Tuesday, July 30, 2013

pakistan ka pehla eid card ...sitara jaafari

" main sitara jaafari ke iss mazmoon ke kuch hisse naqal kar raha hun, yeh hisse kuch logo'n ko pasand aa sakte hain aur kuch logo'n par graa'n guzar sakte hai....jameel gulrays "


29 aktoobar 1974 ka din kis qadar mubarak hai, aaj mujhe apne barso'n ke bichde huye bhai-behan aur dosto'n ke eid card mile hain. yeh ek dastoor hai ke door rehne waale azeezo'n aur dosto'n ko eid card ke zariye tahniyat-e-eid dii jaati hai. lekin guzishta teen saal se hum aapas mein ek-doosre ko eid mubarak bhi nahin keh sakte thay.

khuda ka shukr hai ke hamari vazeer-e-aazam indira gandhi aur pakistan ke sar-baraah zulfiqar ali bhutto ne jo ek doosre ki jaanib dosti ka haath badhaya hai, uss ka pehla samar hame'n eid card ki soorat mein mila hai.

aaj mujhe dono mulko'n ke baashindo'n ke bade chote-chote aur mohabbat bhare waaqiyaat yaad aa rahe hain. 1970 mein main pakistan gaii thii, uss waqt mujhe andaza hua ke waha'n ke log hindustan se mohabbat aur dosti ke khwaha'n hain; aur yahan ke sikh, punjabi pakistani sar-zamneen ko dekhne ke liye beqaraar hain. main jab yahan se jaa rahi thi tab meri ek punjabi dost ne kaha tha
" tum karachi jaa rahi ho tau lahore bhi zaroor jaana aur wahan ka anar kali bazaar dekhna "
" khoobsoorat bhi hai aur anar kali se ek raasta ander ki taraf jaata hai, wahan hamara ghar ha. taqseem se qabal hum wahan raha karte thay.

isi qism ka ek waaqia mujhe hawaii jahaz mein pesh aaya. mere aage waali seat par ek sardar ji apni biwi ke saath baithe huye thay, biwi ke haath mein ek bohot khoobsoorat shawl thi jis par kapde se kaam bana hua tha.
" main ne poocha. aap ne hindustan mein yeh kahan se khareedi "
" nahin ji! yeh tau hamare pakistan ki bani huii hai. iss ko rallii kehte hain "
" main bhi pakistan jaa rahi hu. yeh wahan par kahan mile gi " main ne daryaft kiya
" aap hamare hyderabad sindh jaiye ga wahan ek bazaar hai jo resham gali kehlata hai. wahan aap ko rallii aur harqism ka saaman mil jaye ga "
" achcha aap ka ghar hyderabad sindh mein ha?
" nahin behanji. ab ghar tau kahin bhi nahin raha. barso'n se europe mukhtalif mulko'n mein kaarobar kar rahe hain " sardar ji ne ek aah bhari aur jawab diya. bas yeh samajh lijiye.
                                         Baith jaata hu'n jaha'n chaao'n ghani hoti hia
                                         haye kya cheez ghareeb-ul-watni hoti hai

main  26 saal baad apne bichde huye azeezo'n se mili. unhe'n apne baap daada ki sar zameen ki yaad unn ko kis tarah satati hai, iss ka andaza wahi log laga sakte hainjo inn halaat se guzre hain.
jo log yahan se gaye thay unn ke poochne par mujhe akhtar shirani marhoom ka yeh sh'err yaad aa jaata
                                          o des se aane waale bata
                                          kis haal mein hain yaaran-e-watan.........................................................................................

( ab jump kar ke aakhiri hisse par aa raha hu'n JG )
numaiish mein ek ek rupey ke card bik rahe thay ( Sadeqain jo pakistan ke mashoor artist thay, un ke haatho"n )
log baaqayeda line lagaye khade thay. mere daryaft karne par maloom hua ke yahan sadeqain dastakhat kar rahe hain. ek card main ne bhi khareed liya aur jab unn ke qareeb pahunchi tau dekha woh behad thake huye andaz mein ek haath se sar pakde huye dastakhat kar rahe thay. main ne jab apna card unn ke saamne mez par rakha tau unho'n ne ek nazar mere oopar daali aur card ki pusht par ek ladki ki tasveer bana kar apne dastakhat kar diye.

