Naye naye tajrubo'n mein lazzat nai nai si
Tum aaina ho tau sung se ikhtelaaf rakhna
Jise talasha na khud lahu ke chiraagh le kar
Baja hai har aisi raah se inheraaf rakhna
Hakeem Manzoor ( aajkal march 1990 )
Dil ki vaadi hai ke sehra ka samaa'n
Aankh masmaar, nazaare chup hai'n
Aaj tanha hai bohot tanhaii
Aaj aankhon ke ishaare chup hai'n
Lutf-Ur-Rahman ( Aajka March 1992 )
Hua phir koi raaz sar basta waa
Khamoshi ki sunta hu'n paihum sada
Wahi ek awaaz ki baaz-gusht
Wajood apna goya hai koh-e-nida
Dr Javed Vashisht ( Taameer-e-Hariyana January 1990 )
Khander mein waqt ke tanha khamosh baithi hu'n
Guzarte lamho'n ke qadmo'n ki chaap sunti hu'n
Jo sochiye tau qayamat ka shor hai mujh mein
Jo dekhiye tau faqat ek ujaad basti hu'n
Shabnam Waheed ( Shayer khusoosi shumaara )
Hame'n unn ka makaa'n achcha laga hai
Waha'n se aasma'n achcha laga hai
Kabhi khud se bhi hum uktaa gaye hai'n
Kabhi saara jaha'n achcha laga hai
Mohammed Alvi
Hawa hai tez samundar biphrane wala hai
Bala-e-jaa'n hai jo lamha guzarne wala hai
Shab-e-siyah ke musafir ko alvidaa kaho
Samundaro'n mein safeena utarne waala hai
Unwaan Chishti ( taameer-e-Hariyana July 1991 )
Har cha'nd haqeeqate'n wahi hai'n
Andaz-e-nazar badal gaya hai
Kuch funn ke taqaaze aur hai'n ab
Asloob-e-hunar badal gaya hai
Kamaal Ahmed Siddiqui ( Shaye Khusoosi Shumaara )
Shola-zani ka qissa likh
Ghar ko lahu ka dariya likh
Waqt se pehle baaligh hai
Aaj ka bacha bacha likh
Saif Sahsarami ( Aajkal June 1991 )
To be continued...

ReplyDeleteGhar ko lahu ka dariya likh
Waqt se pehle baaligh hai
Aaj ka bacha bacha likh
Saif Sahsarami ( Aajkal June 1991 ustad saif sahsarami sahab waah waah kya kanay
aztaraf Aslam RAhi
DeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteShola-zani ka qissa likh
ReplyDeleteGhar ko lahu ka dariya likh
Waqt se pehle baaligh hai
Aaj ka bacha bacha likh
Saif Sahsarami ( Aajkal June 1991 ustad saif sahsarami sahab waah waah kya kanay