Wednesday, October 31, 2012

KUTBA ( EPITAPH ) SAA'DAT HASAN MANTO

HE WROTE THIS  HIMSELF ON 18 AUGUST 1954

"
YAHAN SAA'DAT HASAN MANTO DAFAN HAI.
USKE SEENE MEIN FAN-E-AFSANA NIGARI KE
SAARE ISRAAR-O-RAMOOZ DAFAN HAIN----
WOH AB BHI MANON MITTI KE NEECHE
SOCH RAHA HAI KE WOH BADA
AFSANA NIGAAR HAI YA KHUDA "

GHAATE KA SAUDA ( MINI KAHANI ) SAA'DAT HASAN MANTO

DO DOSTON NE MIL KAR BEES LADKIYON MEIN SE EK LADKI CHUNI AUR BYALEES RUPYE DE KAR  ------USSE KHAREED LIYA. RAAT GUZAAR KAR EK DOST NE LADKI SE POOCHA " TUMHARA NAAM KYA HAI ".

LADKI NE APNA NAAM BATAYA TAU WOH BHINNA GAYA " HUM SE TAU KAHA GAYA THA KE TUM DOOSRE MAZHAB KI HO "

LADKI NE JAWAB DIYA " USS NE JHOOT BOLA THA "

YEH SUN KAR WOH DAUDA-DAUDA APNE DOST KE PAAS GAYA AUR KEHNE LAGA
" USS HARAMZAADE NE HAMARE SAATH DHOKA KIYA HAI. HAMARE HI MAZHAB KI KADKI THAMA DI---CHALO, WAAPAS KAR AAYEN ".


Tuesday, October 30, 2012

kasr-e-nafi ( mini kahani ) saa'dat hasan manto

chalti gaadi rok li gayee. jo doosre mazhab ke the unn ko nikaal-nikaal kar talwaron aur goliyon se halaak kar diya gaya. uss se faarigh ho kar gaadi ke baaqi musaafiron ki halwe, doodh aur phalon se twaazo ki gayee.gaadi chalne se pehle twaazo karne waalon ke muntazim ne musaafiron ko mukhatib kar ke kaha " bhaiyo aur behno, hamein gaadi ki aamad ki ittelaa bohot der mein mili. yahi wajah hai ke hum hum jis tarah chaaahte the uss tarah aap ki khidmat na kar sake ".

karamaat ( mini kahani ) saa'dat hasan manto

loota hua maal braamad karne ke liye police ne chhaape maarne shuru kar diye the.

log darr ke maare loota hua maal raat ke andhere mein baahar phenkne lage. kuch aise bhi the jinhon ne apna maal mauqa paa kar apne se alehda kar diya taake qanooni grift se bache rahen.

ek aadmi ko bohot diqqat pesh aayee. uss ke paas shakkar ki do boriyan thin jo uss ne pansaari ki dukaan se looti thin. ek tau woh jun-tun raat ke andhere mein paas waale kunye mein phenk aaya. lekin jab doosri utha kar uss mein daalne laga tau khud bhi saath chala gaya.

shor sun kar log ikattha ho gaye, kunye mein rassiyan daali gayeen. do jawan neeche utre aur uss aadmi ko bahar nikaal liya---lekin chand ghanton baad woh marr gaya.

doosre din jab logon ne istemaal ke liye uss kunye se paani nikaala tau woh meetha tha.

usi raat uss aadmi ki qabar par diye jal rahe the.

ROTIYAAN,,,NAZEER AKABARABAADI

JAB AADMI KE PET MEIN AATI HAIN ROTIYAAN
PHOOLI NAHIN BADAN MEIN SAMAATI HAIN ROTIYAAN
AANKHEN PARI RUKHON SE LADATI HAIN ROTIYAAN
SEENE UPAR BHI HAATH CHALATI HAIN ROTIYAAN
JITNE MAZE HAIN SAB DIKHATI HAIN ROTIYAAN

ROTI SE JIS KA NAAK TALAK PET HAI BHARA
KARTA PHIRE HAI KYA WOH UCHAL KOOD JA BA JA
DEEWAR PHAAND KAR, KOI KOTHA UCHAL GAYA
THTHA,HANSI, SHARAB,SANAM,SAAQI, ISS SIWA
SAU SAU TARAH KI DHOOM MACHATI HAIN ROTIYAAN

JIS JAA PE HAANDI, CHOOLAH, TAWA AUR TANOOR HAI
KHAALIQ KI QUDRATON KA USI JAA ZAHOOR HAI
CHOOLEHE KE AAGE AANCH JO JALTI HUZOOR HAI
JITNE HAIN NOOR, SAB MEIN YAHI KHAAS NOOR HAI
ISS NOOR KE SABAB NAZAR AATI HAIN ROTIYAAN


RAMAYEN KA EK SCENE...CHAKBAST

RUKHSAT HUA WOH BAAP SE LE KAR KHUDA KA NAAM
RAAH-E-VAFAA KI MANZIL-E-AVVAL HUYEE TAMAAM

MANZOOR THA JO MAAN KI ZIYARAT KA INTEZAAM
DAAMAN SE ASHK PONCH KE DIL SE KIYA KALAAM

IZHAAR-E-BEKASI SE SITAM HO GA AUR BHI
DEKHA MAMEIN UDAAS TAU GHAM HO GA AUR BHI

DIL KO SAMBHALTA HUA AAKHIR WOH NAUNIHAAL
KHAMOSH MAAN KE PAAS GAYA SOORAT-E-KHYAAL

DEKHA TAU EK DURR MEIN BAITHI HAI WOH KHASTA HAAL
SAKTA SA HO GAYA HAI YEH HAI SHIDDAT-E-MALAAL

TAN MEIN LAHU KA NAAM NAHIN ZARD RANG HAI
GOYA BASHAR NAHIN KOI TASVEER-E-SANG HAI

KYA JAANE KIS KHYAAL MEIN GUM THI WOH BE-GUNAAH
NOOR-E-NAZAR PE DEEDA-E-HASRAT SE KI NIGAAH

JUMBISH HUYEE LABON KO BHARI EK SARD AAH
LI GOSHA HAAE CHASHM SE ASHKON NE RUKH KI RAAH

CHEHRE KA RANG HAALAT-E-DIL KHOLNE LAGA
HAR MOO-E-TAN ZABAN KI TARAH BOLNE LAGA

RO KAR KAHA KHAMOSH KHADE KYUN HO MERI JAAN
MAIN JAANTI HUN JIS LIYE AAYE HO TUM YAHAN

SAB KI KHUSHI YAHI HAI TAU SEHRA KO HO RAWAAN
LEKIN MAIN APNE MUNH SE NA  HAR GIZ KAHUN GI HAAN

KIS TARAH BAN MEIN AANKHON KE TAARE KO BHEJ DUN
JOGI BANA KE RAAJ DULAARE KO BHEJ DUN

LETI KISI FAQEER KE GHAR MEIN AGAR JANAM
HOTE NA MERI JAAN KO SAMAAN YEH BAHAM

DASTA NA SAANP BAN KE MUJHE SHAUKAT-O-HASHAM
TUM MERE LAAL THE MUJHE KIS SALTANAT SE KAM

MAIN KHUSH HUN PHOONK DE KOI ISS TAKHT-O-TAAJ KO
TUM HI NAHIN TAU AAG LAGAOON GI RAAJ KO

SARZAD HUYE THE MUJH SE KHUDA JAANE KYA GUNAAH
MANJHDHAR JO YUN MERIN KISHTI HUYEE TABAAH

AATI NAHIN KOI AMAN-O-AMAAN KI RAAH
AB YAAN SE KOOCH HO TAU ADAM MEIN MILE PNAAH

TAQSEER MERI KHAALIQ-E-AALAM BAHAL KARE
AASAN MUJH GHAREEB KI MUSHKIL AJAL KARE

SUN KAR ZABAAN SE MAAN KI YEH FARYAAD-E-DARDKHAIZ
USS KHASTA JAAN KE DIL PE CHALI GHAM KI TEGH-E-TEZ

AALAM YEH THA KE AANKHEN HON ASHK REZ
LEKIN HAZAAR ZABT SE RONE SE KI GUREZ

SOCHA YAHI KE JAAN SE BE-KAS GUZAR NA JAAYE
NASHAAD HUM KO DEKH KE MAA AUR MARR NA JAYE

PHIR ARZ KI YEH MAADAR-E-NASHAAD KE HUZOOR
MAAYUS KYUN HAIN AAP ALAM KA HAI KYUN WAFOOR

SADMA YEH SHAAQ AALAM-E-PEERI MEIN HAI ZAROOR
LEKIN NA DIL SE KIJIYE SABR-O-QARAAR DOOR

SHAYED KHIZAAN SE SHAKL AYAAN HO BAHAR KI
KUCH MASLAHAT ISI MEIN HO PARWARDIGAAR KI

PADTA HAI JIS GHAREEB PE RANJ-O-MAHAN KA BAAR
KARTA HAI USS KO SABR ATAA AAP KIRDGAAR

MAAYUS HO KE HOTE HAIN INSAAN GUNAAHGAAR
YEH JAANTE NAHIN WOH HAI DAANA-E-ROZGAAR

INSAAN USS KI RAAH MEIN SAABIT QADAM RAHE
GARDAN WAHI HAI AMR-E-RAZA MEIN JO KHAM RAHE

AKSAR RAYAAZ KARTE HAIN PHOOLON PE BAAGHBAN
HAI DIN KI DHOOP RAAT KI SHABNAM UNHEIN GARAAN

LEKIN JO BAAGH BADALTA HAI NAAGAHAAN
WOH GUL HAZAAR PARDON MEIN JAYE HAIN RAEGAAN

RAKHTE HAIN JO AZEEZ UNHEIN APNI JAAN KI TARAH
MALTE HAIN DAST-E-YAAS WOH BARG-E-KHIZAAN KI TARAH


LEKIN JO PHOOL KHILTE HAIN SEHRA MEIN BE-SHUMAAR
MAUQOOF KUCH RAYAAZ PE UNN KI NAHIN BAHAAR

DEKHO YEH QUDRAT-E-CHAMAN AARAA-E-ROZGAAR
WOH ABR-O-BAAD-O-BARF MEIN REHTE HAIN BARQARAAR

HOTA HAI UNN PE FAZAL JO RABB-E-KAREEM KA
MAUJ-E-SAMOOM BANTI HAI JHONKA NASEEM KA

APNI NIGAAH HAI KARAM-E-KAAR SAAZ PAR
SEHRA CHAMAN BANE GA WOH HAI MEHARBAAN AGAR

JUNGLE HO YA PHAAD, SAFAR HO KE HO HAZAR
REHTA NAHIN WOH HAAL SE BANDE KE BE-KHABAR

USS KA KARAM SHAREEK AGAR HAI TAU GHAM NAHIN
DAAMAAN-E-DASHT DAAMAN-E-MAADAR SE KAM NAHIN


Monday, October 29, 2012

MUSHKIL

JAB JAB
KOI MUSHKIL
AATI HAI
APNE SAATH
SEEKH KE
TOHFE BHI
LAATI HAI
MAIN
MUSHKILON KO
DAAVAT DETA REHTA HUN
AUR
UNN SE MILE SABAQ
KHUSHI KHUSHI
LETA HUN

CHOTI CHOTI KAHANIYAN..." EK BAAR "

EK BAAR HAMARE EK DOST NE HUM SE KAHA " AAP MUSKURAYA MAT KIJIYE, AAP JAB NAHIN MUSKURATE HAIN TAB KAHIN ZYADA BEHTAR LAGTE HAIN".

