Thursday, January 31, 2013

MEDIUM IS NOT THE MESSAGE

AGES AGO THE GREAT COMMUNICATOR, MARSHALL MACLUHAN, IS REPORTED TO HAVE SAID, " MEDIUM IS THE MESSAGE ". HE HAD PROBABLY SAID THIS BECAUSE, AT THAT TIME, THE CHOICE OF MEDIA WAS RESTRICTED.

THE MEDIA AVAILABLE THEN WAS NOT AS DISTINCT AND DIVERSE AS NOW. AT THAT TIME THE CHOICE OF THE RIGHT MEDIUM AND PROBABLY A NEWER MEDIUM WAS CRUCIAL BECAUSE COMMERCIAL MESSAGES WERE ELEMENTARY. THUS TO A CERTAIN EXTENT, THE MEDIUM WAS THE MESSAGE.

BUT TODAY, WHEN I HEAR SENIOR PROFESSIONALS SAY THAT MEDIUM IS THE MESSAGE, I WONDER HOW MANY OF THEM REALLY UNDERSTAND WHAT THEY ARE UTTERING. ON BEING PROBED FURTHER EACH ONE HAS A DIFFERENT INTERPRETATION OF THE STATEMENT.

IN TODAY'S CHANGED SCENARIO THE STAEMENT IS TOTALLY UNTRUE. IT IS A MYTH.

ARE THESE PEOPLE, WHO ADVOCATE THE STATEMENT, TRYING TO TELL US THAT THE COMMUNICATIONS MEDIA IS MOIRE IMPORTANT THAN THE MESSAGE CRAFTED FOR ADVERTISING OR PUBLIC RELATIONS?

A COMMUNICATIONS MEDIUM COULD BE IMPORTANT IN THE CONTEXT OF ITS TARGET GROUP. FOR EXAMPLE, CINEMA IS LARGELY PATRONISED BY TEENAGERS. SO IT MAKES SENSE TO SCHEDULE COMMERCIAL MESSAGES AIMED AT YOUNGER AUDIENCE IN CINEMA RATHER THAN TELIVISION. BECAUSE MORE OFTEN THAN NOT THIS GROUP DOES NOT GET ENOUGH TIME TO BE AT HOME TO WATCH TELEVISION.

Tuesday, January 22, 2013

agar

agar
koi dost
ya
koi bada
ghalat raah par
chalne ki de salaah
tau
fauran
apne aapko
kar lo uss se juda
warna
tum par
paa len ge
woh qaabu
aur tum reh
jaao ge
ho ke
poori tarah
baabu

urdu poetry....parvez shahidi

hawa-e-tund mein yeh reshmi kheme na thehren ge
kahan tak aazmao ge vafadaari tanaabon ki

yeh shahar-e-havas, pechan-na mushkil hai logon ka
yahan chehre bhi bikte hain, dukaanon mein naqaabon ki

din ek sitam.......

din ek sitam, ek sitam raat karo ho
woh dost ho, dushman ko bhi maat karo ho

rakhna hai kahin......

rakhna hai kahin paaon tau rakho ho kahin paaon
chalna zara aaya hai tau itraaye chalo ho

Monday, January 21, 2013

urdu poetry.....khumar baarabankavi 4

wahi phir yaad aane lage hain
jinhein bhulane mein zamane lage hain

hataye thay jo raaste se doston ke
woh patthar mere ghar aane lage hain


urdu poetry.......khumar baarabankavi

woh jis qadar aazmate rahe
apni mushkilon ko badhaate rahe

aankhen sookhi huyee nadiyan ban gayeen
aur toofan ba-dastoor aate rahe

pyar se unn ka inkaar bar-haq magar
lab yeh kyun der tak thar-tharate rahe


urdu poetry......khumar barabankavi 2

jhunjhlaye hain, lajaaye hain phir muskuraye hain
kis ehtemaam se hum unhein yaad aaye hain

guzre jo maikade se tauba ke baad hum
kuch der tau aadatan bhi qadam ladkhadaye hain


urdu poetry.....khumar baarabankavi

husn jab meharbaan ho tau kya kijiye
ishq ki maghfarat ki dua kijiye

iss saleeqe se un se gila kijiye
jab gila kijiye hans diya kijiye

dusron par agar tabsira kijiye
saamne aaina rakh diya kijiye

koi dhoka na kha jaye meri tarah
aise khul ke na sab se mila kijiye

urdu poetry.......mustafa

vafa ka naam bhi zinda hai, main bhi zinda hun
ab apna haal suna mujh ko be-vafa mere

urdu poetry,,,,

devta
banne ki hasrat mein
hawa mein latak
gaye thay
neeche
utar rahe hain ab
aadmi
banne ke liye

urdu poetry,,,,

devta
banne ki hasrat mein
hawa mein latak
gaye thay
neeche
utar rahe hain ab
aadmi
banne ke liye

RDU POETRY.......

