aashiya'n jal gaya gulista'n lut gaya, ab qafas se nikal kar kidhar jaaye'n ge
Itne maanoos sayyad se ho gaye, ab rihaii mile gi tau marr jaaye'n ge
Aur kuch din yeh dastoor-e-maikhana hai tishna-kaami ke yeh din guzar jaaye'n ge
Mere saaqi ko nazre'n uthaane tau do jitne khaali jaam hai'n sab jaam bhar jaaye'n ge
Aye naseem-e-sahar tujh ko unn ki qasam unn se jaa kar na kehna mera haal-e-gham
Apne mitne ka gham tau nahi'n hai magar darr yeh hai unn ke gesu bikhar jaaye'n ge
Ashk-e-gham le ke aakhir kaha'n jaaye'n hum aa'nsuo'n ki yaha'n koi qeemat nahi'n
Aap hi apna daaman badha dijiye warna yeh moti zamee'n par bikhar jaaye'n ge
Maut awaaz deti hai shayed unhe'n jaane waale hai'n duniya se ahl-e-wafa
Raaz, aise mein koi ghazal ched de qaafile zindagi ke thahar jaaye'n ge