Wednesday, December 25, 2013

Ghalib...t'aaruf by Dr Tanveer Ahmed Alvi

Ghalib, Jin ko hum paidaish ke lihaaz se Akbarabadi keh sakte hain, neez ek lambe arse Tak Dehli mein qayam ki wajah se Dehalvi kehlate hain. Inn do bade shaharo'n ke zariye se adabi aur tahzeebii aitbaar se qadar-e-mushtarak darja rakhte hain.
Apne zamaana-e-hayat mein bhi woh ek bade shayer, nasar nigaar, hannkaar aur adabi naqqad thay, adabi taareekh mein bhi unn ka naam ek bade shayer ki haisiyat se aata raha hai. Farsi se unn ko khaas shaghaf tha aur Urdu maktoobaat mein woh ek khaas adabi asloob ke Baani khyal kiye jaate hain. Unn ka ek she'rr hai--
Ganjeenah-e-m'aanii ka tilism uss ko samajhiye
Jo lafz ke Ghalib mere ash'aar mein aaye
Yeh ganjeenah-e-m'aanii ka tilism unn ka Urdu kalaam hai, jis mein unho'n ne apni shayerana mazmoon-bandi husn-e-bayan aur lutf-e-zabaan ke behtareen namoone pesh kiye hain.
Unn ke khyal se unn ke Urdu kalaam ki woh qadar na huii jis qadar-farmaii ya qadar-afzaii ka mustahiq unn ke ash'aar ka yeh silsila tha. Magar woh iss par yaqeen rakhte thay ke unn ke baad unn ki shayeri ki qadar zaroor ho gi.
Yeh tau nahin kaha jaa sakta ke Ghalib ki shayeri ki mai-e-rangeen apne waqt mein nasha-aawar nahin thi aur yeh sharab khareedari ke fuqdaan ke baayes rafta rafta baada-e-kuhan mein badli hai ( jis ke baad sharab ka nasha tez ho jaata hai ) magar iss mein bhi koi shak nahin ke waqt ke saath saath Ghalib ki shohrat mein bhi izaafa hua balke ghair-maamooli izaafa hua aur unn ke she'rr-o-sh'aoor ki sharab tu'nd-o-tez waqt ke guzarne ke saath mai-e-do-aatisha balke seh-aatisha ho gaii.

Saturday, December 14, 2013

Ghazal by Khalid Basheer Ahmed

Nikaal-e-aab-e-takallum uss ne kiya
Main Lajawab tha, aisa sawal uss ne kiya

Jo baat ki wahi dil tod dene waali ki
Main chupp raha tau iss ka malaal uss ne kiya

Yeh koi ek ya do, chaar din ki baat nahi'n
Ke intezaar bohot maah-o-saal uss ne kiya

Tera khyal bada khushnuma parinda tha
Magar uthaan mein hi inteqaal uss ne kiya

Monday, December 9, 2013

Nai Duniya ko Salaam ( vision ) Ali Sardar Jaafri

Duniya ki taareekh mein koi daur aisa nahi'n aaya jis mein insaan ko shikast huii ho. Afraad aur tabqaat ko shikast hoti rahi hai aur hoti rahe gi. Lekin insaan na-qaabil-e-shikast hai. Kyu'nke uss ki mehnat, jadd-o-jahad aur amal uss ke apne sha'oor hi ki nahi'n balke badi hadd tak uss ke mahaul  ki bhi khaaliq hai. Yeh aqeeda'h jo andha aqeeda'h nahi'n. Mera sab se bada inspiration hai aur main isse adab aur fann ka abadii mauzuu samjhata hu'n sab se zyada shaandar sab se azeem-ul-martabat sab se haseen insaan hai.

Saturday, December 7, 2013

Shayer ki Beewi by Shaukat Thanvi ( Tanz )

Shayeri aur pet ka dhanda ajab sam hai
Jaan ke gaahak hai'n beewi aur bachche sab ke sab

Faailaatun failaatun baith kar karte hai'n jab
Ahliyaa ko yaad aati hai hamari be-sabab

Ek sarota haath mein aur paandan apna liye
Sar pe aa jaati hai'n ladne apna khaandan liye

Shayer-e-sheeri'n-bayaa'n baitha hai ghabraya hua
Zehan mein hai tarah ka mis'raa bhi baulaya hua

Woh yeh kehti hai ke jaaye bhaad mein yeh shayeri
Edi-choti par karu'n qurbaan yeh kaareegari

Itne din se koi bhi paisa mila, Socho, zari
Yaad kar lo December, January phir Farwari


Tabsara Nigari ka Funn by Raza Naqvi Waahi ( Tanz )

Woh jo hotel mein chakh rahe hai'n kabab
Saamne rakh ke ek dabeez kitaab

Aaiye bataoo'n kya hai'n aap
Maahir-e-funn-e-tabsara hai'n aap

Ek ghante mein dus kitaabo'n par
Aap likhte hai'n tabsara Farr Farr

Adab-o-falsafa-o-ilm-o-kalaam
Saare mauzuu aap ke hai'n ghulam

Laakh moti sahi kitaab magar
Sar-e-waraq dekhte hi ek nazar

Aap ka khaama-e-gauhar afsha'n
Hone lagta hai dafatan jaulaa'n

Balke aksar hua hai aisa bhi
Boo kitaabo'n ki door se soo'nghi

Aur jhat se sambhal kar khaama
Fikr ko funn ka de diya jaama

Yeh bhi mash-hoor hai ke aap ka funn
Inn kitaabo'n par bhi hai khaama zan

Tab'aa hone ki baat door rahi
Batan-e-funnkar mein jo gum hai'n abhi

Asal mein tabsar nigari ka
Funn bhi ek khel hai madaari ka

Sunday, December 1, 2013

Alvidaiiya'h by Parveen Shakir

Woh jaa chuka hai
Magar judaii se qabl
Ek narm lamha
Thahar gaya hai
Meri hathelii ki pusht par
Zindagi mein
Pehli ka chaand ban kar ! 

Saath by Parveen Shakir

Saath
-------
Kitni der Tak
Amaltaas ke ped ke neeche
Baith ke hum ne baate'n kii'n
Kuch yaad nahi'n
Bas itna andaaza hai
Chaand hamari pusht se ho kar
Aankho'n Tak aa pahu'ncha tha !