HUM NE KAHA " KYA AAP NAHIN JAANTE KE INSAAN HI EK AISA JAANWAR HAI JO MUSKURATA AUR HANSTA HAI"'

UNHON NE NE KAHA " MAIN BAS ITNA JAANTA HUN KE INSAAN, JAANWAR HAI".

MOHABBAT

BHARAT MEIN MOHABBAT KARTE WAQT SAB SE PEHLE DHARM AUR MAZHAB AADE AATE HAIN. AGAR LADKA-LADKI DONO KA DHARM YA MAZHAB EK HO TAB TAU YEH PHIR BHI MUMKIN HAI. LEKIN AGAR DONO KE DHARM ALAG-ALAG HUYE TAU MOHABBAT KARNE KI HAR GIZ IJAZAT NAHIN HAI.

AAP LAAKH SAR PATKHEIN, SEENA KOOTIYE, KHUDKUSHI KAR LIJIYE LEKIN AAP KO KISI AUR DHARM YA MAZHAB KE SHAKHS SE PYAR KARNE KI HAR GIZ AGYA NAHIN HAI.

MAZHAB KE BAAD AATI HAI ZAAT-PAAT. AUR US KE BAAD AATE HAIN MAALI HALAAT.YAANI SAWAL AAYE GA OONCHE AUR NEECHE GHARANE KA.

AAKHIR MEIN SAB SE BADI BAAT AAYE GI AUR WOH HO GI PAPA, PITAJI, ABBA JAAN KI MARZI.HINDUSTAN MEIN PITA JI KI MARZI KE BAGHAIR KUCH NAHIN HO SAKTA HAI. AGAR ITNI MUSHKILON KE BAWAJOOD AAP MEIN MOHABBAT KARNE KI HIMMAT HAI TAU SHAUQ SE KIJIYE.

Sunday, October 28, 2012

SAB KUCH KHAAK HUA HAI...BASHEER BADR

SAB KUCH KHAAK HUA HAI LEKIN CHEHRA KYA NOORANI HAI
PATTHAR NEECHE BAITH GAYA HAI, UPAR BEHTA PAANI HAI

BACHPAN SE MERI AADAT HAI PHOOL CHUPA KAR RAKHTA HUN
HAATHON MEIN JALTA SURAJ HAI, DIL MEIN RAAT KI RANI HAI

DAFAN HUYE RAATON KE QISSE IK CHAAHAT KI KHAMOSHI HAI
SANNATON KI CHAADAR ODHE YEH DEEWAR PURANI HAI


Friday, October 26, 2012

bachce tau bacche hote hain

kal
ek maternity ward
jaana
pada mujhe
poora ward
zachcha-bachcha
se bhara tha
koi muslim maan thi
god mein bachce ko sambhale
koi hindu maan thi
bachche ko seene se lagaye
koi isaai maan thi
bachche ko doodh pilaati
main
soch raha tha
agar bachche
aapas mein badal bhi jaayen
tau kya samajh paayen ge
ke kaun hain woh
kyunki
unki tehzeeb
sabhyata
aur
moral ki slate
poori tarah saaf thi
lekin
jaise-jaise
woh badhte jaayen ge
un ki slate
par
maan-baapo
apni-apni
tehzeeb aur sanskar
ke jumle likhte jaayen ge
tab tak
jab tak
woh poori tarah bhrasht
na
ho jaayen

Thursday, October 25, 2012

ADVERTISING...WHAT TO SAY

THE MOST IMPORTANT JOB OF A COPYWRITER IS TO COLLECT PRODUCT INFORMATION. BUT HOW IS THE PRODUCT INFORMATION TO BE COLLECTED ? WHERE DOES ONE START ? WELL, ONE EFFECTIVE METHOD IS TO ASK THE CLIENT THESE SIX QUESTIONS ABOUT THE PRODUCT OR SERVICE: WHAT ? WHO ? WHY ? WHERE ? WHEN ? HOW ?

IT SOUNDS SIMPLE, BUT THESE ARE JUST THE STARTING POINTS. EACH POINT MUST BE PROBED IN GREAT DETAIL.

WHAT ARE WE SELLING ?

WHAT IS THE PRODUCT ? HOW IS IT MADE ? WHAT ARE THE INGREDIENTS ? WHAT IS THE MANUFACTURING PROCESS ?

HOW IS THE PRODUCT DIFFERENT FROM THE COMPETITOR'S ?
WHAT ARE THE SIZES, SHAPES, COLOURS, AND QUANTITIES IN WHICH IT IS AVAILABLE?

HOW IS IT PRICED ?

WHY ARE WE SELLING IT ?

CUSTOMERS BUY PRODUCTS TO FILL NEEDS. YOUR CLIENT MAY BE SELLING SOAP, BUT THE CUSTOMER IS NOT BUYING BECAUSE SHE WANTS SOAP.  SHE BUYS BECAUSE SHE WANTS TO CLEAN HER BODY.

IF THE CUSTOMER EVER FINDS A BETTER, CHEAPER, MORE CONVINIENT WAY TO CLEAN HERSELF, SOAP WILL BE ON THE WAY OUT.

THEREFORE, AS THE NEXT STEP, IT IS VERY IMPORTANT TO FIND OUT WHY A CUSTOMER BUYS A CERTAIN PRODUCT. WHAT SPECIFIC NEED IS SHE TRYING TO FILL ? WHAT PROBLEM IS SHE TRYING TO SOLVE ?

IT IS NOT ALWAYS EASY TO COME TO A CONCLUSION WITHOUT THE HELP OF RESEARCH.
EXAMPLE: MANY DECADES AGO, TWO YOUNG MEN WHO HAD JUST STARTED THEIR OWN ADVERTISING AGENCY WENT TO THE COLGATE TOOTHPASTE COMPANY TO SOLICIT THEIR ADVERTISING BUSINESS.

ONE OF THE YOUNG MAN ASKED THE CLIENT WHY PEOPLE BOUGHT TOOTHPASTE.  ' TO CLEAN THEIR TEETH OBVIOUSLY, " SAID THE CLIENT.

BUT THE PRAGMATIC YOUNG MAN WAS NOT  SURE ABOUT THIS. HE REASONED THAT IF PEOPLE WERE REALLY INTERESTED IN PRESERVING THEIR TEETH, THEY WOULD BRUSH THEM AT NIGHT BEFORE GOING TO BED, BECAUSE IT IS MAINLY DURING THE NIGHT THAT BACTERIA CAUSE TOOTH DECAY.

MOST PEOPLE BRUSH THEIR TEETH IN THE MORNING WHEN THEY WAKE UP.
SO THE YOUNG MAN HAD THE SUBJECT RESEARCHED. AND LEARNT AN AMAZING FACT. PEOPLE BRUSH THEIR TEETH IN THE MORNING TO " WAKE THEMSELVES UP ", TO REMOVE THE FLAT TASTE IN THEIR MOUTHS.

FROM THIS RESEARCH CAME THE FAMOUS CAMPAIGN WHICH SAID " CLEANS YOUR BREATH WHILE IT CLEANS YOUR TEETH. "
SOON, COLGATE WAS THE LARGEST SELLING TOOTHPASTE IN THE WORLD.

TO BE CONTINUED.....


 

Tuesday, October 23, 2012

CHAKLE...SAHIR LUDHIANVI

YEH KOOCHE YEH NEELAM GHAR DILKASHI KE
YEH LUT-TE HUYE KAARWAN ZINDAGI KE
KAHAN HAIN KAHAN HAIN MUHAFIZ KHUDI KE
SANA KHWAN-E-TAQDEES-EMASHRIQ KAHAN HAIN(IN FILM SONG THIS LINE HAS BEEN SIMPLIFIED AS " JINEIN NAAZ HAI HIND PAR, KAHAN HAIN ) WE ARE SO POLITICALLY INVOLVED THAT WE DO NOT BOTHER ABOUT SOCIETAL PROBLEMS AT ALL. PITY.

YEH PUR PECH GALIYAN YEH BE-KHWAB BAZAAR
YEH GUMNAAM RAAHI YEH SIKKON KI JHANKAR
YEH ISMAT KE SAUDE YEH SAUDON PE TAKRAAR
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KAHAN HAIN

TA-AFFUN SE PUR,NEEM ROSHAN GALIYAN
YEH MASLI HUYEE ADH-KHILI  ZARD KALIYAN
YEH BIKTI HUYEE KHOKLI RANG-RALIYAN
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KAHAN HAIN

WOH UJLE DAREECHON MEIN PAYEL KI CHHAN CHHAN
TANAFFUS KI ULJHAN PE TABLE KI DHAN DHAN
YEH BE-ROOH KAMRON MEIN KHAANSI KI THAN THAN
SANA KHWAN-E-TAQDEES-EMASHRIQ KAHAN HAIN

YEH GOONJE HUYE QAHQAHE RAASTON PAR
YEH CHAARON TARAF BHEED SI KHIDKIYON PAR
YEH AWAAZE KHINCHTE HUYE AANCHALON PAR
SANA KHWAN-E-TAQDEES-EMASHRIQ KAHAN HAIN

YEH PHOOLON KE GAJRE YEH PEEKON KE CHEENTE
YEH BEBAAK NAZREN YEH GUSTAAKH FIQREE
YEH DHALKE BADAN AUR YEH MADQOOQ CHEHRE
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KAHAN HAIN

YEH BHOOKI NIGAAHEN HASEENON KI JAANIB
YEH BADHTE HUYE HAATH SEENON KI JAANIB
LAPAKTE HUYE PAAON ZEENON KI JAANIB
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KAHAN HAIN

YAHAN PEER BHI AA CHUKE HAIN JAWAN BHI
TAN-O-MAND BETE BHI ABBA MIYAN BHI
YEH BEEWI BHI HAI AUR BEHAN BHI HAI MAAN BHI
SANA KHWAN-E-TAQDEES-EMASHRIQ KAHAN HAIN

MADAD CHAHTI HAI YEH HAWWA KI BETI
YASHODHA KI HUM-JINS RAADHA KI BETI
PAIMBER KI UMMAT, ZULEKHA KI BETI
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ  KAHAN HAIN


ZARA MULK KE REHBARON KO BULAO
YEH GALIYAN, YEH KOOCHE, YEH MANZAR DIKHAO
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KO LAO
SANA KHWAN-E-TAQDEES-E-MASHRIQ KAHAN HAIN

ABHI TAU MAIN JAWAN HUN....HAFEEZ

HAWA BHI KHUSHGAWAR HAI
GULON PE BHI NIKHAAR HAI

TARANNUM-E-HAZAAR HAI
BAHAR PUR BAHAR HAI

KAHAN CHALA HAI SAAQIYA
IDHAR TAU LAUT IDHAR TAU AA

ARE YEH DEKHTA HAI KYA?
UTHA SUBU-SUBU UTHA

SUBU UTHA PYALAA BHAR
PYALAA BHAR KE DE IDHAR

CHAMAN KI SIMT KAR NAZAR
SAMAAN TAU DEKH BEKHABAR

WOH KAALI KAALI BADLIYAN
UFAQ PE HO GAYEEN AYAAN

WOH EK HUJOOM-E-MAI KASHAN
HAI SUYE MAIKADA RAWAAN

YEH KYA GUMAAN HAI BADGUMAAN
SAMAJH NA NUJH KO NA TAWAAN

KHYAL-E-ZUHD ABHI KAHAN
ABHI TAU MAIN JAWAN HUN

IBAADATON KA ZIKR HAI
NIJAAT KI BHI FIKR HAI

JUNOON HAI SAWAAB KA
KHYAL HAI AZAAB KA

MAGAR SUNO TAU SHAIKH JI
AJEEB SHAI HAIN AAP BHI

BHALA SHABAAB-O-AASHIQI!
ALAG HUYE HAIN KABHI?

