Tuesday, July 30, 2013

pakistan ka pehla eid card ...sitara jaafari

" main sitara jaafari ke iss mazmoon ke kuch hisse naqal kar raha hun, yeh hisse kuch logo'n ko pasand aa sakte hain aur kuch logo'n par graa'n guzar sakte hai....jameel gulrays "


29 aktoobar 1974 ka din kis qadar mubarak hai, aaj mujhe apne barso'n ke bichde huye bhai-behan aur dosto'n ke eid card mile hain. yeh ek dastoor hai ke door rehne waale azeezo'n aur dosto'n ko eid card ke zariye tahniyat-e-eid dii jaati hai. lekin guzishta teen saal se hum aapas mein ek-doosre ko eid mubarak bhi nahin keh sakte thay.

khuda ka shukr hai ke hamari vazeer-e-aazam indira gandhi aur pakistan ke sar-baraah zulfiqar ali bhutto ne jo ek doosre ki jaanib dosti ka haath badhaya hai, uss ka pehla samar hame'n eid card ki soorat mein mila hai.

aaj mujhe dono mulko'n ke baashindo'n ke bade chote-chote aur mohabbat bhare waaqiyaat yaad aa rahe hain. 1970 mein main pakistan gaii thii, uss waqt mujhe andaza hua ke waha'n ke log hindustan se mohabbat aur dosti ke khwaha'n hain; aur yahan ke sikh, punjabi pakistani sar-zamneen ko dekhne ke liye beqaraar hain. main jab yahan se jaa rahi thi tab meri ek punjabi dost ne kaha tha
" tum karachi jaa rahi ho tau lahore bhi zaroor jaana aur wahan ka anar kali bazaar dekhna "
" khoobsoorat bhi hai aur anar kali se ek raasta ander ki taraf jaata hai, wahan hamara ghar ha. taqseem se qabal hum wahan raha karte thay.

isi qism ka ek waaqia mujhe hawaii jahaz mein pesh aaya. mere aage waali seat par ek sardar ji apni biwi ke saath baithe huye thay, biwi ke haath mein ek bohot khoobsoorat shawl thi jis par kapde se kaam bana hua tha.
" main ne poocha. aap ne hindustan mein yeh kahan se khareedi "
" nahin ji! yeh tau hamare pakistan ki bani huii hai. iss ko rallii kehte hain "
" main bhi pakistan jaa rahi hu. yeh wahan par kahan mile gi " main ne daryaft kiya
" aap hamare hyderabad sindh jaiye ga wahan ek bazaar hai jo resham gali kehlata hai. wahan aap ko rallii aur harqism ka saaman mil jaye ga "
" achcha aap ka ghar hyderabad sindh mein ha?
" nahin behanji. ab ghar tau kahin bhi nahin raha. barso'n se europe mukhtalif mulko'n mein kaarobar kar rahe hain " sardar ji ne ek aah bhari aur jawab diya. bas yeh samajh lijiye.
                                         Baith jaata hu'n jaha'n chaao'n ghani hoti hia
                                         haye kya cheez ghareeb-ul-watni hoti hai

main  26 saal baad apne bichde huye azeezo'n se mili. unhe'n apne baap daada ki sar zameen ki yaad unn ko kis tarah satati hai, iss ka andaza wahi log laga sakte hainjo inn halaat se guzre hain.
jo log yahan se gaye thay unn ke poochne par mujhe akhtar shirani marhoom ka yeh sh'err yaad aa jaata
                                          o des se aane waale bata
                                          kis haal mein hain yaaran-e-watan.........................................................................................