mere dil mein aaye yeh shayer bhi hain kyun na inn se ek sh'err bhi likhwa lu'n. main dobaara unn ke qareeb gaii tau dekha ladkiya'n mere card ka hawala de kar unn se tasveer banwane ki farmaiish kar rahi thi'n.
" main bohot thaka hua hu'n. tumhare liye yahi kaafi hai. "
 mere dil mein aaya ke kahin mujhe bhi jhidak na de'n, himmat kar ke kaha
" badi meharbaani ho gi agar aap iss card apna ek sh'errlikhne ki zehmat gawara kare'n "
unho'n ne mujhe ghaur se dekha aur kaha " card par jagah nahin hai, warna poori rubaii likh bdeta" phir ek sh'err likh diy;_
                           ek tujh ko nazar nahin aaii
                           poori mahfil mein merei tanhaii
card waapas karte huye mujh se poocha " aap kahan se tashreef laaii hain "
meri bhaanji ne jawab diya " bambai se. yeh Sardar Jaafari ki choti behan hain
Saadeqain fauran uth khade huye " iss naam ko sun meri tau aankhon ki raushani badh gaii aur tamaam thakan door ho gaii. main yeh 48 foot lambi tasveer ek maah shab-o-roz mehnat kar ke banaii hai. jaafari ke naam mein kitni taaqat hai aur mujhe unn se kitna pyar hai yeh main aap ko bata nahin sakta "
main ne poocha " aap ki Sardar bhai se mulaqaat hai? "
" nahin main ne unn ko kabhi nahin dekha, khuda ek martaba milwa de, basa yahi dua hai. "

main ne shairo'n aur adeebo'n se le kar awaam ke dilo'n tak jo mohabbat ke sote phoot'te dekhe hain khuda kare woh aabshaar ban kar behne lage'n.


Monday, July 29, 2013

waqt ke saath... parveen shakir

waqt ke saath anaasar bhi rahe saazish mein
jal gaye ped kabhi dhoop kabhi baarish mein

woh tau ek saada-o-kam shauq ka taalib nikla
hum ne na haq hi ga'nwaya aaraiish mein

zindagi ki koi mahroomi nahin yaad aaii
jab talak hum thay tere qurb ki aasaaiish mein

ek duniya ka qaseeda tha agarche mere naam
lutf aata tha kisi shakhs ki fahmaiish mein

uss ki aankhe'n bhi meri tarah se girwi kahi'n aur
khwab ka qarz badha jaata hai ek khwahish mein

Sunday, July 28, 2013

....phoolo'n ka kya hoga.....parveen shakir

suna hai
titliyo'n par koi hadd jaari hoti hai
agar gulqand khud hi shahad ki sab makhiyo'n ke ghar pahunch jaye
tau un ko gul-ba-gul awaara gardi ki haajat kya
hawa ki chaal bhi kuch na-munasib hoti jaati thii
so titli aur makkhi aur hawa
na mehramo'n se door rakhi jaa rahi hai'n
magar yeh bhi koi sochey
ke phir phoolo'n ka kya ho ga
chaman mein aise kitne phool ho'n ge
ke jo khud-vasl aur khd baa aavar ho'n !

