lutf-o-karam ke putle ho, ab qahar-o-sitam ka naam nahin
dil pe khuda ki maar, ke phir bhi chainn nahin aaram nahin
jitne munh hain utni baaten, dil ka pata kya khaak mile
jis ne dil ki chori ki hai, ek usi ka naam nahin
ishq ke aazari bhi kahin, marne se ji jaate hain
le, yeh tasalli rehne de, aye maut tera yeh kaam nahin
dil hi pe apna bas nahin chalta, unn ki shikayet kya kijiye
aap hum apne dushman thehre, dost yeh kuch ilzaam nahin

No comments:
Post a Comment