Fana ka hosh aana zindagi ka dard-e-sar jaana
Ajal kya hai khumar-e-baada-e-hasti utar jaana
Uroos-e-jaa'n naya pairahan-e-hasti badalti hai
Faqat tamheed aane ki hai duniya se guzar jaana
Museebat mein bashar ke jauhar-e-mardana khulte hai'n
Mubarak buzdilo'n ko gardish-e-qismat se darr jaana
Woh sauda zindagi ka hai ke gham insaan sehta hai
Nahi'n tau hai bohot aasan iss jeene se marr jaana
Chaman zaar-e-mohabbat mein usi ney baaghbani ki
Ke jis ney apni mehnat hi ko mehnat ka samar jaana
No comments:
Post a Comment