Wednesday, July 24, 2013

Dar Mazammat-E-Duniya.... meer taqi meer

suno aye azeezaan-e-zii hosh-o-aqal
ke iss kaarva'n gah se karta hai naqal

paimbar hai shah hai ke darvesh hai
sabho'n ko yahi raah dar-pesh hai

kaho ge ke aage tha kehta koi
nahin iss sara beech rehta koi

yeh baithe jo hain saamne hain kahan
jahan jumla hai ek bazm-e-ravaa'n

jise dekho chalne ka garam talash
yeh manzil nahin jaa-e-bood aur baash

gada ho ke ho shah-e-aali tabaar
tah-e-khaak sab ka hai daar-ul-fazaar

mile khaak mein jhad ke gul-haaye tar
paresha'n huye murgh-e-gulshan ke parr

patango'n ne gar khaak-e-maskan kiya
chiraagho'n ne bhi khaana raushan kiya

gaii khak daaman fashani ke saath
raha aab so bhi ravaanii ke saath

sukoo'n yaa'n ka dekha sarasar shataab
chale jaate hain koh jaise sahaab

jaha'n ek maatam sara hai ajab
nahin jaa-e-baash aur jaa hai ajab

bhala jii ke jaane ka kya hai bayaa'n
ayaa'n hai kehte hain jaa'n ko ravaa'n

jawani gaii mausam-e-shaibb hai
shahood ek do roz ko ghaibb hai

bila art'aash-e-tann-e-zaar hai
har ek azoo jalne ko tayyar hai

hua haafiza bas ke nisyaa'n ka sarf
nahin yaad aata hai do sheena'h harf

huye she'rr kya kya faramosh haye
kahu'n kya guzarti hai khamosh haye

na poocho lab-o-lehja be taur hai
sukhan karne ka dhang hi aur hai

nahin gaur ke kaam se kuch firaagh
kise zauq-e-sohbat kahan hai dimaagh

na kuch yun hi ainak nazar chadh gaii
basarat ki be-taaqati badh gaii

sad afsos lutf-e-sam'aat nahin
sada door se jaise aave kahin

labo'n par nihayet zaeef ek aah
dar-o-baam par hasrato'n se nigah

wagarna diya sa bujha jaye hai
phir uth baithu'n tau jii jala jaye hai

siyah-roo-e-saibb ek sitam kar gaya
likhu'n kya ke main jeete jee marr gaya

qalam rakh de kar meer khatam-e- kalaam
tamaam apni sohbat huii wa-assalaam

maqaula-e-shayer from shola-e-ishq ... meer taqi meer

agar hi yeh qissa bhi hairat faza
wale meer yeh ishq hai budd bala

bohot jii jalaye hai'n iss ishq ne
bohot ghar lutaye hai'n iss ishq ne

fasano'n se iss ke labaalab hai dahar
jalaye hain iss tund aatish ne shahar

mohabbat na ho kaash makhlooq ko
na chodey yeh aashiq na maashooq ko

Tuesday, July 23, 2013

gori karat singhar....parveen shakir

baal baal moti chamkaye
rom rom mehkaar
maang sindoor ki sundarta
chamke chandanwaar
joode mein juhi ki beni
baanh mein haar singhar
kaan mein jag mag baali patta
gale mein jugnu haar
sandal aisi peshanii par
bindiya laii bahaar
sabz kataara si aankhon mein
kajre ki dhaar
gaalo'n ki surkhi mein jhalke
hiriday ka iqraar
hont pe kuch phoolo'n ki laali
kuch saajan ke kaar
kasa hua kesari shaloka
chunri dharidaar
haatho'n ki ek ek choodi mein
mohan ki jhankaar
sahaj chale, phir bhi payel mein
bole pii ka pyar
apna aap darpan mein dekhe
aur sharmaye naar
naar ke roop ko ang lagaye
dhadak raha sansar

Taabeer.....parveen shakir

siyah raato'n ke aage surkhruu hu'n
chaand se aankhe'n mila kar baat karti hu'n
ke main ne umr mein dekha hai pehli baar yeh manzar
meri neend'en mere khwabo'n ke aage sar utha kar chal rahi hai'n !

Majboori....Parveen Shakir

hawaye'n
dastako'n mein mera naam le rahi hai'n
main, kiwaad kaise kholoo'n
mere dono'n haath pusht ki taraf bandhe huye hai'n !

Flower Show.... Parveen shakir

phool hi phool hai'n
ta ba'h hadd-e-nazar
aatishi, aasmani, gulabi
kaasini, champaii, arghawani
kitne mashshaq haatho'n ne--------kitni,
yasman yasmin ungliyo'n ne
iss tarah se sajaya, sa'nwara inhe'n
aur phir daad-e-ahl-e-nazar aur tahseen-e-chashm-e-nigaara'n mili
yeh na socha kisi ne, ke gul ne
shaakh se toot kar
husn ke iss safar mein
kis tarah azziyat uthaii !

hum ke sha.ir hai'n----nok-e-qalam se
fikr ke phool mehka rahe hai'n
apni soch ki taabandagi se
aariz-e-waqt chamka rahe hai'n
ek waqt aisa bhi aa raha hai
jabke deewan apne
aabnoos aur marr marr ke shelfo'n mein patthar ki maanind saj jaaye'n ge
yaasmin yaasmin ungliya'n
she'rr ke lams se be-khabar
unn ko tarteeb de'n gi
nargisi nargisi kitni aankhe'n
husn-e-tarteeb daad de'n gi
iss haqeeqat se na aashna
husn-e-takhleeq ke iss safar mein
hum ne kaisi azziyat uthaii !

Ghazal....Siraj Aurangabadi

aalam ke dosto'n mein muravvat nahin rahi
sharm-o-haya-o-mehar-o-shafqat nahin rahi

zaahir mein kya rafeeq kahate hain aap koo'n
lekin ino'n ke dil mein mohabbat nahin rahi

milte hain raasti mein jo koi kaj nazar mile
khubo'n mein paak-baaz ki hasrat nahin rahi

bhoole hain har sanam ke karishme pe hosh koo'n
in zaahido'n mein kishf-o-karaamat nahin rahi

ab zaat-e-haq baghair na rakh dosti siraj
aalam mein aashnaii-o-ulfat nahin rahi

Monday, July 22, 2013

Lauh-O-Qalam... Faiz Ahmed Faiz

Hum parvarish-e-lauh-o-qalam karte rahe'n ge
Jo dil pe guzarti hai raqam karte rahe'n ge
Asbaab-e-gham-e-ishq bah'am karte rahe'n ge
Ha'n talkhii-e-ayyam abhi aur badhe gii
Ha'n ahl-e-sitam, mashq-e-sitam karte rahe'n ge
Manzoor yeh talkhii, yeh sitam hum ko gawaara
Dum hai tau madavaa-e-sitam karte rahe'n ge
Maikhana salaamat hai tau hum surkhi-e-mai se
Taz'in-e-dar-o-baam-e-haram karte rahe'n ge
Baaqi hai lahoo dil mei'n tau har ashk se paida
Rang-e-lab-o-rukhsaar-e-sanam karte rahe'n ge
Ek tarz-e-taghaaful hai so woh unn ko mubarak
Ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahe'n ge

