" Awaara sijde " ke pesh lafz mein Faiz Ahmed Faiz ne likha hai " Kaifi ki shayeri ka mizaaj kadakpan se aashiqana hai. Lekin ghanaiyah shayeri satahi takallufat aur masnoo'ii zebaisho'n se Kaifi ne bohot kam sarokaar rakha. Gham-e-Jaana'n ka zikr ho ke Gham-e-Dauraa'n ka---- bosa-e-lab ki baat ho ke bosa-e-zanjeer ki, Kaifi baat hamesha khari karte hai'n "
Kaifi ki jamaliyati hiss bohot tez aur bohot shaista thi, yahi wajah hai ke woh chaahe kisi siyasi mauzoo par qalam uthatey ya zulf-o-kaakul ki baat chedtey ya kisi badi shakhsiyat ko mauzoo-e-sukhan banatey, unn ke ash'aar mein aisa rachao paida ho jaata tha, jo mahaaz zabaan-o-bayan par qudrat ki wajah se nahi'n paida ho sakta hai, balke " dil-e-pur-khoo'n ki gulabi " aur zauq-e-jamaal ki " masti-o-sarshari " se hi zinda-o-Javed ho sakta hai.
" Naya Husn ", " Ek Bosa ", " Nazraana " na sirf Khoobsoorat nazme'n hai'n balke Kaifi Saheb ke shayerana mizaj ko samajhne mein bhi madadgaar saabit hoti hai'n.
" Awaare Sijde " mein baaz shaharo'n aur shakhsiyato'n par bhi Kaifi Saheb ki nazme'n shaamil hai'n. Maslan:
" Nehru " , " Lenin " , "Taashqand " , " Moscow " waghairah. Yeh shayeri ke mauzoo nahi'n ho sakte lekin inn nazmo'n mein Kaifi Saheb ne apne classicki mizaj, hissas zehan se har mauzoo ko she'rr ke saa'nche dhaal diya hai, aur inn nazmo'n' ko adabi tasaaneef ki shakal Di hai.