yeh tau aasa'n hai ke arz-e-gham-e-pinhaa'n ho jaaye
aur agar apne kiye par woh pashemaa'n ho jaye
na-mukammal hai abhi marhala-e-raaz-e-wafa
door kuch aur zara manzil-e-jaanaa'n ho jaye
mere armaa'n pe zara soch-samajh kar hansiye
mera armaa'n na kahi'n aap ka armaa'n ho jaye
yeh bi ek soorat-e-taskeen-e-mohabbat hai shakeel
warna dil aur mohabbat mein pareshaa'n ho jaye
No comments:
Post a Comment