Sha'ir lo'g... Faiz Ahmed Faiz

Har ek daur mein hum, har zamaane mein hum
Zehar peete rahe, geet gaate rahe
Jaan dete rahe zindagi ke liye
Ssa'yet-e-vasl ki sarkhushi ke liye


Deen-o-duniya ki daulat luata'te rahe
Faq'r-o-faaqa ka tosha sambhale huye
Jo bhi rasta chuna uss pe chalte rahe
Maal waale hiqaarat se takte rahe
Ta'n karte rahe, haath malte rahe
Hum ne unn par kiya harf-e-haq sa'ng zan
Jin ki haibat se duniya larzti rahi
Jin pe aa'nsoo bahane ko koii na tha
Apni aankh unn ke gham mein barastii rahi
Sab se ojhal huye hukm-e-haakim pe hum
Qaid khaane sahe, taazia'ne sahe
Lo'g sunte rahe saaz-e-dil ki sada
Apne naghme sa slaakho'n se chante rahe
Khoonchakaa'n dahar ka khoo'nchakaa'n aaina'h
Dukh bhari khalq ka dukh bhara dil hai'n hum
Tab'e sha'ir hai jangah-e-adl-o-sitam
Munsif-e-khair-o-shar, haq-o-baatil hai'n hum

Tuesday, July 16, 2013

aaj uss bazm....momin

aaj uss bazm mein toofan utha ke uthay
yaa'n talak roye ke uss ko bhi rula ke uthay

go ke safha-e-hasti pe thay ek harf-e-ghalat
lekin uthay bhi tau ek naqsh bitha ke uthay

uff ri garmii-e-mohabbat! ke tere sokhta jaa'n
jis jagah baith gaye, aag laga ke uthay

jii hi maanind-e-nishaan-e-kaf-e-paa baith gaya
paao'n kya kooche se uss hoshruba ke uthay

dosti mein....chakbast

dosti mein apna apna haq ada jartey rahe
woh jafa kartey rahe aur hum wafa kartey rahe

ahl-e-himmat manzil-maqsood tak aa bhi gaye
banda-e-taqdeer qistmat ka gila kartey rahe

UDA KAR SEHAN-E-GULSHAN SE....CHAKBAST

UDA KAR SEHAN-E-GULSHAN SE, MITA KAR AASHIYA'N MERA
MERE SAAYE KE PEECHE PHIR RAHA HAI BAAGHBA'N MERA

MERE AHBAAB PESH AATE HAIN MUJH SE BE-WAFAII SE
WAFAADARI MEIN SHAYED KAR RAHE HAIN IMTEHAA'N MERA

HUJOOM-E-BE-KASI HAI, SHAAM-E-TANHAII HAI AUR MAIN HU'N
SADAA-E-CHAARAGAR BARHUM NA KAR DE YEH SAMAA'N MERA

MUJHE DAIRR-O-HARAM SE WAASTA KYA HAI? RIND-E-MUSHRIB HU'N
WAHI IMAA'N HAI, JO KUCH KAHE PEER-E-MUGHAA'N MERA

DIL HI BUJHA HUA...... CHAKBAST

DIL HI BUJHA HUA HAI, TAU LUTF-E-BAHAR KYA?
SAAQI KYA?,SHARAB HAI KYA?, SABZA-ZAAR KYA?

JIS JI QAFAS MEIN AANKH KHULI HO MERI TARAH
USS KE LIYE CHAMAN KI KHIZAA'N KYA?.BAHAR KYA?

BAAD-E-FANAA FUZOOL HAI NAAM-O-NISHAA'N KI FIKR
JAB HUM NAHIN RAHE, TAU RAHE GA MAZAAR KYA?


Thursday, July 11, 2013

RUBAII....MIRZA GHALIB 3

ISS RISHTEY MEIN LAAKH TAAR HON BALKE SIWA
ITNE HI BARAS SHUMAAR HON BALKE SIWA
HAR SAIKADEY KO EK GIRAH FARZ KARE'N
AISI GIRAHE'N HAZAAR HON BALKE SIWA

RUBAII....MIRZA GHALIB 2

DUKH JEE PASAND HO GAYA HAI GHALIB
DIL RUK KAR BAND HO GAYA HAI GHALIB
WALLAH KE SHAB KO NEEND AATI HI NAHIN
SONA SAUGAND HO GAYA HAI GHALIB

RUBAII....MIRZA GHALIB 1

AATISH-BAAZI HAI JAISE SHAGHAL-E-ATFAAL
HAI SOZ-E-JIGAR KA BHI USI TAUR KA HAAL
THA MOJAD-E-ISHQ BHI QAYAMAT KOI
LADKO'N KE LIYE GAYA HAI KYA KHEL NIKAAL

Wednesday, July 10, 2013

NA RAAH MEIN SHAJAR KOI....