UBHRI SAKHI KI SHAKAL, BHIKARI KI AANKH MEIN
PANCHI KA AKS JAISE SHIKARI KI AANKH MEIN
WOH TAU KHUDA HAI USS KA TAU DARJA HI AUR HAI
PATTHAR BHI DEVTA HAI PUJARI KI AANKH MEIN

URDU POETRY...

MAFAHAMAT NA SIKHA, JABR-E-NARAVAA SE MUJHE
MAIN SAR-BA-KAF HUN, LADA DE KISI BALA SE MUJHE
MAIN SAR-BA-SIJDA HUN, AYE SAMAR, MUJH KO QATL BHI KAR
RIHAYEE DE BHI AB, ISS AHD-E-KARBALA SE MUJHE

BHAGAVAD-GITA

ABANDON ALL VARIETIESE  OF RELIGION AND JUST SURRENDER UNTO ME. I SHALL DELIVER YOU FROM ALL SINFUL REACTIONS. DO NOT FEAR.

BHAGAVAD-GITA

THOSE WHOSE INTELLIGENCE HAS BEEN STOLEN BY MATERIAL DESIRES SURRENDER UNTO DEMIGODS AND FOLLOW THE PARTICULAR RULES AND REGULATIONS OF WORSHIP ACCORDING TO THEIR OWN NATURES.

Sunday, January 20, 2013

BHAGAVAD-GITA

AS FIRE IS COVERED BY SMOKE, AS A MIRROR COVERED BY DUST, OR AS THE EMBRYO IS COVERED BY THE WOMB, THE LIVING ENTITY IS SIMILARLY COVERED BY DIFFERENT DEGREES OF THIS LUST.

BHAGAVAD-GITA

WHEN ONE DIES IN THE MODE OF PASSION, HE TAKES BIRTH AMONG THOSE ENGAGED IN FRUITIVE ACTIVITIES: AND WHEN ONE DIES IN THE MODE OF IGNORANCE, HE TAKES BIRTH IN THE ANIMAL KINGDOM.

BHAGVAD-GITA

FROM WHEREVER THE MIND WANDERS DUE TO ITS FLICKERING AND UNSTEADY NATURE, ONE MUST CERTAINLY WITHDRAW IT AND BRING IT BACK UNDER THE CONTROL OF THE SELF.

BHAGVAD GITA

AS A BLAZING FIRE TURNS FIREWOOD TO ASHES, O ARJUNA, SO DOES THE FIRE OF KNOWLEDGE BURNS TO ASHES ALL REACTIONS TO MATERIAL ACTIVITIES.

BHAGVAD GITA

EVEN IF YOU ARE CONSIDERED TO BE THE MOST SINFUL OF ALL SINNERS, WHEN YOU ARE SITUATED IN THE BOAT OF TRANSCENDENTAL KNOWLEDGE YOU WILL BE ABLE TO CROSS OVER THE OCEAN OF MISERIES.

( IN A MONTH MY URDU TRANSLATION SHALL BE READY )

Tuesday, January 15, 2013

woh subah kabhi tau aaye gi...Sahir

woh subah kabhi tau aaye gi

inn kaali sadiyon ke sar se jab raat ka aanchal dhalke ga
jab dukh ke baadal pighlen ge sukh ka saagar chalke ga
jab ambar jhoom ke naache ga jab dharti naghme gaaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

jis subah ki khaatir jug jug se hum sab marr marr ke jeete hain
jis subah ke amrit ki dhunn mein hum zahar ke pyale peete hain
inn bhooko-pyasi roohon par ek din tau karam farmaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

maana ke abhi tere mere armaanon ki qeemat kuch bhi nahin
mitti ka bhi hai kuch mol magar insaanon ki qeemat kuch bi nahin
insaanon ki izzat jab jhoote sikkon mein na tauli jaaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jaaye ga
chhahat ko na kuchla jaaye ga ghairat ko na becha jaaye ga
apne kaale katooton par jab yeh duniya sharmaaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