HASEEN JALWA-REZ HUN
ADAEIN FITNA KHAIZ HUN

HAWAYEN ITAR-BEZ HON
TAU SHAUQ KYUN NA TEZ HON

NIGAAH-HAAYE FITNA GAR
KOI IDHAR KOI UDHAR

UBHAARTE HON AISH PAR
TAU KYA KARE KOI BASHAR?

CHALO JI QISSA MUKHTASAR
TUMHARA NUQTA-E-NAZAR

DURUST HO TAU HO MAGAR
ABHI TAU MAIN JAWAN HUN

LOK GEET,,,,MASLAN

ROOP KA PANGHAT, RAS KA SAGAR
PEET KI DORI, GEET KI GAAGAR
SUNDAR HAI SANSAR!
GHOONGHAT MEIN LAAJ HANSI
PANGHAT PE AAJ SAKHI
GAAGAR MEIN BOL UTHI
SAGAR SI PREEET SAKHI
MANN KA MILA MEET SAKHI
NAINON SE NAIN MILE
JAAG UTHI PREET SAKHI

GEET KAISE BANTA HAI

JAB DIL PAR THES LAGI HO GI
TAKHLEEQ-E-SHERR HUYEE HO GI
JAB DIL MEIN DARD UTHA HO GA
DHADKAN SE GEET UGAA HO GA

LOK GEET

JAB DIL PAR THES LAGTI HAI TAU GEET KE BOL JANAM LETE HAIN AUR JAB DIL MEIN DARD UTHTA HAI TAU DIL KI HAR DHADKAN GEET MEIN SANGEET BHAR DETI HAI.

ISS TARAH GEET AUR SANGEET SHARDA AUR SARASWATI KA ROOP DHARAN KAR LETE HAIN AUR PHIR JAN MANAVKE SUKH DUKH, PYAR PREET, REET-RIVAAJ, CHAAL-CHALAN, AACHAAR-BICHAAR, TEEJ-TYOHAAR, BHASH, SAHITYA, SABHAYATA, DHARM, AUR KALA KE AANGAN MEIN BEENA KE TAARON KI JHANKAR SE , LOK GEET KA ITIHAAS UBHARTA HAI.

GEET JAB SANGEET MEIN DHAL JAATA HAI TAB BHAVNAON PAR RAAJ KARNE LAGTA HAI. USS SAMAY DIL KISI QANOON KO NAHIN MAANTA BALKE EK NAI ICHCHA KI TADAP MEIN ZOR ZOR SE DHADAK UTHTA HAI.

LOK GEETON KA SAMBANDH SEEDHEMANAV KI BHAVNAON KE SAATH HOTA HAI.
LOK GEET UNN GEETON KO KEHTE HAIN JINHEIN GAAON MEIN LOG KHUSHI AUR MAUJ MEIN AA KAR GAATE HAIN, JINHEIN STREEYAN, BYAH- LAGAN KE DINON MEIN GAATI HAIN.

ANDAAZA TAU YAHI KEHTA HAI KE AARAMBH MEIN ANPADH MARD AURATON NE HI YEH GEET GADHE HON GE.YEH GEET UTNE HI PURAANE HAIN JITNE AADAM AUR HAWWA , SHIV AUR PARVATI AUR NAYE BHI UTNE HAIN KE JAISE SURAJ KI PEHLI KIRAN PHOOTI HO KE KALI NE CHATAK KAR SHABNAM KE JALTARANG PAR ALAAP CHEDA HO.

Monday, October 22, 2012

LOK GEET....JAVED VASHISHT

DIL, JO HAYAT-O-KAAYENAAT KA MARKAZ HAI, USS KE KISI GUMNAAM GOSHE MEIN EK MANDIR HAI. USSI MANDIR MEIN BRIJMAAN HAI EK DEVTA.
JAB DIL KI NAI-NAVELI, HASEEN-O-MASOOM, NARM-ONAAZUK DHADKANEIN
BANAO-SINHGAR KAR KE, PREET KE DEEP JALA KAR, AARTI KA THAAL SAJA KAR, MANN MANDIR KE DWAR PAR MADHUR SURON MEIN, CHANCHAL MANN KI CHAPAL TARANGON KA KOMAL SAAZ CHEDTI HAIN AAP HI AAP MANDIR KE PATT KHUL JAATE HAIN. DEVTA KI MANN MOHINI, MANOHAR MOORTI KI SUNDAR CHHAB DEKHTE HI DIL KI MATWALI DHADKANEIN, DEVDAASIYON KI TARAH JHOOM JHOOM KAR RAQS KARTI HAIN AUR LAHAK LAHAK KAR DEVTA KE GUNN GAATE HUYE AARTI UTAARTI HAIN. AARTI KE JHILMILATE DEEP, THIRAK THIRAK KE LAV DETE HUYE, DEVTA KI BALAYEN LETE HAIN. RANGARANG PHOOLON KI MULAYEM PANKHUDIYAN DEVTA KE QADMON MEIN RANGEEN TITLIYON KI TARAH THIRAKTI HAIN. AUR JAB PAYEL KE CHANAAKE  KE SAATH SANGEET KI GATT GALE MILTE HAIN TAU DRVTA KE SURKH TIKONE HONTON PAR MUSKAAN KI REKHA JAAG UTHTI HAI, DEVTA JAAG UTHTA HAI AUR PHIR WOH APNI BAANSURI MEIN EK AISA NAGHMA PHOONKTA HAI KE RAAG, KI AAG TEZ TAR HOTI JAATI HAI. SAB MIL KAR RAAS RACHAATE HAIN, NAACHTE HAIN GAATE HAIN. HAR TARAF RAAG, RANG AUR USS KI PHUWAAR PADNE LAGTI HAI. ISSI MANDIR MEIN LOK GEET JANAM LETE HAIN. YAHI DEVTA LOK GEETON KA JANAM-DAATA HAI. DIL KI YAHI NAAZUK DHADKANEIN GEETON MEIN DHAL JAATI HAIN.


KHIZAAN KE PED

LAAGHAR
KAMZOR
LAGTA HAI
JAISE
BINA KAPDON KE
KHADE HAIN
YEH PED
JIN PAR
KOI
PATTA BACHA HI NAHIN HAI
KIS SE POOCHEN
KAUN LE GAYA
PATTE INKE
KAHIN
HAWA KA
KAAM
TAU NAHIN HAI

MAZHAB KYA HAI

MAIN NE BACHPAN SE APNE MAAN BAAP SE SUN RAKHA THA KE DUNIYA KA HAR DHARM, HAR RELIGION, HAR MAZHAB, INSAAN KI BEHTARI KE LIYE HI BANA THA. MERE ABBA YEH BHI KAHA KARTE THE KE BETA INHI MAZHABON KE NAAM PAR INSAANON KA ITNA KHOON BAHA HAI KE AGAR USSE JAMA KAR LIYA JAYE TAU DUNIYA KE SAARE MANDIR, SAARI MASJIDEIN, SAARE GIRJA GHAR AUR SAARE GURDWARE USS MEIN DOOB JAAYEN.

BACHPAN SE HAMEIN IQBAAL KA WOH SHERR SUNAYA JAATA THA JO KUCH YUN HAI:

" DARD-E-DIL KE WAASTE PAIDA KIYA INSAAN KO
  WARNA TAA'AT KE LIYE KUCH KAM NA THE KARRO-BAYAN "

HUM NE TAU YAHI SEEKHA THA KE AGAR KHUDA KI MAKHLOOQ KA KHYAL RAKHA JAYE TAU KHAALIQ YAANI ALLAH BOHOT KHUSH HOTA HAI. AUR ISI LIYE HUM NE HAMESHA USSI KO MAZHAB MAANA....
AUR USSI KO MAZHAB SAMJHA HAI AUR MARTE DUM TAK SAMAJHTE RAHEN GE, ZAMAANA DUSHMAN HOTA HAI TAU BHALE HO JAYE............


urdu poetry...akbar ilahabaadi

har zarra chamkta hai anwar-e-ilahi se
har saans yeh kehti hai hum hain tau khuda bhi hai

suraj mein lage dhabba, fitrat ke karishme hain
butt hum ko kahen kaafir allah ki marzi hai

urdu poetry....daagh

nahin khel aye daagh yaaron se keh do
ke aati hai urdu zabaan aate aate



falak deta hai jin ko aish unko gham bhi hote hain
jahan bajte hain naqqare wahan maatam bhi hota hai



baat karni tak nahin aati thi tumhein
yeh hamare saamne ki baat hai


unhein nafrat huyee saare jahanse
nai duniya koi laye kahan se

MIRZA GHALIB...NA GUL

NA GUL-E-NAGHMA HUN NA PARDA-E-SAAZ
MAIN HUN APNI SHIKAST KI AWAAZ
TU AUR AARAISH -E-KHUM-E-KAAKUL
MAIN ANDESAH HAAYE DOOR DRAAZ

URDU POETRY...SAUDA

ISHQ SE TAU NAHIN HUN MAIN WAAQIF
DIL KO SHOLA SA KUCH LIPT-TA HAI




URDU POETRY....QAYEM CHAANDPURI

QISMAT TAU DEKH TOOTI HAI JAA KAR KAHAN KAMAND
DO CHAAR HAATH JAB KE LAB-E-BAAM REH GAYA





DUNIYA MEIN HUM RAHE TAU KAI DIN PE ISS TARAH
DUSHMAN KE GHAR MEIN JAISE KOI MEHMAAN RAHE

MAGARMACH KI DUA

JO BHI RAJNITI MEIN KOOD PADTA HAI WOH KISI MAGARMACH SE KAM TAU HOTA NAHIN HAI.
AAJ EK MAGARMACH NE AANKHEN BAND KAR KE KHUDA SE DUA MAANGI
AYE DUNIYA KE MAALIK, PAANI KO KHUSHK AUR KHUSHKI KO PAANI MEIN BADLNE WAALE. ZAMANA BEET GAYA HAMARI NADI SOOKHTI JAA RAHI HAI.HAMEIN EK HI NADI KE BAASI KEHLANA THA LEKIN HUM ALAG ALAG TAAPUON MEIN BANT GAYE HAIN. AYE QATRE SE DARIYA BAHANE WAALE AUR NADIYON KO SAMUNDER MEIN MILANE WAALE....HAMARI ISS SOOKHI NADI MEIN KISI SOORAT BADH KA SAMAAN PAIDA KARDE TTAKI HUM JO CHOTE CHOTE JAZEERON MEIN BANT GAYE HAIN PHIR
ISI NADI MEIN GHUL MIL JAAYEN. PHI EK HO JAAYEN.

