Monday, December 31, 2012

kaarvan guzar gaya...neeraj

swapn jhare phool se, meet chubhe shool se
lut gaye singhar sabhi baagh ke babool se
aur hum khade-khade, bahar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe


neend bhi khuli na thi ke haye dhoop dhal gayee
paaon jab talak uthen ke zindagi phisal gayee
paat paat jhar gaye ke shaakh shaakh jal gayee
chah tau nikal saki na par umar nikal gayee
geet ashk ban gaye, chand ho dafan gaye
saath ke sabhi diye, dhuan pehan pehan gaye
aur hum jhuke-jhuke mod par ruke-ruke
umr ke chadao ka utaar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe

haath thay mile ke zulf chaand ki sanwar dun
hont thay khule ke bahar ko pukar dun
dard tha diya gaya ke har dukhi ko pyar dun
aur aansoo yun ke swarg bhoomi par utaar dun

ho saka na kuch magar, shaam ban gayee sahar
woh uthi lehar ke dhah gaye qile bikhar bikhar
aur hum dare-dare, neer nayan mein bhare
odh kafan, pade mazaar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe

maang bhar chali ke ek, jab nai nai kiran
dholaken dhumak uthin, thumak uthe charan charan
shor mach gaya ke lo chali dulhan, chali dulhan
gaon sab umad pada, behak uthe nayan nayan
par tabhi zahar bhari, gaaj ek woh giri
phunk gaya sindoor taar-taar huyee chunri
aur hum anjaan se, door ke makaan se
paalki liye huye kahaar dekhte rahe
kaarvan guzar gaya ghubaar dekhte rahe

vahshat-e-dil se....mehboob ameen najmi

vahshat-e-dil se hum tau baaz aaye
aisi ulfat se hum tau bhar paaye

doston se khuloos ki ummeed
hazrat-e-dil ko kaun samjhaye?

hai, kaya vazaadaar thay woh bhi
dost jo waqt par na kaam aaye

Sunday, December 30, 2012

musafir ho tau...shahzad ahmed

musafir ho tau sun lo, raah mein sehra bhi aata hai
nikal aaye ho ghar se, kya tumhein chalna bhi aata hai

utha deta hai dil har simt tanhai ki deewarein
hujoom-e-arzoo mein ik maqaam aisa bhi aata hai

tera main kya karun aye dil tujhe kuch bhi nahin aata
bichadna bhi usse aata hai aur milna bhi aata hai


dost dushman bane..........

dost dushman bane, pata na lage
haadsaho, pe haadsa na lage

baat kehte huye darta hun
mera kehna tujhe bura na lage

main na maangun ga woh maqam kabhi
jis ko paa kar khuda, khuda na lage



dil abhi tak...hafeez jalandhari

dil abhi tak jawan hai pyare
kis museebat mein jaan hai pyare

tu mere haal ka khayal na kar
iss mein bhi ek shaan hai pyare

talkh kar di hai zindagi jis ne
kitni meethi zabaan hai pyare

main tujhe be-vafaa nahin kehta
dushmanon ka byaan hai pyare


dil ki baat....habeeb jaalib

dil ki baat labon par laa kar ab tak hum dukh sehte hain
hum ne suna tha iss basti mein dil waale bhi rehte hain

ek hamein aawara kehna koi bada ilzaam nahin
duniya waale dil waalon ko aur bohot kuch kehte hain

jin ki khaatir shahar bhi choda jin ke liye badnaam huye
aaj wahi hum se begaane begaane se rehte hain

Wednesday, December 26, 2012

ab ke bichde...ahmed faraz

ab ke bichde tau shayed kabhi khwabon mein milen
jis tarah sookhe huye phool kitaabon mein milen

tu khuda na mera ishq farishton jaisa
dono insaan hain tau kyun itne hijaabon mein milen

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon mein milen