beeten ge kabhi tau din aakhir yeh bhook ke aur bekaarike
tooten ge kabhi tau butt aakhir daulat ki ijaaradaari ke
jab ek anokhi duniya ki buniyaad uthayee jaaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

faaqon ki chitaaon par jis din insaan na jalaaye jaayen ge
seene ke dehakte dozakh mein armaan na jalaaye jaayen ge
yeh narak se bhi gandi duniya, jab swarg banayee jaaye gi

woh subah kabhi tau aaye gi

to len ge....sahir ludhianvi

tod len ge har shaye se rishta
tod dene ki naubat aaye tau

hum qayamat ke khud muntazir hain
par kisi din qayamat aaye tau

ek tahzeeb hai dosti ki
ek myaar hai dushmani ka

doston ne muravvat na seekhi
dushmanon ko adaavat tau aaye

sadiyon se....sahir ludhianvi

sadiyon se insaan yeh sunta aaya hai
dukh ki dhoop ke aage sukh ka saaya hai

hum ko in sasti khushiyon ka lobh na do
hum ne soch-samajh kar gham apnaya hai

paidaish ke din se maut ki zadd mein hain
iss maqtal mein kaun hamein le aaya hai

utne din ehsaan kiya deewanon par
jitne din logon ne saath nibhaya hai

yeh zameen...sahir ludhianvi

yeh zameen jis qadar sajai gayee
zindagi ki tadap badhai gayee

aaine se bigad ke baith gaye
jin ki surat jinhein dikhai gayee

dushmanon se hi bair nibh jaye
doston se tau aashnai gayee

zindagi ka naseeb kya kahiye
ek seeta thi jo satai gayee

hum na avtar thay na paighambar
kyun yeh azmat hamein dilai gayee

maut paai saleeb par hum ne
umr ban-baas mein bitai gayee

main zinda hun....sahir ludhianvi

main zinda hun yeh mushtahar kijiye
mere qaatilon ko khabar kijiye

zameen sakht hai aasman door hai
basar ho sake tau basar kijiye

sitam ke bohot se hain radd-e-amal
zaroori nahin chashm tar kijiye


JUNG HI SAHI....SAHIR LUDHIANVI

HUM AMAN CHAHTE HAIN MAGAR ZULM KE KHILAF
GAR JUNG LAAZMI HAI TAU PHIR JUNG HI SAHI

ZAALIM KO JO NA ROKE WOH SHAAMIL HAI ZULM MEIN
QAATI KO JO NA TOKE WOH QAATIL KE SAATH HAI
HUM SAR-BA-KAF UTHE HAIN HAQ FATEH YAAB HO
KEH DO USSE JO LASHKAR-E-BAATIL KE SAATH HAI
ISS DHANG PE ZOR HAI TAU YEH DHANG HI SAHI


Monday, January 14, 2013

urdu poetry....raghupati sahai firaq gorakhpuri

skoot-e-shaam mitao bohot andhera hai
sukhan ki shama jalao bohot andhera hai

dayaar-e-gham mein dil-e-beqaraar choot gaya
sanbhal ke dhoondhne jaao bohot andhera hai

yeh raat woh ke soojhe jahan na haath ko haath
khyalo door na jao bohot andhera hai

difficult questions...5

while arguing with a close friend on the telephone, he gets angry and hangs up. assuming he is at fault and makes no attempt to contact you, how long would you wait to get in touch with him?

difficult questions......4

how many of your friendships have lasted more than ten years? which of your current friends do you feel will still be important to you ten years from now?

difficult questions...3

while parking late at night, you slightly scrape the side of a Porsche. you are certain no one else is aware of what happened. the damage is minor and would not be covered by insurance. would you leave a note?

difficult questions....2

while in government, you discover the prime minister is committing serious crimes. by exposing the situation you might bring about prime minister's downfall, but your career would be destroyed because you would be framed, fired, and publicly humiliated on other matters. knowing you would be vindicated five years later, would you blow the whistle?

difficult questions 1

for a person you loved deeply, would you be willing to move a distant country knowing there would be little chance of seeing your friends and family again?

duniya ne....anand narayen mulla

duniya ne kise kab yaad rakha, nazron se hata tau dil se mita
mulla tau kisi ginti mein na tha majnu ko biyaaban bhool gaye

woh kaun hain....anand narayen mulla

woh kaun hain jinhein tauba ki mil gayee fursat
hamen gunaah bhi karne ko zindagi kam hai