MAGARMACH DUA KHATAM KAR KE AANKHEN MOONDE MENDAKON KE AAMEEN KEHNE KA INTEZAAR KARTA RAHA MAGAR JAB DER TAK KOI AWAAZ NAHIN AAYEE TAU USS NE AANKHEN KHOL KAR DEKHA TAU PAAYA ASS PAAS KE TAAPOO KHALI PADE THE AUR SAARE MRNDAK NADI KE KAM-KAM GADLE AUR BADBOODAR PANI MEIN DUBKIYAN LAGA CHUKE THE.

Sunday, October 21, 2012

CHUTTI KE DIN

CHUTTI KE DIN
BHI
FURSAT NAHIN MILTI
GHAR MEIN TAAKEED MILTI HAI
AAJ KAHIN BAHAR NA JAANA
KISI BAHAR WALE SE
NA MILNA
YEH BHI KARNA HAI
WOH BHI KARNA HAI
AAKHIR
HAMARA BHI
TAU KOI HAQ
HAI
TUM PAR

CHAURAHE PAR TANGA AADMI

SHRI KEJRIWAL KI APNE PURANE SAATHIYON KE SAATH JUYEE TU TU MAIN MAIN LO DEKH KAR MUJHE URDU AFSANA NIGAR ANWER QAMAR KE AFSANE CHAURAHE PAR TANGA AADMI KE KUCH HISSE YAAD AA GAYE AAP SAB KE LIYE REPRODUCE KAR RAHA HUN
 " KUCH KUCH KAHO
WO SAB EK ZABAN HO KAR BOLE
MAIN KYA KAHUN? MAIN KYA KAHUN?MERE GALE MEIN PHANDA PADA HAI. HAATH PUSHT PAR BANDHE HAIN, AUR PAIRR HARKAT KARNE SE MAAZOOR HAIN. MAIN TAU ISHAARON MEIN BHI BAAT NAHIN KAR SAKTA. AUR NA HI YAHAN SE KISI DOOSRI JAGAH MUNTAQIL HO SAKTA HUN
TUM KAHAN JAANA CHAHTE HO? TUM KAHAN JAANA CHAHTE HO? UNN SABHON NE CHAURAHE PAR LATKE AADMI SE POOCHA.
TUM HI BATAO TUM SAB KAHAN JAANA CHAHTE HO?
USS NE WAHI SAWAL UNN SE KAR DIYA
HUM KAHAN JAANA CHAHTE HAIN? WO SAB EK DOOSRE SE DARYAFT KARNE LAGE.
CHAURAHE PAR TANGE AADMI NE EK QAHQAHA LAGAYA HA  HA  HA, JAB TUMHEIN KHUD HI NAHIN MALOOM KE TUM KAHAN JAANA CHAHTE HO TAU YEH SAWAL MUJH SE KYUN KIYA ? APNE AAP SE HI POOCH LETE.

Friday, October 19, 2012

MIRZA GHALIB...VAFA KAISI...

VAFA KAISI, KAHAN KA ISHQ, JAB SAR PHODNA THEHRA
TAU PHIR, AYE SANG DIL , TERA HI AASTAN KYUN HO

QAFAS MEIN MUJH SE ROODAAD-E-CHAMAN KEHTE NA DARR HUMDAM
GIRI HAI JIS PE KAL BIJLI, WOH MERA AASHIYAN KYUN HO

YEH FITNA AADMI KI KHAANA VEERANI KO KYA KAM HAI
HUYE TUM DOST JIS KE, DUSHMAN USS KA AASMAN KYUN HO

MIRZA GHALIB...ZIKR USS PARI WASH KA...

ZIKR USS PARI WASH KA AUR PHIR BYAN APNA
BAN GAYA RAQEEB AAKHIR, THA JO RAAZDAN APNA

HUM KAHAN KE DAANA THE, KIS HUNAR MEIN YAKTA THE
BE-SABAB HUA GHALIB, DUSHMAN AASMAN APNA

MIRZA GHALIB....ZINDAGI YUN BHI....

ZINDAGI YUN BHI GUZAR HI JAATI
KYUN TERA RAAHGUZAR YAAD AAYA

KOI VEERANI SI VEERANI HAI
DASHT KO DEKH KE GHAR YAAD AAYA

MAIN MAJNUN PE LADAKPAN MEIN ASAD
SANG UTHAYA THA KE SAR YAAD AAYA

AGAANA LUCKNAVI...KYA KARUN...

KAABE KI TARAF DOOR SE SIJDA KAR LUN
YA DAIR KA AAKHIRI NAZARA KAR LUN
KUCH DER KI MEHMAAN HAI JAATI DUNIYA
EK AUR GUNAAH KAR LUN KE TAUBA KAR LUN?

YAGAANA LUCKNAVI...DONO PALLE BHAR GAYE

APNI HADD SE GUZAR GAYE AB KYA HAI
MANJDHAAR SE PAAR UTAR GAYE AB KYA HAI
AYE SHAUQ-E-VISAAL, AYE TAMANNA-E-SUKOON
DONON  PALLE BHAR GAYE AB KYA HAI

YAGAANA LUCKNAVI...MURDA DIL

DIL HO MURDA TAU ZINDAGAANI BHI HARAAM
PEERI KA ZIKR KYA, JAWANI BHI HARAAM
AFSANA-E-UMR-E-JAWEDANI BHI HARAAM
AAB-E-HAIWAN KAHAN KA? PAANI BHI HARAAM

yagaana lucknavi...life is a balance of opposing forces

chaara nahin koi jalte rehne ke siwa
saanche mein fana ke dhalte rehne ke siwa
aye shama, teri hayat-e-faani kya hai
jhonka kaane, sambhalte rehne ke siw

YAGAANA LUCKNAVI...MERA KHUDA KUCH AUR HAI

DARD APNA KUCH AUR HAI DAWA HAI KUCH AUR
TOOTE HUYE DIL KA AASRA HAI KUCH AUR
AISE WAISE KHUDA TAU BOHTERE HAIN



YAGAANA LUCKNAVI...DIL KI AWAAZ

DUKHTA HUA DIL TATOL LENE WAALA
AANKHON AANKHON MEIN TAUL LENE WAALA
DIL KI AWAAZ GOSHA-E-DIL SE SUN KAR
KYA HAI KOI DARD MOL LENE WAALA

YGAANA LUCKNAVI...TARAN-E-NEEM SHABI

SAAJAN KO SAKHI MANA LO, PHIR SO LENA
SOTI QISMAT KO JAGAA LO, PHIR SO LENA
SOTA SANSAR, SUNNE WALA BEDAAR
APNI BEETI SUNA LO, PHIR SO LENA

Thursday, October 18, 2012

URDU POETRY...JALEEL MANIKPURI

MAUSAM-E-GUL MEIN AJAB RANG HAI MAIKHANE KA
SHEESHA JHUKTA HAI KE MUNH CHOOM LE PAIMAANE KA




NIGAAH BARQ NAHIN, CHEHRA AFTAAB NAHIN
WOH AADMI HAI MAGAR DEKHNE KI TAAB NAHIN


JAB MAIN CHALUN TAU SAAYA BHI APNA SAATH NA DE
JAB TUM CHALO, ZAMEEN CHALE, AASMAAN CHALE


DEKHA JO HUSN-E-YAAR TABIYAT MACHAL GAYEE
AANKHON KA QUSOOR THA CHURI DIL PE CHAL GAYEE

URDU POETRY...HAZEEN SIDDIQUI

DIL SAAF HO TAU ZEHAR UGALTI NAHIN ZABAAN
ROSHAN CHIRAAGH SE KABHI UTHTA NAHIN DHUAN


YAARON KI ANJUMAN MEIN YEH KAISI HAWA CHALI
EK DOOSRE KI LAV PE LAPKNE LAGE CHIRAAGH

RDU POETRY...ASLAM KOLSARI 2

AISA NAHIN KE HARF-E-DUA BE-ASAR GAYA
KISHTI KA DOOBNA THA KE DARIYA UTAR GAYA
MUJH KO TAU NAUKARI NE BACHA HI LIYA, MAGAR
SEENE MEIN EK PHOOL SA FANKAAR MARR GAYA

RDU POETRY...ASLAM KOLSARI

MAIN NE APNE SAARE AANSOO BAKHS DIYE
BACHCHE NE TAU EK PAISA HI MAANGA THA
SHAHAR MEIN AA KAR PADHNE WAALE BHOOL GAYE
KIS KI MAAN NE KITNA ZEVAR BECHA THA

URDU POETRY,,,TANVEER SAPRA

MERE ANDER KE INSAAN NE MERE MUNH PAR THOOKA HAI
DARVESHON KO CHHOR KAR JAB BHI BAITHA HUN SULTAANON MEIN



CHAT KI KADIYAN JAANCH LE, DEEWAR-O-DAR KO DEKH LE
MUJH KO APNANE SE PEHLE MERE GHAR KO DEKH LE




TUM SHAB KI SIYAHI MEIN MUJHE QATAL KARO GE
AUR SUBAH KE AKHBAAR KI SURKHI MAIN BANUN GA



AYE RAAT MUJHE MAAN KI TARAH GODD MEIN LE LE
DIN BHAR KI MASHAQQAT SE BADAN TOOT RAHA HAI

BEING CREATIVE...DISADVANTAGE 4

YOU CAN'T LOOK UNCREATIVE

CALL IT PEER PRESSURE OR CALL IT WHAT YOU WANT, ONE CAN TELL A CREATIVE PERSON JUST BY LOOKING AT HIM OR BY SOMETHING FROM A MILE AWAY. BEING CREATIVE, YOU ARE EXPECTED TO STAY AWAY FROM SOAP, RAZOR, WATER, DETERGENTS AND MAKE PEOPLE WONDER IF EVOLUTION IS A MYTH.

BEING CREATIVE...DISADVANTAGE 3

AS YOU DON'T GET  ANY BENEFITS FROM THE GOVERNMENT FOR BEING CREATIVE, YOU HAVE TO EARN YOUR OWN GRASS.YOU GET A JOB THAT DOESN'T PAY YOU ENOUGH. YOU FIND ANOTHER JOB BUT STILL DON'T GET PAID ENOUGH.YOU LIVE ON STAPLE DIET OF NICOTINE AND ALCOHOL. YOU DREAM OF MAKING IT BIG SOME DAY. YOU DIE IN YOUR SLEEP.

BEING CREATIVE...DISADVANTAGE 1

AFTER YOU HAVE ASSUMED THAT YOU ARE CREATIVE, YOU CAN'T BE HUMAN AGAIN. YOU DON;T SEE THINGS STRAIGHT. YOU JUDGE THE BOOK BY ITS COVER DESIGN. YOU OVERHYPE YOUR IMPORTANCE IN YOUR OWN EYES. ALIGNMENT IS YOUR BIGGEST TURN ON.

BEING CREATIVE

AN EX STUDENT AND NOW, A COPY SUPERVISOR WITH FLAGSHIP ADVERTISING SENT ME A BOOK CALLED BEING CREATIVE....WHATEVER THAT MEANS,
I THINK THE BOOK DESCRIBES STEREOTYPE ADVERTISING CREATIVES DELIGHTFULLY
JUST LOOK AT " FOREWORD "

" THIS BOOK IS DEDICATED TO ALL THOSE UNFORTUNATE SOULS LABELLED AS CREATIVES.  THEY LOSE THEIR FIRST NAMES, THEY LOSE THEIR INDIVIDUAL IDENTITIES. THEY BECOME A PART OF THIS GENERALISED  BLOB CALLED ' CREATIVE TYPES ', TREATED WITH SAME AFFECTION AS TOXIC WASTE BY SOCIETY AT LARGE. NO WONDER, THESE ARE THE  PEOPLE WHO HATE THAT WORD THE MOST."