NA RAAH MEIN SHAJAR KOI, NA AB KOI SARAAB HAI
NA AARZOO KE SILSILE, NA REG ZAAR-E-KHWAB HAI

NA GUFTUGU KI FASAL HAI, NA KHAAMSHI KE FAASLE
NA KAARZAAR-E-JUSTUJU, NA SHAHAR-E-IZTERAAB HAI

YEH KYUN KAHI WARAQ WARAQ WOH DAASTA'N BIKHAR GAII
ABHI TAU HAATH MEIN KHULA SIYAHIYO'N KA BAAB HAI

GUMAAN KAAT'TE RAHE, HAYAT BAANT'TE RAHE
YAHI THA TARZ-E-ZINDAGI, KHULA HUA HISAAB HAI

Monday, July 8, 2013

GHAZAL .... IRFAN SIDDIQUI

KAHIN TAU LUTNA HAI PHIR NAQAD-E-JAA'N BACHAANA KYA
AB AA GAYE HAIN TAU MAQTAL SE BACH KE JAANA KYA

IN AANDHIYO'N MEIN BHALA KAUN IDHAR SE GUZRE GA
DAREECHE KHOLNA KAISA, DIYE JALAANA KYA

JO TEER BOODHO'N KI FARIYAAD TAK NAHIN SUNTE
TAU UNN KE SAAMNE BACHCHO'N KA MUSKURAN KYA

MAIN GIR GAYA HU'N TAU  AB SEENE SE UTAR AAO
DILER DUSHMANO, TOOTE MAKAA'N KO DHAANA KYA


GHAZAL ....YAAS YAGAANA

KYUN? KISI SE WAFA KARE KOI
DIL NA MAANE, TAU KYA KARE KOI

MAUT BHI AA SAKI NA MUNH MAANGI
AUR KYA ILTEJAA KARE KOI?

HANS BHI LETA HUN OOPARI DIL SE
JEE NA BAHLE, TAU KYA KARE KOI


Sunday, July 7, 2013

GHAZAL.....FAANI

WOH JEE GAYA, JO ISHQ MEIN JII SE GUZAR GAYA
EISA KO HO NAVEED, KE BEEMAR MARR GAYA

AAZAD KUCH HUYE HAIN ASEERAN-E-CHAMAN
YAANI JAMAAL-E-YAAR KA SADQA UTAR GAYA

DUNIYA MEIN HAAL-E-AAMAD-O-RAFT-E-BASHAR NA POOCH
BE IKHTIYAAR AA KE RAHA, BEKHABAR GAYA

FAANI KI ZAAT SE GHAM-E-HASTI KI THI NAMOOD
SHEERAZA'H AAJ DAFTAR-E-GHAM KA BIKHAR GAYA

Bravo Oral-B Pro-Health! Out with your ‘batteesi’!

It was supposedly the most awaited FMCG launch to happen… a challenger that would shake the No 1 brand and run tremors of fear through it… a market shaker who prompted competitors to pre-empt with their own challenger launches….
As I watch the ads over the past 3-4 days, my jaw dropped and it’s now touching the floor… I’m amazed, zapped, stupefied all at once…. The first ad I saw was of an inane set of people chewing, eating and Madhuri coming at the end of it and stating some lines about a toothpaste that does everything… someone who wrote the positioning, will certainly get an honourable mention when I teach my students about the ‘E2=0’ principle… which simply means ‘when you emphasise everything, you emphasise nothing’
As a proponent of the use of correct language, it also appalled me to hear the repeated use of the word ‘batteesi’. In Hindi, the word is most often used in the context of dentures. A modified phrase ‘batteeson barkaraar’ was used for years in the advertising of a popular brand while rendering its ’32 intact’ promise in Hindi.  For a Hindi speaking person batteesi is a negative word, most often used in reprimanding context like ‘ batteesi mat dikhao’ (most often used to reprimand those who laugh or grin irreverently) or worse ‘batteesi tod denge… or batteesi bahar nikal denge’ (used to threaten  to break someone’s teeth). Wonder what the brand is trying to say in ‘India ki batteesi’, which as a sentence anyway sounds so wrong .
Then I see another ad of Oral-B toothbrush, with a jaded Madhuri Dixit mouthing out her ‘Smile Officer’ role with a plasticky smile in tow… at the end I saw a ‘buy a Oral-B brush and get a toothpaste free offer’… Wonder what the client and its agencies were thinking as they set out to launch a superior, anticipated brand in a cut-throat and high loyalty toothpaste market through an offer… If I try hard and give P&G its due this may be the company’s way of promoting trials…. But again, does this reflect in how the Company has positioned itself in India… Ask anyone who knows the company beyond being just a consumer and the individual will talk about the Company’s products being premium and high market…. If that is how they have built their perception across their several brands, why would they want to explore trials through a bundled offer?
All I can say with my experience of 40 years of being a campaign planner, with this entry strategy, P&G has sure shaken their competitors… just that the competitors must be shaking with uncontrolled laughter, as they really need not do anything to protect their interest… P&G has done them a great favour with their launch communication, which passes by like a ship in the dark and tops it with a ‘take it home free’ offer…. Just hope the market number 1 & 2 are definitely smarter and do not think about returning the favour, and I continue to wonder in Ghalib’s words ‘Ya ilaahi ye majara kya hai’… 