Sunday, January 13, 2013

urdu poetry.....muzaffar vaarsi

aag se dosti uss ki thi jala ghar mera
di gayee kis ko saza aur khata kis ki thi

main ne beenaiyan bo kar bhi andhere kaate
kis ke bas ki thi zameen aab-o-hawa kis ki thi

chorr di kis kis ke liye tu ne muzaffar duniya
justuju si tujhe har waqt bata kis ki thi

urdu poetry.ahmed nadeem qasmi

apni aankhon mein basa li teri hairat main ne
ke palak tak bhi na jhapki dum-e-rukhsat main ne

sach kahun--apni mohabbat pe nadamat si huyee
jab bhi dekhi teri utri huyee surat main ne

mera dushman bhi mere pyar ka haqdaar bana
tujh se ki hai zamaane se mohabbat main ne

urdu poetry.......saif

isi raste mein aakhir woh kadi manzil bhi aaye gi
jahan dum tod de gi yaad-e-yaaran hum na kehte thay


Friday, January 11, 2013

ADVERTISING GUYS ARE ROGUES

HAD AN ALIEN VISITED ADWORLD ANY MOMENT OF TIME, HE MIGHT EASILY HAVE CONCLUDED THAT AGENCY FOLK ARE ROGUES AND TWISTERS, AND THAT CLIENTS AND AGENCIES GET TOGETHER AT LEAST ONCE A DAY TO BICKER ABOUT MONEY. NEITHER COULD BE FURTHER FROM TRUTH.

CONFERENCE SPEECHES, ARTICLES, SNIDE REMARKS AND EVEN LETTERS IN THE TRADE PRESS HAVE REPEATEDLY HIGHLIGHTED RECESSION- INDUCED QUESTIONS ABOUT AGENCY COMMISSIONS, FEES AND MARK UPS. NOTHING WRONG IN THAT. TIMES ARE TOUGH, AND WE MUST CONTROL COSTS IN EVERY WAY WE CAN.HOWEVER, THE IMPLICATIONS OF ROGUERY SIMPLY  DO NOT GET WITH MY OWN EXPERIENCE OF THE BUSINESS.

IN THE 30 ODD YEARS DURING WHICH I WANDERED THE ADVERTISING VILLAGE, I HAVE COME ACROSS ONLY A FEW OUT-AND OUT SCOUNDRELS.

THE FIRST WAS A PRINTER I BECAME FRIENDLY WITH WHEN I WAS BUT A NAIVE LAD, WHO BOUGHT ME A POSH LUNCH AND DURING MY SECOND LARGE GIN AND TONIC-- THOSE WERE THE DAYS--SLID A BUNDLE OF HUNDRED RUPEES NOTES ACROSS THE TABLE SUGGESTING THAT HE WOULD LIKE TO QUOTE ALL FUTURE PRINT JOBS. I SLID NOTES BACK. HE PICKED IT UP AND STUFFED IN MY TOP POCKET. I PUT IT BACK ON THE TABLE AND SAID IF HE LEFT IT THERE, IT WOULD BE AN EXCEPTIONALLY GENEROUS TIP. HE POCKETED IT. I LEARNED THAT THERE WAS NO SUCH THING AS A FREE LUNCH.

THE SECOND SCOUNDREL WAS A MARKETING DIRECTOR WHO, IMMEDIATELY AFTER A MEETING, SAID THAT OUR AGENCY WAS APPOINTED SUBJECT TO AGREEING FINANCIAL ARRANGEMENTS. SUCH IMMEDIACY IS EXTREMELY UNUSUAL. TAKING ME OUTSIDE FOR A PRIVATE CHAT, HE SAID THAT HE AGENCY WOULD NOT NEED TO DO ANY PLANNING OR RESEARCH ON HIS ACCOUNT AS HE DID THAT HIMSELF- IN RETURN FOR A KICKBACK EQUAL TO FOUR PER CENT OF BILLINGS, TO BE PAID TO HIS PERSONAL CONSULTANCY COMPANY. I QUICKLY CHATTED WITH MR KURIAN AND IT WAS THE ONLY TIME WE HAVE WON AN ACCOUNT AND LOST IT WITHIN THIRTY MINUTES. WORTHY OF AN ENTRY IN THE GUINNESS BOOK OF RECORDS???