CHAPTER ONE GOES ON TO GIVE DISADVANTAGES OF BEING CREATIVE....

Monday, October 15, 2012

URDU POETRY...AHMED FARAZ

UMR BHAR KA MAAN TOOTA AUR KYA
MOD AAYA SAATH CHOOTA AUR KYA

KAUN SACH KEHTA HAI SACH SUNTA HAI
MAIN BHI JHOOTA TU BHI JHOOTA AUR KYA

USS KI AANKHEN BHI KABHI SACH BOLTIN
DIL TAU THA JHOOTON SA JHOOTA AUR KYA

GHAIR TAU THE GHAIR, APNE AAP KO
SAB SE BADH KAR HUM NE LOOTA AUR KYA


URDU POETRY...ASLAM ANSARI

CHAAND KO AAKHIR-E-SHAB SOCH MEIN DOOBA DEKHA
EK LAMHE KO SAHI KOI TAU TUJH SA DEKHA
DEEWAR-E-KHASTAGI HUN, MUJHE HAATH MAT LAGAO
MAIN GIR PADUN GA, DEKH MUJHE AASRA NA DE

URDU POETRY......SAADIQULQADRI

1.NA POOCH KAISE GUZARTI HAI ZINDAGI, AYE DOST
BADI TAVEEL KAHANI HAI, PHIR KABHI, AYE DOST

YEH KAUN SI DUNIYA HAI YAA RAB

YEH KAHAN BHEJ DIYA HAI TU NE MUJHE? YAHAN TAU KISI KO KISI KO KISI SE KOI RAGHBAT NAHIN HAI.YAHAN TAU HAR KOI APNI HI FIKR MEIN DOOBA HUA HAI.
BACHCHE HAIN JO MAANON SE PARESHAN HAIN,AUR MAAYEN HAIN JINHEN BACHCHE ACHCHE NAHIN LAGTE.

TU NE MUJHE KYA SOCH KAR BHEJA THA YAHAN, KYA KAAM SAUNPA THA MUJHE, MAIN BADI KOSHISHEN KARTA HUN KE TERI BATAYEE HUYEE RAAHON PE CHALOON LEKIN HAR MOD PAR THOKAR MILTI HAI.

NAFSA NAFSI KA AALAM HAI AAJ TERI ISS KAYENAAT MEIN.
NA KOI KISI KA BHAI NA KOI KISI KA HUMDARD. NA KISI KO GHAREEB BHOOKE NANGON KI KOI FIKR HAI AUR NA HI KOI KISI KA DARD SAMAJHNE KO TAYYAR HAI.

TANG AA GAYA HUN APNE CHAARON TARAF KHUDGHARZI KI DEEWAREN DEKH DEKH KAR.........AB AUR NAHIN SAHA JAATA, MUJHE MAAF KAR AUR WAAPAS BULA LE APNE PAAS ............

URDU POETRY,,,JOSH


SOZ-E-GHAM DE KE MUJHE, USS NE YEH IRSHAAD KIYA
JAA TUJHE KASHMAKASH-E-DAHAR SE AAZAD KIYA

WOH KAREIN BHI TAU KIN ALFAAZ MEIN TERA SHIKWA
JIN KO TERI NIGAH-E-LUTF NE BARBAAD KIYA

DIL KI CHOTON NE KABHI CHHAIN SE REHNE NA DIYA
JAB CHALI SARD HAWA, MAIN NE TUJHE YAAD KIYA

ITNA MAANOOS HUN FITRAT SE, KALI JAB CHATKI
JHUK KE MAIN NE KAHA, MUJH SE KUCH IRSHAAD KIYA

MUJH KO TAU HOSH NAHIN, TUM KO KHABAR HO SHAYED
LOG KEHTE HAIN KE TUM NE MUJHE BARBAAD KIYA

Sunday, October 14, 2012

URDU POETRY....HASAN ABBAZ RAZA

DE HAATH MEIN SOHNA HAATH KE SAJRI SEJ SAJE
PHIR CHEDD MILAN KI BAAT KE SAJRI SEJ SAJE
SHAHZAADI! MAANG DUA, USS RANGLE MAUSAM KI
HUM JIS MEIN KHELEN IK SAATH KE SAJRI SEJ SAJE

RDU POETRY...AJMAL NIYAZI

AHD-E-GHAFLAT MEIN MUJHE MISL-E-SAHAR BHEJA GAYA
DER TAK SOYE HUYE LOGON KE GHAR BHEJA GAYA
AB GALE LAG KE RONE KI RAWAYET BHI GAYEE
SHAHAR-E-GIRYA MEIN MUJHE BE CHASHM-E-TAR BHEJA GAYA

URDU POETRY...KHALID IQBAL YAASIR

NAZAR NAZAR MEIN DILON KO TATOLTI AANKHEN
BALA KA HUSN PURANI KAHANIYON WALA
MITAYE AA KE WOH YAASIR UDAASIYAN MERI
WOH MUJH MEIN RANG BHARE PHIR SE SHOKHIYON WALA

URDU POETRY...PARVEEN SHAKIR

TUJH SE TAU KOI GILA NAHIN HAI
QISMAT MEIN MERI, SILA NAHIN HAI

BICHDE TAU NA JAANE KYA HAAL HO
JO SHAKHS ABHI MILA NAHIN HA

KHUSHBOO KA HISAAB HO CHUKA
AUR PHOOL ABHI KHILA NAHIN HAI

Saturday, October 13, 2012

PANGHAT BY JAVED VASHISHT

GAAON KA PANGHT EK ROOMANI DUNIYA KA WOH HASEEN MAQAAM HAI, JAHAN ROOMAN JANM LETA HAI, JAHAN HUSN NIKHARTA HAI, JAHAN ISHQ PARWAN CHADTA HAI, JAHAN DOOR SE AAYE ALBELE RAAHI, JANAM JANAM KE PYASE PANCHI AUR BEPARWAH PARDESI APNI PYAS BUJHANE AA NIKALTE HAIN, JAHAN GAON KI ALLAHAD DOSHEEZAYEN APNI GAAGAR KO ANGUTHI SE BAJA KAR GAATI HAIN , JAHAN CHAIL-CHABEELI, ALBELI BRIJ NAAR SAR PAR KALSA MAANT DHARE , PAAON KE BICHUYE KI AWAZ SUNATI , GHOOM GHUMAR LEHNGE KI HAR GHOOM PAR JHOOMTI, INDRADANUSH KE LEHARIYE HAWA MEIN UDAATI , GUNGUNATI , QADAM QADAM PAR JAADOO JAGATI , INDRA KE AKHADE KI APSARAON KO SHARMATI, BAANKE GHOONGHAT SE TIRCHI CHITWAN KA WAAR KARTI HAIN. TAU KITNE HI PANCHI GHAYEL HO JAATE HAIN, KITNE HI RAAHI APNI RAAH SE BHATAK JAATE HAIN AUR KITNE HI PARDESI APNA DES BHOOL JAATE HAIN. KATHIN DAGARIYA HAI PANGHAT KI!

ROOP KA PANGHAT, RAS KA SAAGAR
PEET KI DORI, GEET KI GAAGAR
SUNDAR HAI SANSAR!

JAB YAHAN MANN KA MEET MIL JAATA HAI TAU MADHUR MILAN KE GEETON SE PANGHAT BHI GOONJ UTHTA HAI:

GHOONGHAT MEIN LAAJ HANSI, PANGHAT PE AAJ SAKHI
GAAGAR MEIN BOL UTHI, SAAGAR SI PREET SAKHI
MANN KA MILA MEET SAKHI
NAINO SE NAIN MILE, JAAG UTHI PREET SAKHI


Friday, October 12, 2012

URDU POETRY...IQBAL

AJAB VAAIZ KI DEENDARI HAI YA RAB
ADAVAT HAI ISSE SAARE JAHAN SE


MERE MITNE KA TAMASHA DEKHNE KI CHEEZ THI
KYA BATAOON UNN KA SAAMNA KYUNKAR HUA


UMMED-E-HOOR NE SAB KUCH SIKHA RAKHA HAI VAAIZ KO
YEH HAZRAT DEKHNE MEIN SEEDHE SAADE BHOLE BHAALE HAIN


KHUDA KE AASHIQ TAU HAIN HAZAARON, BANON MEIN PHIRTE HAIN MAARE MAARE
MAIN USKA BANDA BANUN GA, JIS KO KHUDA KE BANDON SE PYAR HO

URDU POETRY...AMEER MEENAI

KHANJAR CHALE KISI PE TADAPTE HAIN HUM AMEER
SAARE JAHAN KA DARD HAMARE JIGAR MEIN HAI


RUTBA SHAHEED-E-ISHQ KA GAR JAAN JAIYE
QURBAAN HONE WALE PE QURBAAN JAIYE


TEER PAR TEER LAGAO TUMHEIN DARR KIS KA HAI
SEENA KIS KA HAI, MERI JAAN JIGAR KIS KA HAI

URDU POETRY... AMEER MEENAI

SHAB-E-VISAAL BOHOT KUM HAI
KE JOD DE KOI TUKDA SHAB-E-JUDAI KA



SAARI DUNIYA KE HAIN WOH MERE SIWA
MAIN NE DUNIYA CHHOR DI JIN KE LIYE
BAAGHBAN KALIYAN HON HALKE RANG KI
BHEJNA HAIN  EK KAMSIN KE LIYE