( ab jump kar ke aakhiri hisse par aa raha hu'n JG )
numaiish mein ek ek rupey ke card bik rahe thay ( Sadeqain jo pakistan ke mashoor artist thay, un ke haatho"n )
log baaqayeda line lagaye khade thay. mere daryaft karne par maloom hua ke yahan sadeqain dastakhat kar rahe hain. ek card main ne bhi khareed liya aur jab unn ke qareeb pahunchi tau dekha woh behad thake huye andaz mein ek haath se sar pakde huye dastakhat kar rahe thay. main ne jab apna card unn ke saamne mez par rakha tau unho'n ne ek nazar mere oopar daali aur card ki pusht par ek ladki ki tasveer bana kar apne dastakhat kar diye.

mere dil mein aaye yeh shayer bhi hain kyun na inn se ek sh'err bhi likhwa lu'n. main dobaara unn ke qareeb gaii tau dekha ladkiya'n mere card ka hawala de kar unn se tasveer banwane ki farmaiish kar rahi thi'n.
" main bohot thaka hua hu'n. tumhare liye yahi kaafi hai. "
 mere dil mein aaya ke kahin mujhe bhi jhidak na de'n, himmat kar ke kaha
" badi meharbaani ho gi agar aap iss card apna ek sh'errlikhne ki zehmat gawara kare'n "
unho'n ne mujhe ghaur se dekha aur kaha " card par jagah nahin hai, warna poori rubaii likh bdeta" phir ek sh'err likh diy;_
                           ek tujh ko nazar nahin aaii
                           poori mahfil mein merei tanhaii
card waapas karte huye mujh se poocha " aap kahan se tashreef laaii hain "
meri bhaanji ne jawab diya " bambai se. yeh Sardar Jaafari ki choti behan hain
Saadeqain fauran uth khade huye " iss naam ko sun meri tau aankhon ki raushani badh gaii aur tamaam thakan door ho gaii. main yeh 48 foot lambi tasveer ek maah shab-o-roz mehnat kar ke banaii hai. jaafari ke naam mein kitni taaqat hai aur mujhe unn se kitna pyar hai yeh main aap ko bata nahin sakta "
main ne poocha " aap ki Sardar bhai se mulaqaat hai? "
" nahin main ne unn ko kabhi nahin dekha, khuda ek martaba milwa de, basa yahi dua hai. "

main ne shairo'n aur adeebo'n se le kar awaam ke dilo'n tak jo mohabbat ke sote phoot'te dekhe hain khuda kare woh aabshaar ban kar behne lage'n.


Monday, July 29, 2013

waqt ke saath... parveen shakir

waqt ke saath anaasar bhi rahe saazish mein
jal gaye ped kabhi dhoop kabhi baarish mein

woh tau ek saada-o-kam shauq ka taalib nikla
hum ne na haq hi ga'nwaya aaraiish mein

zindagi ki koi mahroomi nahin yaad aaii
jab talak hum thay tere qurb ki aasaaiish mein

ek duniya ka qaseeda tha agarche mere naam
lutf aata tha kisi shakhs ki fahmaiish mein

uss ki aankhe'n bhi meri tarah se girwi kahi'n aur
khwab ka qarz badha jaata hai ek khwahish mein

Sunday, July 28, 2013

....phoolo'n ka kya hoga.....parveen shakir

suna hai
titliyo'n par koi hadd jaari hoti hai
agar gulqand khud hi shahad ki sab makhiyo'n ke ghar pahunch jaye
tau un ko gul-ba-gul awaara gardi ki haajat kya
hawa ki chaal bhi kuch na-munasib hoti jaati thii
so titli aur makkhi aur hawa
na mehramo'n se door rakhi jaa rahi hai'n
magar yeh bhi koi sochey
ke phir phoolo'n ka kya ho ga
chaman mein aise kitne phool ho'n ge
ke jo khud-vasl aur khd baa aavar ho'n !