Wednesday, January 9, 2013

kab se veeran hai....

kab se veeran hai zindagi ki mehfil
aye gham-e-yaar ek baar tau mil


Tuesday, January 8, 2013

urdu poetry.......shakeeb jalaali

zanjeer ki jhankar ko sangeet mein dhaala
zindaan mein bhi jeene ka ajab dhang nikala

ik aap ke zulfon mein piroye hain sitaare
ik hum ke mayassar nahin ashkon ki bhi maala

insaan ki azmat ki gawahi ke liye ho
kaaba ho ke buttkhaana, kaleesa ke shivaala

urdu poetry.........................

sabar-o-zabt ke liye beshumaar nazraane
teri yaad aayee thi aaj mujh ko samjhane

tum ne baat keh daali koi bhi na pehchaana
hum ne baat sochi thi ban gaye hain afsaane

hai kya museebat hai hai kya qyamat hai
hum hi kha gaye dhoka hum chale thay samjhane

urdu poetry.........nasir kaazmi

pukarti hain fursaten kahan gayeen woh sohbaten
zameen nigal gayee unhein ya aasman kha gaya

yeh subah ki safediyan yeh dopahar ki zardiyan
ab aaine mein dekhta hun main kahan chala gaya

yeh kis khushi ki ret par ghamon ko neend aa gayee
woh lehar kis taraf gayee yeh main kahan samaa gaya

gaye dinon ki laash par pade raho ge kab talak
alam kasho, utho, ke aaftab sar pe aa gaya

Monday, January 7, 2013

URDU POETRY.................

CHAT-TE NAHIN HAIN DARD KE BAADAL KISI TARAH
AYE PARBATON KI TEZ HAWA CHAL KISI TARAH


URDU POETRY.........ZOHRA BANO NIGAAH

KHUSH JO AAYE THAY PARESHAN GAYE
AYE TAGHAFUL TUJHE PEHCHAAN GAYE

KHOOB HAI SAHEB-E-MEHFIL KI ADA
KOI BOLA TAU BURA MAAN GAYE

KOI DHADKAN HAI NA AANSOO NA UMANG
WAQT KE SAAT YEH TOOFAN GAYE

DOHE SANT KABEER KE........9

BADA HUA TAU KYA, JAISE PED KHAJOOR
PANTHI KO CHHAYA NAHIN, PHAL LAGE ATI DOOR

DOHE SANT KABEER KE......8

MAATI KAHE KUMHAAR SE, TU KYA RAUNDE MOYE
EK DIN AISA AAYE GA, MAIN RAUNDOON GI TOYE

DOHE SANT KABEER KE...8

KABIRA PYALAA PREM KA, ANTAR LIYA LAGAAYE
ROM ROM MEIN RAMI RAHE, AUR AMAL KYA KHAAYE

DOHE SANT KABEER KE......7

BURA JO DEKHAN MAIN CHALI, BURA NA MILYA KOYE
JO MANN KHOJA AAPNA, MUJH SE BURA NA KOYE

DOHE SANT KABEER KE....6

AISI BAANI BOLIYE, MANN KA AAPA KHOYE
AURAN KO SEETAL KARE, AAPHU SEETAL HOYE

DOHE SANT KABEER KE.......5

BADA NA HOVE GUNAN BIN, BIRAD BADAI PAAYE
KAHAT DHATOORE SE KANAK, GENHU  GARIYO NA JAAYE

NO ONE'S GREAT WITHOU QUALITIES
HOW MUCH EVER THEY MAY BE PRAISED
THORNAPPLE IS CALLED GOLD
WHEAT IT STILL CAN'T REPLACE

DOHE SANT KABEER KE.....4

SAADHU AISA CHAHIYE, JAISA SOOP SUBHAYE
SAAR SAAR KO GAHI RAHE, THOTA DE UDAAYE

( A GENTLEMAN IS LIKE
  A THRESHER IN CHARECTER
  AS IT ABSORBS THE CORE
  FLUFF IT LETS SKITTER )

SANT KABEER KE DOHE.....3

TINKA KABAHU NA NINDIYE, JO PAANV TALE HOYE
KABAHU UDI AANKH PADE, PEER GHANERI HOYE

( DON'T INSULT EVEN A SPECK
   THOUGH IT'S UNDER YOUR FOOT
    THINK HOW PAINFUL IT'D BE IF
     IT FLEW INTO YOUR EYE LIKE SOOT )