Saturday, July 6, 2013

Meer Taqi Meer ki khud pasandi

Asha'rr ki maqbooliyat, logon ki qadar afzaii ne meer ke dimaagh ko unn hado'n Tak pahuncha diya tha jise ghuroor ka naam diya jaa sakta hai.
Mundarja zail waaqiyaat se andaaza lagaiye:

1. Unn ke kalam ki azmat se kisi shayer ne kabhi inkaar nahin kiya. Lekin phir bhi mukhtalif shayer apne apne ustaad ki taareefe'n kat'tey aur aapas mein ek doosre ko badhatey rehtey. Iss par meer ney ek masnavi " azhdar naama " likhi jis mein unho'n ney apne ohad ke doosre sho'raa ko keede-makodo'n se taabeer kiya, kisi ko saanp bataya, kisi ko bichchoo aur apne aap ko azhdar qarar diya jo ek phunkar se sab ko fana kar deta hai. Yeh masnavi unn ke ibtedaii daur ki hai.

2. Meer ke hum-asar hakeem qudratullah qasim dehalvi apne tazkare" mein likhte hain ke meer ke kubr-o-ghuroor ke mutaalliq kya likhu'n kyun ke uss ki hadd hi nahin hai. Unn ke nakhvat-o-khudsari ke zikr se qalam ki zaban zakhmi huii jaati hai.

3. Qasim ney meer ki bad dimaaghi ka ek waaqiya bhi byan kiya hai. Kehte hain ke Mirza Mohammed Taqi khaan Taraqqi ke yahan mushayera tha. Jura'at ney kai ghazle'n padhi'n. tahseen aur afreen ke shor se kaan padi awaaz sunaii na deti thi. Meer bhi maujood thay. Jura'at Meer ke qareeb aaye aur apne kalaam ki daad chahi. Meer khamosh rahe. Aakhir do-teen martaba ki darkhwast ke baad yeh kaha:-
" kaifiyat iss ki yeh hai ke tum she'rr tau keh nahin jaantey ho apni chooma-chaati keh liya karo. "

4. Meer Saheb lucknow mein taaza vaarid huye thay ke Mirza Mufal Sabqat jo khud achche shayer thay, unn ki mulaaqat ko gaye. Kuch der idhar udhar ki baate'n karne ke baad darkhwast ki ke apne kalaam se mustafeed farmaiye. Meer Saheb ney kuch der sochne ke baad farmaya " tumhari soorat se sukhan fehmi zaahir nahin hoti phir apne sukhan ko zaayaa karney se kya haasil? "

5. Ek din Nawab Asifuddaula'h Bahadur apne kutub khaaney mein tashreef farma thay. Saamne Meer Saheb baithe huye thay. Ek kitaab nawab Saheb se door aur Meer Saheb se qareeb thi. Nawab Saheb ne farmaya ke woh kitaab mujh ko utha dijiye. Meer Saheb ney ek Khadim se farmaya suno tumhare aaya kya farmate hain. Nawab Saheb ney uth kar woh kitaab khud utha li.

6. Aasifuddala'h ke ustaad Meer Soz mujre ke liye haazir huye. Meer Saheb bhi uss waqt maujood thay. Nawab ki farmaish par Soz ney do-teen ghazle'n padhi'n aur Nawab ney khoob taareef ki. Meer Saheb ko Nawab ki taareef nagawar guzri aur Soz se kaha. " tunhe'n iss dileri par sharm nahin aati. Tumhari she'rr khwani ka mauqa aur mahal tau woh hai jahan ladkiya'n jamaa ho'n aur hand-kuliya'n pak rahi ho'n, na woh jahan Meer Taqi maujood ho'n "

7. Apne iss mizaaj ki taraf unho'n ne apne kalaam mein bhi ishaare kiye hain , maslan:

Hai naam majliso'n mein mera be-dimaagh
Az baske kam dimaaghi ney paaya hai ishtihaar

Har lehza bad mizaaji rehti hai meer tum ko
Uljhao hai zamee'n se jhagda  hai aasma'n se

Saare aalam par hu'n main chaaya hua
Mustanad hai mera farmaya hua

Hain musht-e-khaak lekin jo kuch hain meer hum
Maqdoor se zyada maqdoor hai hamara

