NA KISI KI AANKH KA NOOR HUN NA KISI KE DIL KA QARAAR HUN
JO KISI KE KAAM NA SAKE MAIN WOH EK MUSHT-E-GHUBAAR HUN
MERA RANG ROOP BIGAD GAYA, MERA YAAR MUJH SE BICHAD GAYA
JO CHAMAN KHIZAN SE UJAD GAYA MAIN USI KI FASL-E-BAHAAR HUN
DE FAATEHA KOI AAYE KYUN, KOI CHAAR PHOOL CHADAYE KYUN
KOI AA KE SHAMA JALAYE KYUN, MAIN WOH BEKASI KA MAZAAR HUN
NA TAU MAIN KISI KA HABEEB HUN NA TAU MAIN KISI KA RAQEEB HUN
JO BIGAD GAYA WOH NASEEB HUN JO UJAD GAYA WOH DAYAAR HUN

ye Ghazal Bahadur Shah "Zafar kii nahiiN hai..ye Ghazal "Muztar Khairabadi kii hai jo JaaN Nisaar AKhtar ke vaalid aur Jawed AKhtar ke daada-huzoor the...is Ghazal ka maqta dekhiye..
ReplyDeletena maiN "Muztar" un kaa habeeb hooN, na maiN "Muztar" un kaa raqeeb hooN
jo bigaR gayaa vo naseeb hooN, jo ujaR gayaa vo diyaar hooN