BADLE BADLE MERE GHAMKHWAR NAZAR AATE HAIN
MARHALE ISHQ KE DUSHWAR NAZAR AATE HAIN
KISHTI-E-GHAIRAT-O-EHSAAS SLAAMAT YA RAB
AAJ TOOFAN KE AASAAR NAZAR AATE HAIN
INQUILAB AAYA NA JAANE YEH CHAMAN MEIN KAISA?
GHUNCHA-O-GUL MUJHE TALWAR NAZAR AATE HAIN
JAAYEZAA DIL KA AGAR LUN TAU WAFA SE KHAALI
SHAKL DEKHO TAU NAMAK-KHWAR NAZAR AATE HAIN
HUM NA BADLE THAY, NA BADLE HAIN, NA BADLEIN GE SHAKEEL
EK HIRANG MEIN HAR BAAR NAZAR AATE HAIN
Bahut umda. Bataur e khas yeh sheir: Kashti e ghairat o ehsaas salaamat ya rab, Aaj toofan ke aasaar nazar aate hei. Kya baat hei! waise Shakeel Sahib ka kalam to hei hi bahut aala
ReplyDelete