URDU POETRY...ABID GULRAYS

DUA MAANGI NA THI HUM NE USS KI ZINDAGAANI KI
DAAD, DE NA SAKA TU MERI BE-ZABAANI KI

URDU POETRY...KHALID SHAREEF

BICHDA KUCH ISS ADA SE KE RUT HI BADAL GAYEE
IK SHAKS SAARE SHAHAR KO VEERAN KAR GAYA

DILCHASP WAAQIYA HAI KE KAL IK AZEEZ DOST
APNE MAFAAD PAR MUJHE QUEBAAN KAR GAYA

KHALID MAIN BAAT BAAT PE KEHTA THA JIS KO JAAN
WOH SHAKHS AAKHRISH MUJHE BE-JAAN KAR GAYA

RDU POETRY...ANON

HAI KAUN KE JO KHUD KO HI JALTA HUA DEKHE
SAB HAATH HAIN KAAGHAZ KE, DIYA DEN TAU KISE DEN

CHUP REHNE KI HAR SHAKHS QASAM KHAYE HUYE HAI
HUM ZEHAR BHARA JAAM BHALA DEN TAU KISE DEN

RDU POETRY...BASHEER SAIFI

HAR CHAND MASLAHAT KA TAQAAZA KUCH AUR THA
AAINA HAR KISI KO DIKHAATA RAHA HUN MAIN

BACHCHON KE HANSTE KHELTE CHEHRON KO OTT MEIN
APNE DUKHON KI TEES CHUPAATA RAHA HUN MAIN

RDU POETRY...NAZEER QAISAR

RAAT, JAB BAARISH SE JAL-THAL HO GAYEE
WOH BHI MERE SAATH PAAGAL HO GAYEE

CHOOM KAR USS KA MEHKTA HUA PAIRAHAN
ROOH KI POSHAAK SANDAL HO GAYEE

RDU POETRY...KHALID AHMED

TARK-E-TALLUQAAT PE ROYA NA TU NA MAIN
LEKIN YEH KYA CHAINN SE SOYA NA TU NA MAIN

HAR CHAND IKHTELAAF KE PEHLU HAZAAR THE
VAA KAR SAKA MAGAR LAB-E-GOYA NA TU NA MAIN

URDU POETRY...NISAR TAREEN JAAZIB

TAREEK HO CHUKE HAIN DIL-O-ZEHAN ISS QADAR
SURAJ KE DEKHNE KO JALAANA PADE CHIRAAGH

PAHUNCHI NA ZER-E-KHAAK CHIRAAGHON KI ROSHNI
KYA FAAYEDA JO QABAR KE BAHAR JALE CHIRAAGH

RDU POETRY...SHOEB BIN AZEEZ 2

DAST-E-GUSTAAKH PE ILZAAM GHALAT HAI TANHA
PECH WOH BHI TAU KOI BAND-E-QABA MEIN RAKHTA

KYA ZAROORI THA, SARAABON KA TAKALLUF YA RAB
TU NE RAKHNA THA HAMEIN DASHT-E-BALA MEIN RAKHTA

URDU POETRY...SHOEB BIN AZEEZ

AB UDAAS PHIRTE HO SARDIYON KI SHAAMON MEIN
ISS TARAH TAU HOTA HAI ISS TARAH KE KAAMON MEIN

AB TAU USS KI AANKHON KE MAIKADE MAYASSAR HAIN
PHIR SUKOON DHOODHO GE SAAGHARON MEIN JAAMON MEIN

DOSTI KA DAAVA KYA, AASHIQI SE KYA MATLAB
MAIN TERE FAQEERON MEIN, MAIN TERE GHULAAMON MEIN

Wednesday, October 10, 2012

ADVERTISING WHAT TO SAY...PART III

BY THIS,COPYWRITER AND ART DIRECTOR WILL USUALLY FIND DOZENS OF INTERESTING DETAILS WHICH THE MAN IN THE STREET WOULD LIKE TO READ ABOUT.

EXAMPLE: ONE DAY THAT GENIUS OF COPY-WRITING, CLAUDE HOPKINS,WAS GOING THROUGH A BREWERY WHEN HE NOTICED THAT THE BOTTLES WERE BEING CLEANED BY STEAM. HE MENTIONED THIS TO THE CLIENT,BUT THE LATTER SAID THAT THIS WAS STANDARD PROCEDURE IN EVERY BEER PLANT.

HOPKINS OF COURSE KNEW THAT ONE OF THE SECRETS OF ADVERTISING LIES IN 'SAYING IT FIRST'. EVERYONE MAY BE DOING A CERTAIN THING,BUT ARE THEY TALKING ABOUT IT?

SO HE PUT A SMALL LINE INTO THE NEW BEER ADVERTISEMENT WHICH HE CREATED. IT SAID,'OUR BOTTLES ARE WASHED WITH LIVE STEAM'.

THE CAMPAIGN BECAME A CLASSIC,SALES ZOOMED UPWARD, AND HIS OBSERVATION HAS BECOME A TEXTBOOK EXAMPLE OF WHY A COPYWRITER MUST STUDY EVERYTHING HE POSSIBLY CAN ABOUT HIS PRODUCT.

BUT HOW IS THE PRODUCT INFORMATION TO BE COLLECTED? WHERE DOES ONE START? WELL,ONE EFFECTIVE METHOD IS TO ASK THE CLIENT THESE SIX QUESTIONS ABOUT THE PRODUCT OR SERVICE:WHAT? WHO? WHY? WHERE? WHEN? HOW?

IT SOUNDS SIMPLE,BUT THESE ARE JUST THE STARTING POINTS. EACH POINT MUST BE PROBED IN GREAT DETAIL.

Tuesday, October 9, 2012

ADVERTISING..WHAT TO SAY PART II

ADVERTISING IS NOT MEANT TO BE GREAT LITERARY WORK OR GREAT ART.IN FACT, THESE CAN BE DISTINCT DISADVANTAGE TO THE CREATION OF GOOD SALES MESSAGES.

COPYWRITERS ARE MEN AND WOMEN WHO HAVE CHOSEN THE PEN RATHER THAN THE BRIEFCASE TO MAKE CALLS ON THEIR CUSTOMERS.

THEY ARE PEOPLE WHO TAKE A PRODUCT, DISTILL ITS BENEFITS INTO A CONSUMER PROPOSITION AND THEN CONVERT THE PROPOSITION INTO A SELLING IDEA.

THE DISTINGUISHING MARK OF A TRULY CREATIVE COPYWRITER IS HIS OR HER CAPACITY TO RELATE TOTALLY UNRELATED ITEMS TO EACH OTHER IN SUCH A WAY THAT THE RESULT IS A MEMORABLE,POWERFUL SELLING IDEA.

BUT IT'S NOT AN EASY LIFE.

TO START WITH,THE COPYWRITER NEEDS INFORMATION,BECAUSE YOU CAN'T MAKE AN OMELETTE WITHOUT EGGS.

THIS HAPPENS LARGELY BECAUSE THE PRODUCT AND ITS MANUFACTURING PROCESS ARE AN EVERYDAY AFFAIR TO THE CLIENT.HE SEES NOTHING EXCITING IN IT.A NOT INFREQUENT ATTITUDE IS,'OUR SOAP IS JUST LIKE ANYONE ELSE'S SOAP.'

WHICH IS NOT OF MUCH USE TO THE ADVERTISING MAN WHO US TRYING TO FIND A COMPELLING DIFFERENCE BETWEEN THE PRODUCT HE IS BEING ASKED TO PROMOTE AND THE COMPETITOR'S PRODUCT.

                                                    ....................................TO BE CONTINUED IN PART 3.

URDU POETRY...MAJAZ

KHUD DIL MEIN REH KE AANKH SE PARDA KARE KOI
HAAN LUTF JAB HAI PAA KE BHI DHOONDHA KARE KOI

TUM NE TAUHUKM-E-TARK-E-TAMANNA SUNA DIYA
KIS DIL SE AAH, TARK-E-TAMANNA KARE KOI

MUJH KO YEH ARZOO WOH UTHAYEN NAQAAB
UNN KO YEH INTEZAAR, TAQAZAA KARE KOI


MUSAFIR.......MAJAZ

MUSAFIR YUNHI GEET GAYE CHALA JAA
SAR-E-REHGUZAR KUCH SUNAYE CHALA JAA

TERI ZINDAGI SOZ-O-SAAZ-E-MOHABBAT
HANSAYE CHALA JAA, RULAYE CHALA JAA

KOI LAAKH ROKE KOI LAAKH TOKE
QADAM APNE AAGE BADHYE CHALAA JAA

MOHABBAT KE NAQSHE TAMANNA KE KHAAKE
BANAYE CHALA JAA, MITAYE CHALA JAA

JO PARCHAM UTHA HI LIYA SARKASHI KA
USSE AASMAN TAK UDAAYE CHALA JAA

URDU POETRY...MAJAZ

USS NE JAB KAHA MUJH SE GEET EK SUNA DO NA
SARD HAI FIZA DIL KI, AAG TUM LAGA DO NA

KYA HASEEN TEVAR THE, KYA LATEEF LEHJA THA
ARZOO THI,HASRAT THI, HUKM THA, TAQAZA THA

GUNGUNA KE MASTI MEIN SAAZ LE LIYA MAIN NE
CHEDD HI DIYA AAKHIR NAGHMA-E-VAFA MAIN NE

YAAS KA DHUAN UTHA HAR NAWA-E-KHASTA SE
AAH KI SADA NIKLI BARBAT-E-SHAKISTA SE

urdu poetry...majaz

HUSN KO BE HIJAAB HONA THA
SHAUQ KO KAAMYAAB HONA THA

TERE JALWON MEIN GHIR GAYA AAKHIR
ZARRE KO AFTAAB HONA THA

KUVH TUMHARI NIGAAH KAAFIR
KUCH MUJHE KHARAAB HONA THA

URDU POETRY...SATIRE..RAJA MEHDI ALI KHAN

                                         AJI PEHLE AAP


AJI RAKHIYE JANNAT KE DAR MEIN QADAM
AJI PEHLE AAP
AJI WAH PEHLE NA JAYEN GE HUM
BHAI PEHLE AAP

AJI BAAT ISS MEIN TAKALLUF KI KYA
QUDOOM-E-MUBARAK BADHAYEN ZARA
AJI CHALIYE, RUK JAAYEN GI SAB JAGAH
AJI PEHLE AAP
BHAI PEHLE AAP

AJI BADH BHI CHUKIYE KHUDA KE LIYE
SABHI AB TAU JANNAT MEIN HAIN JAA CHUKE
NA AB MUJH SE KAHIYE KHUDA KE LIYE
AJI PEHLE AAP

INAAYET HAI, SHAFQAT HAI YEH AAP KI
MAGAR MUJH SE TAU YEH NA HO GA KABHI

AJI PEHLE AAP

TAKLEEF KI ALLAH HADD HAI KOI
YAHIN PAR KHADE HO GAYEE EK SADI
BAS AB PEHLE AAP
AJI PEHLE AAP

ARE HO GAYA BAND JANNAT KA DAR
KHUDAYA BATA JAYEN AB HUM KIDHAR
NAHIN WAAPSI KE SIWA KUCH MUFIR
CHALO BHAI WAAPAS CHALEN AB MAGAR
ZARA PEHLE AAP
AJI PEHLE AAP

URDU...POETRY...SATIRE DILAVAR FIGAAR 3

HAALAAT BANA DETE HAIN INSAAN KO LEADER
BEWAJAH KOI QAUM KI KHIDMAT NAHIN KARTA

RDU POETRY...SATIRE...DILAVAR FIGAAR 2

SHAYER AUR SHERR MEIN EK BAHAS CHIDD GAYEE
WOH BAHAS JIS KA LUTF UTHAYE HUYE HAIN HUM
SHAYER TAU KEH RAHA THA KE HUM NE KAHA HAI SHERR
AUR SHERR KEH RAHA THA CHURAYE HUYE HAIN HUM

URDU POETRY...SATIRE....DILAVAR FIGAAR

AYE MERE UNBORN BETE AYE MERE TO BE SON
KAUN KEHTA HAI TUJH KO HAQ-E-PAIDAISH NAHIN
SIRF ITNI ARZ HAI, KUCH ROZ MOHLAT DE MUJHE
ISS MAHEENE BUDGET MEIN GUNJAISH NAHIN

Monday, October 8, 2012

URDU POETRY..SATIRE..NAZAR BARNI 3

                                                    GHAZAL

HAI AB TAU HASEENAON KA HALQA MERE AAGE
SALMA MERE PEECHE HAI TAU ZULEKHA MERE AAGE

AB BACH KE KAHAN JAAIYE HAR SIMT HAI DEEWAR
BEEVI MERE PEECHE HAI TAU BACHCHA MERE AAGE


MAIN AB KE ELECTION MEIN GANWA BAITHA ZAMANAT
DOOBA MERI QISMAT KA SITAARA MERE AAGE

AB WOH BHI TAU KEHNE LAGE MUJH KO NAZAR UNCLE
NIKLA HAI MURAADON KA JANAAZA MERE AAGE

urdu poetry..satire..nazar barni 2

                                SIKWA-E-CLERK

HUM PE GHAFLAT HYEE TAARI TAU " CORRUPTION " BHI SAWAR
LAAKH ROTI RAHI PUBLIC NA SUNI USS KI " PUKAAR "

KHAAYA OHDE KI BADAULAT JO HAZAARON KA UDHAAR
EK HI CASE MEIN KARNE LAGE " BEDA PAAR "

HAI, AFSOS  " VIGILENCE " NE HUM KO PAKDA
ZINDAGI BHAR KE LIYE HO GAYA QAYEM JHAGDA

HUKM AFSAR KA BA-HAR-HAAL BAJAYA HUM NE
USS KE CHAMCHON KO BOHOT MAAL CHATAYA HUM NE

PHIR BHI AFSAR KO GILA HAI KE VAFADAAR NAHIN
HUM VAFADAAR NAHIN WOH BHI TAU DILDAAR NAHIN

URDU POETRY ..SATIRE..NAZR BARNI

                                             A PARODY
                                      ( ZABAN KYUN HO )

KISI KO DE KE " VOTE " APNA NAWA SANJ-E-FUGHAAN KYUN HO
JO SAR KHALI HO " BHEJE " SE TAU PHIR MUNH MEIN ZABAN KYUN HO?

