Tuesday, February 5, 2013

urdu poetry...topic; raqeeb.....rival

raqeeb-e-ru siyaah ka kaam hai kya koo-e-jaanan mein
nikalo iss ko, shaitan  hai yeh, jannat mein ghusa kyun hai....Rashk


na hum samjhe, na tum aaye kahin se
paseena ponchiye apni jabeen se


saamne uss ke na kehte, magar ab kehte hain
lazzat-e-ishq gayee ghair ke marr jaane se


urdu potry... topi; umeed---hope

koi umeed bar nahin aati
koi surat nazar nahin aati....Ghalib

kehte hain jeete hain umeed pe log
hum ko jeene ki bhi umeed nahin...Ghalib


lo aaj hum ne tod diya rishata-e-umeed
lo ab kabhi gila na karen ge kisi se hum...Sahir

woh umeed kya jis ki ho inteha
woh vaada nahin jo vafaa ho gaya....Haali


Monday, February 4, 2013

urdu poetry...shaad azimabadi

dhoondo ge agar mulkon mulkon, milne ke nahin naayab hain hum
taabeer hai jis ki hasrat-o-gham, aye hum nafso woh khwab hain hum

laakhon hi musafir chalte hain manzil pe pahunchte hain do-ek
aye ahl-e-zamaana qadar karo, nayaab na hon, kamyaab hain hum

main hairat-o-hasrat ka maara khamosh khada hun saahil par
dariya-e-mohabbat kehta hai, aa,kuch bhi nahin paayaab hain hum

urdu poetry...brij narain chakbast

dard-e-dil, paas-e-wafa, jazba-e-imaan hona
admiyat hai yahi aur yahi insaan hona

reh ke duniya mein hai yun tark-e-havas ki koshish
jis trah apne hi saaye se gurezaan hona

zindagi kya hai anaasir mein zahoor-e-tarteeb
maut kya hai in hi ajzaa ka pareshan hona


urdu poetry....aatish

tasawur se kisi ke main ne ki hai guftagu barson
rahi hai ek tasveer-e-khyali ru-ba-ru barson

barabar jaan ke rakha hai usko marte marte tak
hamari qabar par roya kare gi aarzoo barson


urdu poetry...nasir kaazmi

apni dhun mein rehta hun
main bhi yere jaisa hun

o pichli rutt ke saathi
ab ke baras main tanha hun

mujh se aankh milaye kaun
main tera aaina hun

tu jeevan ki bhari gali
main jungle ka rasta hun

apni lehar hai apna rog
dariya hun aur pyasa hun

urdu poetry...jigar moradabadi

koi yeh keh de gulshan gulshan
laakh balayen ek nasheman

phool khile hain gulshan gulshan
lekin apna apna daaman

ishq hai pyare khel nahin hai
ishq hai kaar-e-sheesha-o-aahan

umrein beetin, sadiyan guzrin
hai wahi ab tak aqal ka bachpan

tu ne sulajh kar gesu-e-jaanan
aur badha di dil ki uljhan

kaanton ka bhi haq hai pyare
kaun chudaye apna daaman