Tuesday, July 2, 2013

BAANJH MAUSAMO'N KI RAAGINI..... QATEEL SHIFAYI

BASANT BHI NAHIN KE HARF RANG LU'N
PEELE PEELE RANG MEIN
BAHAR BHI NAHIN KE PHOOL TAANK LU'N
KISI NAII UMANG MEIN
KHIZAA'N BHI WOH NAHIN KE KHUSHK PATTIYA'N
OAS MEIN BHIGO SAKU'N
SAMAA'N BHI WOH NAHIN KE JIS KI TALKHIYA'N
SUROOR MEIN DUBO SAKU'N
GANG APNE SAAZ KI
EK EK JHAANJH HAI
KIS TARAH BASHARATO'N KA HO JANAM
JAB DULHAN HI MAUSAMO'N KI BAANJH HAI

MEETHA GOSHT..... SHAUKAT THANVI

YEH KHABAR TAU AAP NE KUCH DIN PEHLE AKHBAAR MEIN PADH HI LI HO GI KE EK SAHEB NE, JIN KE MUTA'LLIQ YEH TAH THA KE WOH ANGREZI MEIN SHUDD BUDD RAKHTE HAIN.
" SWEET MEAT " KA TARJUMA " MEETHA GOSHT " KIYA THA AUR YEH SAABIT KIYA THA KE WOH ANGREZI MEIN " SHUDD " BHI RAKHTE HAIN AUR " BUDD " BHI YAANI ALEHDA ALEHDA SWEET KE MAANII BHI JANTE HAIN AUR MEAT KE MAANII BHI. AB YEH GHALTI        
UNN KI NAHIN BALKE ANGREZI ZABAN KI HAI KE

          " SWEET MEAT "
MEETHE GOSHT KO NAHIN BALKE MITHAII KO KEHTE HAIN. MAGAR UNN BECHAARE KE USS SLAH AANE SAHI TARJUME KA HAR TARAF MAZAQ UDAYA GAYA. YEH BAAT AKHBAARO'N MEIN CHAPII. ISS PAR TABSARE HUYE. TABSARO'N PAR QAHQAHE LAGAYE GAYE. AUR HANSNE-HANSAANE KE BAAD SANJEEDGI SE ISS QISM KI BAATE'N KAHI GAYEE'N KE DEKH LIJIYE SAHEB AB YEH REH GAYA HAI HAMARA MEYAA-E-TAALEEM AUR AISE HOTE HAIN AAJKAL LE TAALIB-E-ILM.

AB TAU ISS KA KOI ILAAJ NAHIN HAI KE HAMARE BAAZ TAALIB-E-ILMO'N KI ZAHANAT KO BHI JAHALAT KAHA JAATA HAI. MASLAN EK SAHEBZAADE NE ----SUNDAY KO ITWAAR LIKHNA EK AAM RAVISH SAMAJH KAR '" DHOOP KHANE KA DIN " LIKH DIYA. UNN SE POOCHA GAYA BARKHURDAR DHOOP  KHAANE KE DIN SE TUMHARI KYA MURAD HAI TAU WOH BOLE " KE JIN ANGREZO'N KI YEH ZABAN HAI. UNN KE MULK MEIN BADI SARDI PADTI HAI MAGAR MASROOFIYAT KI WAJAH SE WOH DHOOP KAANE KO BHI TARSA KARTE HAIN. ALBATTA HAFTE KA YAHI DIN HOTA HAI JAB WOH KAAROBAR BAND KARTE HAIN. DAFAATAR NAHIN JAATE AUR CHUTTI MANA KAR NIHAYET ITMINAAN SE PADE DHOOP KHAYA KARTE HAIN ISI RIYAET SE ANGREZO'N NE ISS DIN KA NAAM SUN YAANI SURAJ AUR DAY YAANI DIN GOYA SURAJ KA DIN RAKHA HAI. AGAR AAP ISS KO ITWAAR KEHNE LAGE HAIN TAU ISS KI ZIMMEDARI ANGREZO'N PAR NAHIN HAI. AAP AGAR SUNDAY KO SHARBAT-E-BANAFSHA BHI KEHNE LAGTE TAU WOH AAP KA KYA KAR SAKTE THAY.MAGAR SUNDAY KE ASL MAANI YAHI HAIN JO MAIN NE LIKHE HAIN YAANI DHOOP KHANE KA DIN.