HAMARE LEADERON KI KAAMYAABI KA YEH NUKTA HAI
" JO KARNA HAI " RAKHO DIL MEIN, PUBLIC MEIN BAYAAN KYUN HO?

BUDHAPE MEIN BHI KAR DAALI TU NE TEESRI SHAADI
ZARA INSAAF SE KEH DE WOH TUJH PE MEHARBAN KYUN HO?

" QAFAS MEIN MUJH SE ROODAAD-E-CHAMAN KEHTE NA DARR HUMDAM
CHALA HAI JIS PAR " BULDOZER " WOH MERA HI MAKAAN KYUN HO?

URDU POETRY...BAAQI

CHEEN BAR JABEEN HO
KITNE HASEEN HO
ITNI KHAMOSHI
GOYA NAHIN HO
WO MEHARBAN HAIN
KYUNKAR YAQEEN HO
DUNIYA SE KHELO
NAAZ-E-AAFREEN HO
JAISA SUNA THA
WAISE NAHIN HO

URDU POETRY...SHAHARYAAR

JUSTAJU JIS KI THI USS KO TAU NA PAAYA HUM NE
ISS BAHANE SE MAGAR DEKH LI DUNIYA HUM NE

SAB KA AHVAAL WAHI HAI JO HAMARA HAI AAJ
YEH ALAG BAAT HAI KE SHIKWA KIYA, TANHA HUM NE

UMR BHAR SACH HI KAHA, SACH KE SIWA KUCH NA KAHA
AJAR KYA USS KA MILE GA, YEH NA SOCHA HUM NE

URDU POETRY...SHAHARYAAR

KYUN AAJ  USS KA ZIKR MUJHE KHUSH NA KAR SAKA
KYUN AAJ USS KA NAAM MERA DIL DUKHA GAYA

ISS HAADSE KO SUNN KE KARE GA KOI YAQEEN
SURAJ KO EK JHONKA HAWA KA BUJHA GAYA

RDU POETRY...TANVEER SAPRA

MERE ANDER KE INSAAN NE MERE MUNH PAR THOOKA HAI
DARVESHON KO CHHOR KE JAB BHI BAITHA HUN SULTAANON MEIN



AURAT KO SAMAJHTA THA JO MARDON KA KHILONA
USS SHAKHS KO DAAMAD BHI WAISA HI MILA



ISSE TANVEER SAPRA KAAT PHENKO APNE SHAANE SE
JO HAR CHAUKHAT PE JHUK JAYE, WOH SAR ACHCHA NAHIN HOTA

URDU POETRY...NISAAR TAREEN JAAZIB

ISS AZIYAT BADI AUR AZIYAT KYA
DOST NARAAZ KAREIN, GHAIR MANAANE AAYEN

AAJ TASVEEREN UTHA KAR TERI CHALNE WAALE
KYA KHABAR KAL TERA PUTLA BHI JALAANE AAYEN

URDU POETRY...AYYUB KHAAVAR

SAAT SURON KA BEHTA DARIYA TERE NAAM
HAR SUR MEIN EK RANG DHANAK KA TERE NAAM

TERE BINA JO UMR BITAAYEE BEET GAYEE
AB ISS UMR KA BAAQI HISSA TERE NAAM

URDU POETRY...GHULAM AHMED QAASIR

SAARE SAPERE VEERANON MEIN GHOOM RAHE HAIN BEEN LIYE
AABADI MEIN REHNE WAALE SAANP BADE ZAHREELE THE

TUM YUN HI NARAAZ HUYE, WARNA MAIKHAANE KA PATA
HUM NE HAR USS SHAKHS SE POOCHA, JIS KE NAIN NASHEELE THE

RDU OETRY...MOHSIN NAQVI 2

YEH DIL YEH PAAGAL DIL MERA KYUN BUJH GAYA, AAWARGI
ISS DASHT MEIN EK SHAHR THA, WOH KYA HUA AAWARGI

YEH DARD KI TANHAIYAN, YEH DASHT KA VEERAN SAFAR
HUM LOG TAU UKTA GAYE, APNI SUNA AAWARGI

KAL RAAT TANHA CHAAND KO DEKHA THA MAIN NE KHWAB MEIN
MOHSIN MUJHE RAAS AAYE GI SHAYED SADA AAWARGI

URDU POETRY...MOHSIN NAQVI

BICHAD KE MUJH SE KABHI TU NE YEH BHI  SOCHA HAI
ADHOORA CHAAND BHI KITNA UDAAS LAGTA HAI

YEH RAKH-RAKHAO MOHABBAT SIKHA GAYEE USS KO
WOH ROOTH KAR BHI, MUJHE MUSKURA KE MILTA HAI

Sunday, October 7, 2012

RDU POETRY...SALEEM AHMED

MAIN GHAM KO BASA RAHA HUN DIL MEIN
BE GHAR KO MAKAAN DE RAHA HUN

JO FASL ABHI KATI NAHIN HAI
MAIN USS KA LAGAAN DE RAHA HUN

URDU POETRY...JAMEEL MALIK

MOHABBAT KE HAR EK JAZBE SE WOH INKAAR KARTA HAI
WOH KHUD NAFRAT HAI AUR NAFRAT KA KAAROBAAR KARTA HAI

YAHI TAU KHEL HAI USS KA BHULA DENA, MUKAR JAANA
VAFAA-E-EHD KA VAADA TAU WOH HAR BAAR KARTA HAI

URDU POETRY...MOHSIN BHOPALI

A FEW COUPLETS
1. MAIN NE JIS TARAH ZEEST KAATI HAI
EK DIN HI SAHI BASAR TAU KAR

2. EK MUDDAT KI RAFAAQAT HO KUCH TAU INAAM
JAATE JAATE KOI ILZAAM LAGATE JAAO

3. ZEEST HUMSAYE SE MAANGA ZEVAR TAU NAHIN
EK DHADKA SA LAGA REHTA HAI KHO JAANE KA

4. PARINDON KO NA PATTHAR SE UDAO
MUSAFIR HAIN, THIKANA CHAHTE HAIN

5. YEH MERE CHAARON TARAF KIS LIYE UJAALA HAI
TERA KHAYAL HAI YA DIN NIKALNE WALA HAI

Friday, October 5, 2012

MIRZA GHALIB KE BAARE MEIN KUCH BAATEIN

MIRZA ASADULLAH KHAN GHALIB KA JANAM 27 DECEMBER 1797 MEIN AGRA MEIN HUA THA. JAB WOH PAANCH SAAL KE THE TAB UNKE PITA ABDULLAH BAIG KHAN KA DEHANT HO GAYA. UNKE CHACHA NASRULLAH KHAN BAIG NE ASADULLAH KHAN KO PAALNE-POSNE KI ZIMMEDARI APNE SAR LE LI.LEKIN JAB GHALIB 9 BARAS KE HI THE TAB UNKE CHACHA BHI CHAL BASE. GHALIB KI UMR KA WOH DAUR JIS MEIN AANE WAALE DINON AUR ZINDAGI KE ROOP-RANG UBHARTE HAIN APNE PITA KE BAGHAIR APNE NANIHAAL MEIN GUZRA.UNKI NIGRAANI KARNE WALA KOI NAHIN THA AUR ISI LIYE UNHEIN PATANGBAAZI AUR JUYE KI LATT PAD GAYEE.

JAB WOH 13 BARAS KE HUYE TAB UNKI SHAADI NAWAB AHMED BAKHSH KHAN KE CHOTE BHAI NAWAB ILAHI BAKHSH KHAN MAAROOF KI BETI UMRAO BEGAM SE HO GAYEE. JO USS SAMAY KEVAL 11 BARAS KI THIN.

SHAADI KE BAAD GHALIB AAGRA SE DILLI CHALE AAYE.DILLI MEIN UNHEIN BEHAD MUSHKIL HAALAT KA SAAMNA KARNA PADA. UNKI APNI KOI SANTAAN NAHIN THI.SAAT BACHCHE PAIDA TAU HUYE LEKIN SABHI EK KE BAAD EK MAR GAYE. SANTAAN NA HONE KA DUKH UNHEIN JEEVAN BHAR RAHA LEKIN YEH KAMI UNHON NE APNI PATNI KI BEHAN KE BETE ZAINULAABEDEEN AARIF KO GODD LE KAR POORI KI.MAGAR, AARIF KA BHI BHARI JAWANI MEIN INTEQAAL HO GAYA.

GHALIB KO ISS BAAT KA BOHOT SADMA HUA AUR UNHON NE AARIF KI MAUT PAR EK BADI HI DARD BHARI GHAZAL KAHI, JO KUCH YUN HAI;

LAAZIM THA KE DEKHO MERA RASTA KOI DIN AUR
TANHA GAYE AB RAHO TANHA KOI DIN AUR

AAYE HO KAL AUR AAJ HI KEHTE HO KE JAAOON
MAANA KE HAMESHA NAHIN ACHCHA KOI DIN AUR

JAATE HUYE KEHTE HO QAYAMAT KO MILEN GE
KYA KHOOB QAYAMAT KA HAI GOYA KOI DIN AUR

HAAN AYE FALAK-E-PEER JAWAN THA ABHI AARIF
KYA TERA BIGADTA JO NA MARTA KOI DIN AUR

MIRZA GHALIB...KAM SUNE ASHH-AAR

MAGAR LIKHWAYE KOI USS KO KHAT TAU HUM SE LIKHWAYE
HUYEE SUBAH AUR GHAR SE KAAN PAR RAKH KAR QALAM NIKLE

IMAAN MUJHE ROKE HAI, JO KHEENCHE HAI MUJHE KUFR
KAABA MERE PEECHE HAI, KALEESA MERE AAGE

AASHIQ HUN, PE MASHOOQ FAREBI HAI MERA KAAM
MAJNUN KO BURA KEHTI HAI LAILA MERE AAGE


MAZDOORON KA GEET...MAJAZ

MEHNAT SE YEH MAANA CHOOR HAIN HUM
AARAM SE KOSON DOOR HAIN HUM
PAR LADNE PAR MAJBOOR HAIN HUM
MAZDOOR HAIN HM! MAZDOOR HAIN HUM

