aamad-e-khat se hua hai sard jo bazaar-e-dost
dood-eshama-e-kushta tha, shayed khat-e-rukhsar-e-dost
aye dil-e-na-aaqbat-e-andesh zabt-e-shauq kar
kaun laa sakta hai taab-e-jalwa-e-deedar-e-dost
khaana vraan saazi-e-hairat tamasha kijiye
soorat-e-naqsh-e-qadam hun afta-e-aftaar-e-dost
Thursday, March 28, 2013
Mirza Ghalib ...Kamyaab Kalam 3
piye nazr-e-karam tohfa hai sharm-e-na rasai ka
bakhoon ghalteedadah-e-sad rang daava paarsai ka
na ho husn-e-tamasha dost ruswa be-vafai ka
ba mohar-e-sad nazar-e-saabit hai daava paarsai ka
bakhoon ghalteedadah-e-sad rang daava paarsai ka
na ho husn-e-tamasha dost ruswa be-vafai ka
ba mohar-e-sad nazar-e-saabit hai daava paarsai ka
irza Ghalib....Kamyaab kalam
sarapa rahan-e-ishq-o-nagurez-e-ulfat-e-hasti
ibaadat barq ki karta hun aur afsos haasil ka
baqadr-e-zarf hai saaqi khumar-e-tishna kaami bhi
jo tu darya-e-mai haitau main khamyaaza hun saahil ka
ibaadat barq ki karta hun aur afsos haasil ka
baqadr-e-zarf hai saaqi khumar-e-tishna kaami bhi
jo tu darya-e-mai haitau main khamyaaza hun saahil ka
Mirza Ghalib...Kamyaab Kalaam
na ho ga yak byabaan maandagi se zauq kam mera
hubaab-e-maujah-e-raftaar hai naqsh-e-qadam mera
mohabbat thi chaman se lekin ab yeh be-dimaaghi hai
ke mauj-e-boo-e-gul se naak mein aata hai dum mera
hubaab-e-maujah-e-raftaar hai naqsh-e-qadam mera
mohabbat thi chaman se lekin ab yeh be-dimaaghi hai
ke mauj-e-boo-e-gul se naak mein aata hai dum mera
Tuesday, March 26, 2013
urdu poetry....parvez shahidi
hawa-e-tund mein yeh reshmi kheme na thehren ge
kahan tak aazmao ge vafadaari tanaabon ki
yeh hai shahar-e-havas, pahchan-na mushkil hai logon ka
yahan chehre bhi bikte hain, dukanon mein naqaabon ki
kahan tak aazmao ge vafadaari tanaabon ki
yeh hai shahar-e-havas, pahchan-na mushkil hai logon ka
yahan chehre bhi bikte hain, dukanon mein naqaabon ki
Monday, March 25, 2013
urdu poetry.......adeem haashmi
mafaahamat na sikha, jabr-e-narawa mujhe
main sar-ba-kaf hun, lada de kisi bala se mujhe
main sar-ba-sijda hun, aye samar! mujh ko qatl bhi kar
rihayee de bhi ab, iss ahd-e-karbala se mujhe
main sar-ba-kaf hun, lada de kisi bala se mujhe
main sar-ba-sijda hun, aye samar! mujh ko qatl bhi kar
rihayee de bhi ab, iss ahd-e-karbala se mujhe
vasiyat 3
meri rooh mein ghuli huyee ek amar tanhai hai. tadbeer aur taqder dono ki be-basi, zindagi ke safar ka yeh ghair yaqeeni pan...aur manzil ka jeeb sa khauf...manzil jo aankhon se ojhal hai....na-maloom.
Subscribe to:
Posts (Atom)