ISS QISM KE TARJUMO'N KE ISS ZAMAANE KE SAB SE BADE USTAAD HAMARE DOST MAULANA MAHIR-UL-QADRI HAIN JIN KO URDU AUR ANGREZI DONO ZABANO'N PAR ITNA UBOOR HAASIL HAI KE WOH INN ZABANO'N KE IMTEZAJ SE EK AISI ZABAN BANATE  CHALE JAA RAHE HAIN JO NA URDU JAN'NE WAALO'N KE PALLE PADTI HAI NA ANGREZO'N KI SAMAJH MEIN AATI HAI. EK SE EK ZBAN DAA'N ANGREZ YEH ANGREZI SUNN KAR KAKKA BAKKA REH JAATA HAI. ANGREZO'N KA YEH HAAL HAI TAU HUM DESI KIS KHET KI MOOLI HAIN. AGAR KISI KO APNI ANGREZI DAANI PAR NAAZ HAI TAU BATAYE KE ALIVE WIND KE KYA MAANI HAIN. POOCHTE PHIRIYE EK SE EK MAADARZAAD ANGREZ SE NA SAB KE SAB CHAKRA KAR REH JAAYE'N TAU HAMARA ZIMMA. JANAAB-E-WAALA ISS ALIVE WIND KE MAANII HAIN " ZINDA BAAD ". AB ALEHDA ALEHDA DONO LAFZO'N KE MAANII DEKH LIJIYE.

ALIVE YAANI ZINDA. ISS TARJUME SE KISI KO INKAAR NAHIN HO SAKTA WIND YAANI BAAD BAMAANII HAWA LIHAZA DONO MIL KAR ZINDA BAAD HUYE YA NAHIN.ISI TARAH MAULANA MAHIR-UL-QADRI NE JO ANGREZI BOLTE HUYE MAHIR-UL-PAADRI NAZAR AATE HAIN APNE EK DOST SHAYER SE POOCHA.

" KYUN JANAAB AAP NE KABHI " LITTLE SEA " MEIN GHAZAL KAHI HAI? "

AB WOH BECHARA HAIRAN KE KYA JAWAB DE. AAKHIR BA-MUSHKIL KHUD MAULANA NE APNE SHAYER DOST KO SAMJHAYA KE:-

" LITTLE SEA " KA MATLAB KE CHOTI BEHAR MEIN GHAZAL KAHI HAI. "

Monday, July 1, 2013

MAHROOMI...... PARVEEN SHAKIR

NANNEH SWATI BACHCHE KE KASHKOL MEIN
SUBAH SE SHAAM TALAK
NEELI AANKHON, BHOORE BAALON, DHANWANO'N KI BADAULAT
UJLI HANSI AUR CHAMKEELE AANSOO KE AKS BADLE
MAILE SIKKE AAJ BHI DIN BHAR GIRTE RAHE
AAJ BHI KHOJTI RAHI SNAA'AT
KAASA-E-DIL MEIN KOI KHANAK !

QASEEDA DAR MADAH AASIF UD DAULAH BAHADUR... MEER TAQI MEER

RAAT KO MUTLIQ NA THI YAAN JEE KO TAAB
AASHNA HOTA NA THA AANKHON SE KHWAB

LOT'TA THA SOZ-E-GHAM SE AAG MEIN
DIL JIGAR SINKTE THAY JU'N KABAB

HAR ZAMAA'N THI SAATH APNE GUFTUGU
KYA KARUN SHAHAR AUR MAIN DONO KHARAB

THA KARAM SHEVA'H JINHON KA UTH GAYE
BAITHE BAITHE KHINCHIYE KAB TAK AZAAB

JAAIYE KIS DARR OOPAR KAUN HAI
MILIYE KIS SE KAUN MILNE KA HAI BAAB

LE JAWANI SE PHIRE PEERI TALAK
IMTEHAA'N MEIN AA GAYE SAB SHEIKH-O-SHAAB

NAGAHA'N MUJH SE LAGA KEHNE SAROSH
RAHGUZAR SE LUTF JI KAR KAR KHITAAB

HAI KAREEM AB BHI VAZEER IBN-E-VAZEER
AASIF-UD-DAULAH FALAK QADAR-O-JANAB

AASMA'N RUTBA HAI JIS KA AASTA'N
NAAZ KAR TAAL'E PE JO HO BAARYAAB

USS KI HIMMAT SE SUKHAN KYA SAR KARUN
BAAT KEHTE VE DURR-O-YAAQOOT-E-NAAB

USS KE DSAT-O-DIL KE RASHK-O-SHARAM SE
KHOON HAI DIL KAAN KA DARIYA HAI AAB

DAST-E-HIMMAT USS KA GAR DURR BAAR HO
PAANI PAANI SHARAM SE HOVE SAHAAB

MAAL KYA HAI HAFT GANJ-E-KHUSROVI
EK HI KO NAWWAB BAKHSHE HAI SHATAAB

FAKHR SAAM-O-RUSTAM USS KI BANDAGI
DAAKHIL-E-KHUDDAM YAA'N AFRAASYAAB

JIS SEHAR JURA'T SE KHEENCHI UNN NE TEGH
DHAAL RAKHE MUNH PE NIKLA AFTAAB

RAZM KE ARSE MEIN HALCHAL PAD GAII
AASMA'N KE KHEME KE KAANPI TANAAB

IT GOES ON , PRETTY LONG IT IS....REST LATER :)