Wednesday, July 24, 2013

Dar Mazammat-E-Duniya.... meer taqi meer

suno aye azeezaan-e-zii hosh-o-aqal
ke iss kaarva'n gah se karta hai naqal

paimbar hai shah hai ke darvesh hai
sabho'n ko yahi raah dar-pesh hai

kaho ge ke aage tha kehta koi
nahin iss sara beech rehta koi

yeh baithe jo hain saamne hain kahan
jahan jumla hai ek bazm-e-ravaa'n

jise dekho chalne ka garam talash
yeh manzil nahin jaa-e-bood aur baash

gada ho ke ho shah-e-aali tabaar
tah-e-khaak sab ka hai daar-ul-fazaar

mile khaak mein jhad ke gul-haaye tar
paresha'n huye murgh-e-gulshan ke parr

patango'n ne gar khaak-e-maskan kiya
chiraagho'n ne bhi khaana raushan kiya

gaii khak daaman fashani ke saath
raha aab so bhi ravaanii ke saath

sukoo'n yaa'n ka dekha sarasar shataab
chale jaate hain koh jaise sahaab

jaha'n ek maatam sara hai ajab
nahin jaa-e-baash aur jaa hai ajab

bhala jii ke jaane ka kya hai bayaa'n
ayaa'n hai kehte hain jaa'n ko ravaa'n

jawani gaii mausam-e-shaibb hai
shahood ek do roz ko ghaibb hai

bila art'aash-e-tann-e-zaar hai
har ek azoo jalne ko tayyar hai

hua haafiza bas ke nisyaa'n ka sarf
nahin yaad aata hai do sheena'h harf

huye she'rr kya kya faramosh haye
kahu'n kya guzarti hai khamosh haye

na poocho lab-o-lehja be taur hai
sukhan karne ka dhang hi aur hai

nahin gaur ke kaam se kuch firaagh
kise zauq-e-sohbat kahan hai dimaagh

na kuch yun hi ainak nazar chadh gaii
basarat ki be-taaqati badh gaii

sad afsos lutf-e-sam'aat nahin
sada door se jaise aave kahin

labo'n par nihayet zaeef ek aah
dar-o-baam par hasrato'n se nigah

wagarna diya sa bujha jaye hai
phir uth baithu'n tau jii jala jaye hai

siyah-roo-e-saibb ek sitam kar gaya
likhu'n kya ke main jeete jee marr gaya

qalam rakh de kar meer khatam-e- kalaam
tamaam apni sohbat huii wa-assalaam

maqaula-e-shayer from shola-e-ishq ... meer taqi meer

agar hi yeh qissa bhi hairat faza
wale meer yeh ishq hai budd bala

bohot jii jalaye hai'n iss ishq ne
bohot ghar lutaye hai'n iss ishq ne

fasano'n se iss ke labaalab hai dahar
jalaye hain iss tund aatish ne shahar

mohabbat na ho kaash makhlooq ko
na chodey yeh aashiq na maashooq ko

Tuesday, July 23, 2013

gori karat singhar....parveen shakir

baal baal moti chamkaye
rom rom mehkaar
maang sindoor ki sundarta
chamke chandanwaar
joode mein juhi ki beni
baanh mein haar singhar
kaan mein jag mag baali patta
gale mein jugnu haar
sandal aisi peshanii par
bindiya laii bahaar
sabz kataara si aankhon mein
kajre ki dhaar
gaalo'n ki surkhi mein jhalke
hiriday ka iqraar
hont pe kuch phoolo'n ki laali
kuch saajan ke kaar
kasa hua kesari shaloka
chunri dharidaar
haatho'n ki ek ek choodi mein
mohan ki jhankaar
sahaj chale, phir bhi payel mein
bole pii ka pyar
apna aap darpan mein dekhe
aur sharmaye naar
naar ke roop ko ang lagaye
dhadak raha sansar

Taabeer.....parveen shakir

siyah raato'n ke aage surkhruu hu'n
chaand se aankhe'n mila kar baat karti hu'n
ke main ne umr mein dekha hai pehli baar yeh manzar
meri neend'en mere khwabo'n ke aage sar utha kar chal rahi hai'n !