GO AAFAT-O-GHAM KE MAARE HAIN
HUM KHAAK NAHIN TAARE HAIN
ISS JAG KE RAAJ DULAARE HAI HUM
MAZDOOR HAIN HUM! MAZDOOR HAIN HUM

BANNE KI TAMANNA RAKHTE HAIN
MITNE KA LALEJA RAKHTE HAIN
SARKASH HAIN SAR OONCHA RAKHTE HAIN
MAZDOOR HAIN HUM! MAZDOOR HAIN HUM

GO JAAN PE LAAKHON BAAR BANI
KAR GUZRE JO JEE MEIN THANI
HUM DIL KE KHARE BAATON KE DHANI
MAZDOOR HAIN HUM! MAZDOOR HAIN HUM

HUM JISM MEIN TAAQAT RAKHTE HAIN
SEENON MEIN HARAARAT RAKHTE HAIN
HUM AZM-E-BAGHAVAT RAKHTE HAIN
MAZDOOR HAIN HUM! MAZDOOR HAIN HUM

JIS ROZ BAGHAVAT KAR DEN GE
DUNIYA MEIN QAYAMAT KAR DEN GE
KHWABON KO HAQEEQAT KAR DEN GE
MAZDOOR HAIN HUM! MAZDOOR HAIN HUM

Thursday, October 4, 2012

URDU POETRY...MAJAZ 2

KUCH TUJH KO KHABAR HAI HUM KYA KYA, AYE SHORISH-E-DAURAAN BHOOL GAYE
WOH ZULF-E-PAREESHAN BHOOL GAYE, WOH DEEDA-E-GIRYAAN BHOOL GAYE

AB GUL SE NAZAR MILTI HI NAHIN, AB DIL KI KALI KHILTI HI NAHIN
AYE FASL-E-BAHAARAN RUKHSAT HO, HUM LUTF-E-BAHARAAN BHOOL GAYE

SAB KA TAU MADAWAA KAR DAALA, APNA HI MADAWAA KAR NA SAKE
SAB KE TAU GAREBAAN SI DAALE, APNA HI GAREBAAN BHOOL GAYE


URDU POETRY...MAJAZ

HUM ARZ-E-VAFAA BHI KAR NA SAKE KUCH KEH NA SAKE KUCH SUNN NA NA SAKE
YAAN HUM NE ZABAAN HI KHOLI THI WAAN AANKH JHUKI SHARMA BHI GAYE

RUDAAD-E-GHAM=E=ULFAT UNN SE HUM KYA KEHTE KYUNKAR KEHTE
EK HARF NA NIKLA HONTON SE AUR AANKH MEIN AANSOO AA BHI GAYE

YEH RANG-E-BAHAR-E-AALAM HAI KYUN FIKR HAI TUJH KO AYE SAAQI!
MEHFIL TAU TERI SOONI NA HUYEE KUCH UTH BHI GAYE KUCH AA BHI GAYE

USS MEHFIL-E-KAIF-O-MASTI MEIN USS ANJUMAN-E-IRFAANI MEIN
SAB JAAM-B-KAF BAITHE HI RAHE HUM PEE BHI GAYE CHALKA BHI GAYE

URDU POETRY..EK QATAA AAJ KE HAALAT PAR

MERI BARBAADI MEIN NAHIN KOI QUSOOR AAPKA
HUSN-E-ITTEFAQ THA KE YEH BAAT HO GAYEE
DIN BHI KAATNA HAI ISI TARAH TADAP KAR
SO JA AYE DIL-E-HAZEEN KE BOHOT RAAT HO GAYEE

PS: I DO NOT REMEMBER POET'S NAME

MUNIR NIYAZI KA EK SHERR JO LAKHON PE BHAARI HAI

AADAT HI BANA LI HAI TUM NE TAU MUNIR APNI
JIS SHAHAR MEIN REHNA UKTAAYE HUYE REHNA

URDU POETRY...KHAATIR GHAZNAVI

GO, ZARA SI BAAT PAR BARSON KE YAARANE GAYE
LEKIN ITNA TAU HUA KUCH LOG PEHCHAANE GAYE

YUN TAU MERI RAG-E-JAAN SE BHI THE NAZDEEK TAR
AANSOON KI DHUNDH MEIN LEKIN NA PEHCHAANE GAYE

URDU POETRY...AHMED FARAZ

ZINDAGI SE YAHI GILA HAI MUJHE
TU BADI DER SE MILA HAI MUJHE

HUMSAFAR CHAHIYE, HUJOOM NAHIN
EK MUSAFIR BHI QAAFILA HAI MUJHE

URDU POETRY...SHAKEEB JALAALI 2

AAJ BHI SHAYED KOI PHOOLON KA TOHFA BHEJ DE
TITLIYAN MANDLA RAHI HAIN KAANVH KE GULDAAN PAR

AA KAR GIRA THA KOI PARINDA LAHU MEIN TAR
TASVEER APNI CHOR GAYA HAI CHATTAN PAR

LIBAAS KHUSHNUMA HAIN MAGAR JISM KHOKLE
CHILKE SAJE HON JAISE PHALON KI DUKAAN PAR

URDU POETRY...SHAKEEB JALAALI

ISI LIYE TAU HAWA RO PADI DARKHTON MEIN
ABHI MAIN KHIL NA SAKA THA KE RUTT BADALNE LAGI

UTAR KE NAO SE KAB SAFAR TAMAAM HUA
ZAMEEN PE PAAON DHARA TAU ZAMEEN CHALNE LAGI

URDU POETRY...SAIFUDDIN SAIF 2

AAP AA JAAYEN TAU RIM JHIM KI SADAA NAACH UTHE
WARNA YEH RAAT YEH BARSAT NAI BAAT NAHIN

SAIF ANDAZ-E-BAYAN RANG BADAL DETA HAI
WARNA DUNIYA MEIN KOI BAAT NAI BAAT NAHIN

URDU POETRY...SAIFUDDIN SAIF

PHIR PALAT KAR NIGAHH NAHIN AAYEE
TUJH PE QURBAAN HO GAYEE HO GI

UNN SE BHI CHEEN LO GE YAAD APNI
JIN KA IMAAN HO GAYEE HO GI

MARNE WAALON PE SAIF HAIRAT KYUN
MAUT AASAN HO GAYEE HO GI

URDU POETRY...AHMED NADEEM QAASMI 2

MAIN DOSTON SE THAKA, DUSHMANON MEIN JAA BAITHA
DUKHI THE WOH BHI, SO MAIN APNE DUKH BHULA BAITHA

AYE MERI RAAH SE KATRA KE NIKALNE WAALE
MUJH KO YAAD HAI BE-SAAKHTAA PAN BHI TERA

URDU POETRY...AHMED NADEEM QAASMI

MAAZI MEIN TAU SIRF DIL DUKHE THE
ISS DAUR MEIN ZEHAN BHI DUKHE HAIN

SAR KAAT-TE  THE KABHI SHAHANSHAH
AB LOG ZABAAN KAAT-TE HAIN

URDU POETRY...ZAHEER KAASHMIRI

SEERAT NA HO TAU AARIZ-O-RUKHSAAR SAB GHALAT
KHUSHBOO UDI TAU PHOOL FAQAT RANG REH GAYA

KITNE HI INQUILAAB SHIKAN DAR SHIKAN MILE
AAJ  APNI SHAKAL DEKH KE MAIN DUNG REH GAYA

APNE GALE MEIN APNI HI BAAHON KO DAALIYE
JEENE KA AB TAU EK YAHI DHANG REH GAYA

Wednesday, October 3, 2012

ADVERTISING...WHAT TO SAY PART I

CREATIVE-THE HEART OF ADVERTISING

ALBERT LASKER OF THE LORD & THOMAS ADVERTISING AGENCY IS ACKNOWLEDGED AS, THE FATHER OF MODERN ADVERTISING; ONE DAY A LETTER WAS DELIVERED TO HIS DESK, WHICH SAID IN EFFECT, ' I KNOW WHAT ADVERTISING IS. AND I KNOW THAT YOU DON'T KNOW WHAT ADVERTISING IS. IF YOU WOULD LIKE TO KNOW, SEND FOR ME, I AM WAITING OUTSIDE '.

THE INTEREST OF THE GREAT MAN PIQUED AND HE SENT FOR JOHN KENNEDY, THE WRITER OF THE NOTE.

KENNEDY ASKED LASKER WHAT HE THOUGHT ADVERTISING WAS AND LASKER TRIED VARIOUS DEFINITIONS, SUCH AS " ADVERTISING IS NEWS ABOUT A PRODUCT. '

' NO, NONE OF THEM', SAID JOHN KENNEDY, ' ADVERTISING IS SALESMANSHIP ON PAPER . 'IN TIME, THIS DEFINITION BECAME, " ADVERTISING IS SALESMANSHIP IN PRINT '. NEEDLESS TO SAY, LASKER OFFERED KENNEDY A JOB, AND LATTER WENT ON TO BECOME ONE OF THE MOST FAMOUS COPYWRITERS.

BUT, YOU SAY, WHAT ABOUT TELEVISION? WHAT ABOUT RADIO? WELL, HERE ADVERTISING IS SALESMANSHIP OVER THE AIRWAVES, BUT ADVERTISING REMAINS SALESMANSHIP. NOTHING MORE, NOTHING LESS.

ADVERTISING IS NOT MEANT TO BE GREAT LITERARY WORK OR GREAT ART. IN FACT, THESE CAN BE DISTINCT DISADVANTAGE TO THE CREATION OF GOOD SALES MESSAGES.




Monday, October 1, 2012

JUST LIKE THAT

ITTEFAQ AUR QISMAT KE BEECH LAKEER KHEENCHNA BOHOT MUSHKIL HAI

URDU POETRY...NASIR KAAZMI

DIL DHADKNE KA SABAB YAAD AAYA
WOH TERI YAAD THI, AB YAAD AAYA

BAITH KAR SAAY-E-GUL MEIN NASIR
HUM BOHOT ROYE WOH JAB YAAD AAYA

URDU POETRY...JAAN NISAAR AKHTAR

GORI ISS SANSAR MEIN MUJH KO AISA TERA ROOP LAGE
JAISE KOI DEEP JALA HO GHOR ANDHERE JUNGLE MEIN

KHIDKI KI BAAREEK JHARI SE KAUN YEH MUJH TAK AA JAYE
JISM CHURAYE, NAIN JHUKAYE, KHUSHBOO BAANDHE AANCHAL MEIN

URDU POETRY...SHAAD AARIFI

FITNE ROZ JANAM LETE HAIN, FITNE ROZ JAWAN HOTE HAIN
ITNE PAAP KAHAN HOTE HAIN, JITNE PAAP YAHAN HOTE HAIN

CHAND BADE LOGON SE MIL KAR MAIN NE YEH MEHSOOS KIYA
APNI BABAT NA-AHLON KO KYA DILCHASP GUMAAN HOTE HAIN

URDU POETRY...HAFEEZ JALANDHARI

MERI CHUP REHNE KI AADAT JIS KAARAN BADNAAM HUYEE
AB WOH HIKAYET AAM HUYEE, SUNTA JA SHARMATA JA

NAGHME SE JAB PHOOL KHILEN GE, CHUNNE WALE CHUNN LEN GE
SUNNE WAALE SUN LEN GE, TU APNI DHUNN MEIN GAATA JA