujhe jahan chaho dafan kar dena........kisi hare bhare maidaan mein jahan door door tak hari hari ghaas ki chaadar bichi ho, jahan phool ghaas se sar bahar nikaal kar muskura rahe hon ya kisi aise veerane mein dafan kar dena jahan dhool udti ho, jaha khizaan aur bahaar mein koi farq na ho. jahan tanhai ho, vahshat ho. yaa phir phir kisi pahadi ki choti par pedon ke jhund mein dafan kar dena jahan barf-baari meri qabar par safed chaadar chadaati rahe. jab sooraj chamke tau kaliyan khil kar phool ban jaayen, bhanwre gaane lagen, hawayen khushboo bikherti huyee guzar jaayen. koi tez jhonka aaye tau meri qabar par phoolon ki baarish ho jaaye...dosto mujhe apne dilon mein dafan kar lena.
No comments:
Post a Comment