Sunday, September 29, 2013

Political Speeches by Haali ( abridged )

Yeh sach hai ke jaadoo hai bya'n mein tere, lekin
Kuch sahar-bayaani ka teri dhang naya hai

Hai dil mein nihaa'n ek shikaayat ka toomaar
Aur lab pe jo dekho, tau na shikwa, na gila hai

Jo sulah ki baate'n, so hai'n shahad se sheeri'n
Aur Jung mein kuch lutf-e-sukhan iss se siwa hai

Khulta nahin kuch iss ke siwa tere baya'n se
Ek murgh hai Khush -Lahja, kuch bol raha hai

Saturday, September 28, 2013

Adabi Manzanaama by KhalidBasheer Ahmed ( Kashmiri Poet )

Har kas-o-na kas ki Urdu se shanasaaii huii
Kuch na kuch she'rr-o-adab ki bhi pazeeraii huii

Saheb-e-Deewan LALLU KHAN jab se ho gaye
Hai udhar khatoon-e-khaana wajd mein aaii huii

Kal Samad dhobi ka majmoo'a-e-sukhan chapne ke baad
Sajida dohban se jaada'h paimaii huii

Saare naii aur pansari yaha'n ahl-e-adab
Aur uroos-e-fikr-o-fann hai unn ke ghar ki daii huii

Shahar mein ab naanbaii kar rahe hain book release
Marthaba, Urdu zabaa'n ki izzat afzaii huii

Inn ke " haalato'n " ka matlab kuch nahin " haalat " hai
Jinn ke haatho'n, rasm-e-ajra, rasm-e-ajraii huii


Thursday, September 26, 2013

Raqeeb... a poem dedicated to....

Soorat aaine mein apni
saara din dekhna kaam uss ka
sab se pyara duniya mein
uss ko hai bas naam uss ka

Har zaaviye se apni tasveer
dekhte rehna usse pasand hai
husn khud mein nazar aata hai
auron ke husn se aankh band hai

Apna hi zikr chaahe hai woh
sun'na har kisi se subah shaam
khud apni tareef karna
ek yahi usse bhaata kaam

Usse khud hi se mohabbat hai
koi doosra nahin habeeb uss ka
khush naseeb hai woh bohot
iss ishq mein nahin raqeeb uss ka

Monday, September 23, 2013

Ghazal Parveen Shakir

Chehra mera tha, nigaahe'n uss ki
Khamashi mein bhi woh baate'n uss ki

Mere chehre pe ghazal likhti gaii'n
She'rr kehti huii aankhe'n uss ki

Shokh lamho'n ka pata dene lagi'n
Tez hoti huii saa'nse'n uss ki

Aise mausam bhi guzaare hum ne
Subahe'n jab apni thi'n, shaame'n uss ki

Faisla mauj-e-hawa ne likha !
Aandhiya'n meri, bahaare'n uss ki

Door reh kar bhi sada rehti hai'n
Mujh ko thaame huye baahe'n uss ki

Tuesday, September 3, 2013

Woh Aankhen Kaisi Aankhen Hain? Parveen Shakir

Woh aankhen kaisi aankhen hain
Jinhe'n tum ab chaha karte ho!
Tum kehte thay
Meri aankhen, itni achchi, itni sachchi hain
Iss husn aur sachchi ke siwa, duniya mein koi cheez nahin
Kya unn aankhon ko dekh ke bhi
Tum Faiz ka misr'aa padhte ho?

Tum kehte thay
Meri aankhon ki neelahat itni gehri hai
" Meri rooh agar ik baar utar jaye tau uss ki por por neelam ho jaye "
Mujhe itna batao
Aaj tumhari rooh ka rang-e-pairahan kya hai
Kya woh aankhen bhi samundar hain?

Yeh kaali bhoori aankhen
Jin ko dekh ke tum kehte thay
" Yu'n lagta hai shaam ne raat ke ho'nt pe apne ho'nt rakhe hai'n "
Kya unn aankhon ke rang mein bhi Yu'n dono'n waqt mila karte hai'n?
Kya sooraj doobne ka lamha, unn aankhon mein thahar gaya
Ya wahan faqat mahtaab tarshtey rehte hain?

Meri palke'n
Jin ko dekh ke tum kehte thay
In ki chaao'n tumhare jism pe apni shabnam phailaye de
Tau guzarte khwab ke mausam laut aaye'n
Kya woh palke'n bhi aisi hain
Jinhe'n dekh ke neend aa jaati ho?

Tum kehte thay
Meri aankhen Yu'n hi achchi hain
" haa'n kaajal ki dhudlaii huii tahreer bhi ho-- tau
Baat bohot dilkash ho gi !"
Woh aankhen bhi singhaar tau karti ho'n gi
Kya unn ka kaajal khud hi mit jaata hai?

Kabhi yeh bhi hua
Kisi lamhe tum se rooth ke woh aankhen ro dee'n
Aur tum ne apne haath se unn ke aansoo khushk kiye
Phir jhuk kar unn ko choom liya
( Kya unn ko bhi !! )