DOHE SANT KABEER KE...2

JO TO KO KAANTE BUVE, TAAHE BOV TU PHOOL
TOHE PHOOL KO PHOOL HAI, TAAHE HAI TRISOOL

( FOR THOSE WHO SOW THORNS FOR YOU
  YOU SHOULD SOW A FLOWER
   FOR YOU FLOWER'S A FLOW BUT
   FOR THEM IT'S SPEAR DOUR )

DOHE SANT KABEER KE

GURU GOBIND DOU KHADE, KAAKE LAAGUN PAAYE
BALIHARI GURU AAPNE GOBIND DIYO BATAAYE

( GURU AND GOD BOTH ARE HERE
  TO WHOM SHOULD I FIRST BOW
  ALL GLORY BE UNTO THE GURU
  PATH TO GOD WHO DID SHOW )

urdu poetry.....muneer niyazi

sun bastiyon ka haal jo hadd se guzar gayeen
un ummaton ka zikr jo raston mein marr gayeen

kar yaad unn dinon ko ke abaad thin yahan
galiyan jo khaak-o-khoon ki dahshat se bhar gayeen


urdu poetry......muzaffar vaarsi....2

jamaal-e-nav ki mehak har badan se aati hai
barhanagi ko hayaa, pairhan se aati hai

hai sar gunaah ka, dosheezgi ke zaanu par
kiran dhuyen ki tarah anjuman se aati hai

gale ke haar bhi lagte hain phool qabron ke
rujh-e-hayaat pe raunaq kafan se aati hai


urdu poetry.......muzaffar vaarsi

nuqte ko nuqte se jodun banti jaye ek  lakeer
aankhon aankhon dhoondh raha hun apne khwabon ki taabeer

raushniyon ke takrane se bhi deewaren bol uthin
saayon ki halchal se bhi toote tanhai ki zanjeer

sochon ki ungliyon pe uljhe uljhe dhaagon jaise lafz
lafzon ke pas manzar mein be-rangar, be-chehra tasveer

hum se pooche koi iss  la-parwahi ka mafhoom
ek pyasa hi padh sakta hai behte paani ki tehreer




urdu poetry...dr.andaleeb shadaani

woh alam kashon ka milna, woh nishaat-o-gham ke saaye
kabhi ro pada tabassum, kabhi ashk muskuraye

yeh ufaq se chaand ubhra yeh shafaq ka noor phaila
ke teri ziya-e-rukh dar-o-baam jagmagaye

ba hazaar naamuradi jise umr bhar saraha
usse be-vafa kahun ab yeh jigar kahan se aaye

yeh bahar kya kare gi mere dard ka madawa
na woh bijliyan nazar ki, na woh gesuon ke saye

mera soz-e-vaalehaana, meri shama zindagani
kahin namuradiyon mein yeh chiragh bujh na jaye

urdu poetry..adam.....7

brai naam kuch dene pe woh mayel tau hain lekin
samjhna chahta hun yeh brai naam kya ho ga

teri pehli nazar ne kar diya hai mujh ko deewana
mera aghaaz yeh hai tau anjaam kya ho ga



urdu poetry,,,,,,,adam.......6

husn mere jawan khyalon ka
naak naqsha hai kin ghazalon ka

dekh kar meri pyas ka aalam
rang udne laga hai pyalon ka

deen ho aye adam ke duniya ho
silsila hai haseen jaalon ka

urdu poetry.....adam....5

saaghar se lab laga ke bohot khush hai zindagi
sehan-e-chaman mein aa ke bohot khush hai zindagi

hota koi mahal bhi tau kya poochte ho phir
be-wajah muskura ke bohot khush hai zindagi

saahil pe thi tau itni shagufta ravish na thi
toofan ke beech aa ke bohot khush hai zindagi

