Friday, November 30, 2012

aalam na poochiye.......shakeel badayuni

aalam na poochiye jo hamara hai aajkal
kishti bhanwar mein, door kinaara hai aajkal

tere hi gham ka dil ko sahara hai  aajkal
be-kaif zindagi bhi gawara hai aajkal


saare jahan se achcha...iqbal

saare jahan se achcha hindustan hamara
hum bulbulen hain iss ki yeh gulistan hamara

parbat woh sab se ooncha, humsaaya aasman ka
woh santari hamara, woh paasban hamara

vaadi mein khelti hain iss ki hazaron nadiyan
gulshan hai jis ke dum se rashk-e-jinaan hamara

aye aab-e-rood-ganga, woh din hain yaad tujh ko?
utra tere kinaare jab kaarvan hamar

mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna
hindi hain hum, vatan hai hindustan hamara

kuch baat hai ke hasti mit-ti nahin hamari
sadiyon raha hai dushman daur-e-zamaan hamara

Thursday, November 29, 2012

a ghazal by iqbal

kabhi aye haqeeqat-e-muntazar, nazar aa libaas-e-majaaz mein
ke hazaaron sijde tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein

tu bacha-bacha ke na rakh isse, tera aaina hai woh aaina
ke hakista ho tau azeez-tar hai nigaah-e-aaina saaz mein

na kahin jahan mein amaan mili, jo amaan mili tau kahan mili
mere jurm-e-khaana kharaab ko tere afv-e-banda nawaz mein

na woh ishq mei rahin garmiyan, na woh husn mein rahin shokhiyan
na woh ghaznavi mein tadap rahi, na woh khum hai zulf-e-ayaz mein

jo main sar-ba-sijda hua kabhi tau zameen se aane lagi sada
tera dil tau hai sanam-aashna, tujhe kya mile ga namaaz mein

humdardi ( bachchon ke liye ) iqbal

tehni pe kisi shajar ki tanha
bulbul tha koi udaas baitha

kehta tha ke raat sar pe aayee
udne-chugne mein din guzra

pahunchun kis tarah aashiyan tak
har cheez pe chaa gaya andhera

sun kar bulbul ki aah-vizaari
jugnu koi paas hi se bola

haazir hun madad ko jaan-o-dil se
keeda hun agarchey main zara sa

kya gham hai jo raat hai andheri
main raah mein raushni karun ga

allah ne di hai mujh ko mashaal
chamka ke mujhe diya banaya

hain log wahi jahan mein achche
aate hain jo kaam doosron ke

Wednesday, November 28, 2012

urdu poetry.........

kisi ko apne amal ka hisaab kya dete
sawaal saare ghalat thay, jawaab kya dete

urdu poetry....razi akhtar shauq

kitna phaile ga yeh ek vasl ka lamha aakhir
kya sameto ge ke ek umr ki tanhai hai

ek patthar idhar aaya tau iss soch mein hun
meri iss shahar mein kis-kis se shanasai hai

urdu poetry....hafeez hoshiyarpuri

dilon ki uljhanein badhti rahen gi
agar kuch mashware baahum na hon ge

agar tu ittefaqan mil bhi jaaye
teri furqat ke sadme kam na hon ge