Sunday, January 6, 2013

urdu poetry.....adam......4

kahin gul ki, kahin labrez paimaanon ki baaten hain
jahan bhi hain bade shadaab unvaanon ki baaten hain

jahan insaan baste hain wahan larzishen bhi hoti hain
farishton ki nahin saheb yeh insaanon ki baaten hain


urdu poetry...adam...3

mai na dijiye, sha'oor de dijiye
koi shai tau huzoor de dijiye

mere dil mein pade andhere hain
apni aankhon ka noor de dijye


urdu poetry...adam..2

apni zulfein sitaron ke havale kar do
shahar-e-gul baada gusaaron ke havale kar do

talkhi-e-hosh ho ya masti-e-idraak-e junoon
aaj har cheez baharon ke havale kar do

mujh ko yaaro na karo rahnumaon ke supurd
mujh ko tum raah guzaaron ke havale kar do

jaagne waalon ka kara do toofanon se rishta
sone waalon ko kinaaron ke havale kar do


urdu poetry.....adam

baal kis ne hawa mein bikhere
ho gayee raat itni savere

uff woh aankhe gulabi gulabi
uff woh gesu ghanere ghanere

ujli ujli lagan do dilon ki
jaise do khoobsurat savere

saara gulshan hai maali ki daulat
phool iss ke na tere na mere

raat kaati adam raaston par
ho gaye manzilon pe savere

urdu poetry.....josh malihabadi....4

soz-e-gham de ke mujhe uss ne yeh irshaad kiya
jaa tujhe kashmakash-e-dahar se aazad kiya

woh karen bhi tau kin alfaaz mein tera shikwa
jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya

urdu poetry.......josh malihabadi....3

aastan par jab kisi kaafir ke jhuk jaata hai dil
apne sajde ka, haram ko hukm farmaata hai dil

aane waala hai yakayak kya masarrat ka pyam
baithe-baithe aaj kyun mera bhara aata hai dil

sach bata, aye humnasheen! kya ishq isi ka naam hai
saans ke humrah seene se udaa jaata hai dil

aah, yeh duniya-kahan hai maut o kambakht maut
mera iss veeran aabadi mein ghabrata hai dil

urdu poetry.......josh malihabadi.3

jahannum sard hai jannat ke dar khulwaye jaate hain
sar-e-mahshar pujari husn ke bulwaye jaate hain

ghazab hai yeh ada unn ki dam-e-arayesh-e-gusu
jhuki jaati hain aankhen, khud-ba-khud sharmaye jaate hain

koi hudd hi nahin iss ahtram-e-aadmiyat ki
badi karta hai dushman aur hum sharmaye jaate hain

bohot jee khush hua aye humnasheen kal josh se mil kar
abhi agli sharafat ke namoone paaye jaate hain

rdu poetry........josh malihabadi..2

dil pe woh zakhm khaye hain ke na pooch
lutf bhi woh uthaye hain ke na pooch

unn ki raftar ne zamaane mein
aise fitne jagaye hain ke na pooch


urdu poetry.......josh malihabadi

dil ki choton ne kabhi chainn se rehne na diya
jab chali sard hawa, main ne tujhe yaad kiya

itna maanoos hun fitrat se, kali jab chatki
jhuk ke main ne yeh kaha, mujh se kuch irshaad kiya

meri har saans hai iss baat ki shahid aye maut
main ne har khauf ke mauqe pe tujhe yaad kiya

mujh ko tau hosh nahin, tum ko khabar ho shayed
log kehte hain ke tum ne mujhe barbaad kiya

Wednesday, January 2, 2013

KUCH DIN TAU BASO........

KUCH DIN TAU BASO MERI AANKHON MEIN
PHIR KHWAB AGAR HO JAAO TAU KYA

KOI RANG TAU DO MERE CHEHRE KO
PHIR ZAKHM AGAR MEHKAO TAU KYA

EK AAINA THA SO TOOT GAYA
AB KHUD SE AGAR SHARMAO TAU KYA

MAIN TANHA THA MAIN TANHA HUN
TUM AAO TAU KYA NA AAO TAU KYA

JAB DEKHNE WAALA KOI NAHIN
BUJH JAAO TAU KYA JAL JAAO TAU KYA

Tuesday, January 1, 2013

khizaan se seena bhara ho...saabir vaseem

khizaan se seena bhara ho lekin tum apna chehra gulab rakhna
tamaam taabeer uss ko dena aur apne hisse mein khwab rakhna

har ek zameen se har aasman se har ek zamaan se guzarte rehna
kahin pe taare bikher dena kahin koi maahtaab rakhna


yeh zindagi tau safar hai saabir safar mein jab bhi kisi se milna
tamaam sadme bhulate rehna mohaal ho ga hisaab rakhna

hum bin yaar ....abid

hum bin yaar bhi jiye hain
marne ke bade jatan kiye hain

khoon-e-vafa se kuch hina se
kya rang bahar ne liye hain

gulshan mein ajab hawa chali
phoolon ne hont see liye hain